sakhat rawaya (harsh behaviour)

8 0 0
                                    

Jisko humdard samjha hamesha, woh mujh hi samajh nahin paaya. Sab kuch diya usko, apna dil apna waqt par phir bhi usko mujh mein buraiyan aur khamiyan hi nazar aye. Rula kar kehte hai mat roya kar, unka gussa ne khauf ko paida kardiya mujh mein. Meine kabhi nahin socha tha ke woh aisa banjayega. Kyun woh nahin samajhta ke mein nazak dil wali hoon, jo bhi jazbaat hote hai woh auro ko bhi nazar ajate hai mere chehre se. Poore dil se chaha tha tumein, acha sila diya tune meri chahat aur wafa ka. Kabhi yeh aankhein chamakti thi khushi ke saath par ab in mein nami hi hoti hai. Meine tho aapko rooh ka hissa samjha tha, par shayad mein galat thi. Pata nahin aapka mere saath kaisa rawaya hoga aaj. Sar mein dard hai aisa lagta hai jaisay kisi ne patar rakh diya iss pe, dil udaas hai unka sakhat rawaya yaad ata hai tho. Auro ke saath tho acha rawaya rakhte hai par mere saath hi aisa kyun.

flowingWhere stories live. Discover now