Chapter 9: Sagar's Concern about Akshita

752 71 8
                                    

Comm.: Good, Now the main thing jiske liye maine tum sab ko yahan bulaya hai voh ye hai ki tum sab ab iss mission ka hissa ho...(interrupted by AS)

AS: kintu sir ye mission toh ab dusre officer ko diya ja chuka hai, toh fir hum sab iss mission ka hissa kaise hue ??

Comm.: anubhav, bhale hi ye mission dusre officer ko diya gaya ho, lekin tum sab Lucknow ke sabse kaabil aur imaandar officers ho, isliye tum, Vyom aur MPT unke under as unke team members kaam karoge, taaki ye mission jaldi successful ho sake aur saath mein mission jaldi kaamiyab honge. Unke saath do aur officers aa rahe hain, iss mission mein unki help karne. Aur anubhav, kyunki ye mission tum pehle lead kar rahe the, isliye un naye officers ko bhi mission ki details tum hi doge, clear ??

All: yes sir

Comm.: Aur haan, un officer ne request ki hai ki iss mission mein jitne bhi immediate changes kiye gaye hain, uske baare mein iss mission ke members ko chodkar department mein kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye, isliye hum sab ko ye ensure karna hoga ki iss mission mein huye immediate changes ke baare mein department mein kisi ko bhi pata na chale, departement ke liye voh keval rk nayi officer hogi jinko lucknow ke bigarte kanoon vyavastha ki wajah se yahan appoint kiya gaya hai, aage ki planning voh yahan aane ke baad batayengi, ok??

All: ok sir

Comm.: Good, any further questions ??

AS: sir voh kab aa rahe hain aur unke naam kya hain ??

Comm.: Hmm, voh log kal dopahar tak lucknow aa jayenge, aur unke naam hain...(interrupted by a phone call)

Comm.(on call): hello....yes....yes...ok...I am coming (call cut)

Comm.: theek hai toh hum chalte hain, voh ek meeting ke liye jana hai, isliye hum chalte hain, aaplog bhi ab apne kaam mein lag jaiye. Jai hind

All: Jai hind sir

Them commissioner left from there in a hurry while Anubhav, Vyom and MPT also went to their respective workplace.
___________

In evening time...

In Mumbai...

Cheeta and Santu, after completing their work, together came outside the HQ, and went towards their car. While going towards their car...

SC: cheete

CC: hmm

SC: kaisi kismat hoti hai na, jis sheher se hume di ko un logon ki vajah se dur rakhna tha, ab usi sheher me di ko apni majburi ki vajah se wapas jana parr raha hai

CC: haan Santu, mujhe di ke liye bohot bura lag raha hai, ki jis ateet ko voh bula kar aage badhi thi, ab unhe wapas Lucknow jakar usi ateet ka samna karna hoga, usse kitna dard hoga unhe

SC: ha, dard toh unhe hoga, lekin hum unhe rok nahi sakte, di apni duty ke saath kabhi compromise nahi karegi. Isliye humara unhe samjhane ka koi faida nahi hai.

CC: Mujhe pata hai, tabhi toh maine unhe rokne ki koshish nahi ki, kyunki unhe unki wards ne bulaya hai, jisse voh kabhi bhi unsuna nahi karti. Mujhe bas iss baat ka darr hai ki jin logon se di ko bachane ke liye hum unhe Lucknow se duri le aayi, kahin unka di ko fir se samna na karna pare.

SC: Cheeta, darr mujhe bhi lag raha hai, lekin hum dono bhi toh di ke saath jaa rahe hai na, hum dono unhe kuch nahi hone denge, aur unki himmat nahi tutne denge, isliye hume apni himmat banaye rakhni hogi.

CC: tum theek keh rahi ho Santu, agar hum apni himmat harr gaye toh di ko kaun sambhale ga, (determined) isliye hume apni himmat banaye rakhni hogi taaki hum di ki suraksha kar saken.

SC: Haan (seeing her watch) aree time bhi hogaya, chal Cheeta, 8 baj gaye hain, ab hum dono ko ghar jana chahiye, didi toh aaj hum dono ke saath aayegi nahi kyunki unhe thode der aur HeadQuarters mein rukna hoga aur unhone bola tha ki hum unka wait na karen aur ghar chale jayen, kaam hone ke baad voh dusri gaadi se aa jayengi.

CC: theek hai Santu, chalte hain. (smiled)

Then, they both sat in their official car and went home followed by their one security car.
___________

In Akshita's cabin...

Akshita was sitting on her chair, completing the formalities for the mission when her mobile rang. The caller id showed the name IG sir. It was a video call. Flashing a smile and becoming happy, she picked up the call...

On call...

AC: Jai hind sir

Sagar: Jai hind (happily)

AC: kya hua sir, aap bohot khush dikh rahe hain ? Kuch baat hai kya ?

Sagar: nahi beta, aisi koi baat nahi, voh bohot dino se tumse baat nahi ho paayi thi na, aur aaj thoda free tha, isliye socha, aaj tumse baat kar lun, aur itne dino ke baad tumse baat kar raha hoon, toh khush toh rahunga hi na.

AC: mujhe bhi aapse baat karke bohot khushi hogi, aapko pata hai, humne aapko bohot yaad kiya, har din sochte the ki aapko phone karun, lekin kaam mein itni busy rehti thi ki baat hi nahi kar paati thi.

Sagar: Haan, hum bhi tumhe bohot yaad karte the, lekin tum toh jaanti hi ho ki Lucknow ki halat kaisi hogayi hai, isliye yahan par sab kuch sambhalne ke chhakar mein baat hi nahi ho paati thi. Par aaj thodi si improvement hai, toh isliye thoda free time mil paya. Toh socha thoda tumse baat kar lun. Vaise tum kaisi ho vahan par ? Aur Cheeta Santu, voh dono kaise hain ? Un dono se bhi toh bohot dino se baat nahi ho paayi hai.

AC: hum toh yahan par bohot acche hain, aur voh dono bhi bohot khush hai yahan par, hum teeno yahan par bohot enjoy karte hain, aesa koi bhi din nahi jaata hoga jab humne hansi majak na kiya ho, har din humare liye ek nayi energy lekar aata hai, aur hume iss baat ki bohot khushi hoti hai ki hum cheetah aur Santu ki choti si family ka hissa hai jinhone hume humare most difficult phase se nikalne mein madad ki, aur dekhiye, aaj hum apni nayi pehchaan ke saath apne ek chote se pariwaar ke saath khushi khushi reh rahe hain, par...(stopped)

Sagar: Par kya ??

AC: sir, bhale hi ab hum bohot aage badh gaye ho, lekin 8 saal pehle uss kale din jo kuch bhi humare saath hua tha, (sigh) jisne humari jivan ki disha hi badal di, hum use chah kar bhi kabhi bhula hi nahi paate, uss din jo bhi hua tha, voh humare dimag mein iss tarah chaap chod gaya hai na ki hum uss ghatna ko bhula hi nahi paate, aapko pata hai, humne bhale hi apni nayi identity bana li ho, lekin un logon ne jo hume ghaav diye hain, voh dil mein lag gaye, aur dil mein lage zakhm kabhi bhi puri tarah nahi bharte, voh toh cheetah aur Santu the jinhone hume sambhala aur hausla diya, tabhi toh aaj hum zinda hai...

Sagar: beta main samajhta hoon, jinse tum bohot zyada pyaar karo, unhe aur unke dwara kiye gaye aviswas ko bhulana itna asaan nahi hota, (in a low inaudible voice but Akshita heard a little) aakhir hum bhi toh isi avishwas ki vajah se apne pariwaar se alag huye the...

AC(suspiciously): aapne kuch bola sir ??

Sagar: nahi nahi kuch nahi, voh main bol raha tha ki tum bas ab cheetah aur Santu ke saath khush raho, enjoy Karo, aur apne ateet ko baar baar yaad kar ke udaas mat ho, thik hai ??

AC: haan, thik hai

Sagar: accha beta, mujhe tumse kuch puchna tha...

AC: ji ji puchiye na, aap kabse kuch bhi puchne keliye permission mangne lage, aap humse jo puchna chahte hain, bina hichkichae puch sakte hain...

Sagar: main ye puchna chah raha tha ki...

To be continued....

Hope you liked it...

Do tell your views...
------------
Please vote, comment and follow me if you liked it...

MISUNDERSTANDINGS AND BROKEN RELATIONSWhere stories live. Discover now