Malini's truth is out!!

238 20 7
                                    

In Shergill Mansion, Sooraj went with Dev,Abeer, Avinash and Mahesh. Along with them Suhana too went. Radha  warmly welcomed Sooraj , and hugged him. Sooraj then told that he had a surprise for everyone.

Sooraj blinked at Dev, and Dev understood. He called everyone to the hall. Sooraj asked Suhana to wait near the main entrance .

In the hall , Malini, Koel, Abeer, Mahesh, Avinash, Rekha, Siddharth, Sanjana, Radha, and Sooraj himself gathered.

Sooraj then went to the temple of their house and sought blessings of the Almighty.

Sooraj: Maa aapko yaad hain jab main padhai karne ke baad ek job kar raha thha, jaha par mujhe ek gaav mein jaana padha thha ek project ke silsile mein aur ussi dauran mujhe ek ladki se pyaar ho gaya thha aur maine usse shaadi kar li thi.

Radha nodded in agreement meanwhile, Malini had started sweating, beads of  sweat formed on her forehead and her heart was racing, her hands were trembling ,she was scared of getting caught. So she tried to distract everyone.

Malini: Sooraj bhaiya, ateet ki baatein ab karke kya fayda. Aapki patni aur meri pyaari Bhabhi toh swarg waas ho chuki hain. Aise ro rokar unko yaad karoge tog unki aatma ko shanthi nahi milegi.

Sooraj smirked as he knew that Malini was trying to divert the topic. But he raised his hand in the air indicating her to stop .🤚(like this).

Malini gulped in fear looking at his hand and the stern look on his face. Sooraj continued,

Maa tabhi Bapuji ki tabiyat bhi theek nahi thhi aur unhe heart attack bhi aaya tha na. Main jaldi ghar wapas aaya thha lekin maine Suhana se vaada kiya thha ki main bahut jald usse hamare ghar lekar aaunga . Do hafte baad jab mujhe Suhana ki chhitthi mili usmein mujhe pata chala ki main baap banane waala hoon. Main khushi se jhoom uthha lekin ,meri khushi sirf  chand ghanton  ke liye thha, kyunki uske baad mujhe pata chala ki Suhana ne khudkhushi kar li thhi aur mera baccha iss duniya mein aane se pehle hi, duniya chodkar chala gaya. Aap jaanti hain kyun, kyunki usse chitthi mili thi jismein yeh likha gaya thha ki maine dusri shaadi kar li thhi aur maine Suhana ko mujhe bhul jaane ko kaha thha aur apne kok mein pal rahe bacche ko sweekar nahi kiya thha. Lekin yeh saara jhoot hain kyunki na to maine aisi koi chitthi likhi thi aur bheji thhi. Dev zara woh chitthi Maa ko dikhao jo maine likhi thhi.  Hearing this Malini gasped ,she had not even imagined in her wildest dreams that Dev and Sooraj had gotten to know about her ill deeds. She was visibly scared and nervous.
Dev gave Radha the letter Sooraj had written to Suhana which stated that he would be coming to pick her up and take her along with him to Mumbai. 

Sooraj continued, Maa pata hain mere aur Suhana ke beech galat fehmi peda karne wali Malini hain, usse dusron ki jaan aur rishten ki kadar karna nahi aata hain  ,usse sirf aur sirf paison ka moh hain.  Lalach mein aakar ussne Suhana ko ek galat chhitthi bheji thhi jisse padkar Suhana ka dil toot gaya. Usse woh bardaash nahi huan.

Sooraj then angryly looked at Malini meanwhile Radha was shocked ,she sat down on the sofa with a thud.

Malini gulped nervously, 

Radha: Kyu Malini, kyu mere beto ki zindagi barbaad kardi.  Kya bigada hain mere bete ne tumhara. Hamesha tumhe apni behen maankar tumhare liye ussne Dev se bhi lada hain.  Phir bhi. Tumhe afsos nahi hua itni ghinoni saazish karte hue.  Tumhe property aur paison ki zaroorat thhi toh saamne se pucch leti,  Soooraj sab kucch de deta.  Pata hain tumne jo kiya woh ek galati nahi hain ek gunah hain jiski maafi main to kya, swayam Bhagwaan bhi nahi denge.  Everyone present in the hall was disgusted especially Abeer.

Abeer: Pata hain aap Maa kehne ke layak nahi ho kyunki aapko meri ya Koel ki fikar nahi aapko sirf aur sirf jhooti shaan aur tareef sunne ki aadat hain. Aapke liye sirf property aur paison sab kucch hain lekin sach toh yeh hain ki rishton se badhkar kucch nahi hota. Aajse aur abhi se, main aapko apni Maa ka darja nahi dunga, meri sirf aur sirf Suhana Maa hain.

Malini was shocked hearing Abber's words .She was enraged and screamed,

Malini: BASSSSSSSSSSSSSS......bahut suna maine ,haan maine hi jhoothi chitthi likhi thhi kyunki mujhe dar tha kahi mere baccho ka hissa Sooraj Bhaiya ke bacchon ko na MIL jaaiye. Dev hamesha se sirf Sooraj bhaiya ke peeche ek pucchdi ki tarah ghoomta rehta hain . Ek aur baat  aapka accident bhi maine karwaya thha aur ussdin jab aapko ek aadmi ka call aaya thha jissne aapko kaha thha ki woh apko aapke bete se milwayega, uska katal maine aur Ashish ne milkar kiya. Main nahi chahati hoon ki mere baccho ki zindagi mein paison ki kami ho. Jab Sid ne iss do kaudi ladki Sanjana se Shaadi ki, Koel ka dil toot gaya thha, kisine usse puccha ki kya woh theek hain? Nahi na,  main chahati thhi ki Koel aur Sid ki shaadi ho, kyunki Sid ek bahut bada businessman hain aur Koel ki zindagi mein kabhi bhi kisi cheez ki kami nahi rahegi.
Lekin Sid ne toh pata nahi kya dekha iss do kaudi middle class ladki mein,jo meri Koel mein nahi hain. Main sach bata rahi hoon iss do kaudi ladki ne hi hamare Sid ko fasaya hoga.

Sid was done with Malini's nonsensical talks while Sanjana's eyes brimmed with tears. Seeing tears in Sanju's eyes,broke Sid's patience and he loudly screamed.

Sid : Basss.....bahut sahi bola aapne Aunty.  Sanju ko rishton ki kadar karna aata hain. Badon ke saath kaise pesh aana pata hain. Maine usse paison ki bachat karna seekha hain. Haan woh ek middle class family se aati hain lekin pata hain uske family mein sab log pyaar se rehte hain. Khushiyan batkar usse dugna karna jaante hain aur gham batkar usse kam karna jaante hain. Pata hain ussne aur Monami ne apni puri padhai scholarship ke sahare se kiya  hain. Infact Faizi, Monami aur Sanju ne bahut mehnat karke Mumbai ke top business college mein padhai ki hain aur woh bhi apne dam par. Pata  hain unki sabse acchi baat kya hain, unke liye unke aatma saman se badkar kucch nahi hota hain. Koel toh rishton ka lihaz karna bhi nahi jaanti, usse yeh bhi nahi pata hota hain ki kounsi jagah par kaise kapde pehene jaate hain aur kaise baat kiya jaata hain. Aapne Koel ko sar par chadakar rakha ussi wajah se ussne aaj tak apni degree ki padhai bhi puri nahi ki hain. Har roz ,clubs mein party karna , daaru pee peekar khud ki sehat ke saath khilwad karna yeh kaha ke sanskaar hain. Badon se batameezi karna , na rishton ki kadar karna.
Hearing all this Malini was shocked while Koel had started realizing her mistakes.

Mahesh: Malini tumhe giraftaar kiya jaayega kyunki tumne jo kiya hain ,kanoon ki nazron mein jurm hain. Tumne kisi ki jaan li hain, aur itni giri hui saazish ki hain.

Malini didn't want to rot in the jail she begged Dev to save her but he turned his face from her. She fell on Radha's feet but ,Radha refused to save her. At last she fell on Sooraj's feet ,but he too didnt budge. Malini was dragged by the female constables and screamed like a maniac but no one bothered to respond to her cries.
  Sooraj then asked Radha to keep the Aarti thali ready as he wanted Radha to welcome her elder daughter in law.
Hearing about Suhana, Radha's eyes sparkled she was glad hearing that her elder daughter in law would be entering their mansion. She quickly got everything ready for the Grah Pravesh. Sooraj held Suhana's hand and they together entered the Shergill Mansion. Everyone showered rose petals on the couple who were united after almost two decades.

Ek Ladki Ko Dekha Toh Aisa Laga SEASON 2Where stories live. Discover now