Ek nayi kahani

4 1 0
                                    


Ek nayi kahani

Ankhe jhuki jhuki si hai, hoto par hai lali
Lal rang me rangi gehno se saji hai vo dulari
Hath me mehndi rachaye kar rhi hai intezaar kisi ka
Hath pille ho chuke ab waqt hai jane ka

Sitaro se saji sham me lene koi aya hai use
Chand bhi fikah padh gaya hai jiske sharmane se
Dhoom dhamake ke saath aye hai jo leke bharat
Le jayenge apni dulhan ko saath samundar par

Sath fero se sath janam ka wada kar
Chor chali vo apne ghar ka aagan
Rishte nate aur sari uljhan
Ne kar diya use paraya dhan

...

Manh me kayi sawal liye chadh gyi vo doli
Char bhaiyon ne bidai kari apne kandhe par
Sabki payari raj dulari khete the sabhi
Ajj unke liye hi vo parai ho gyi

Kalege se lagaya tha ji maa ne use
Ankhon se beh rahe assu hai unke
Jis papa ne kabhi koi kami nhi ane di
Unse hi vo ajj dur ho gyi

Jis aagan ke kal tak khushiyon ka mela tha
Vo hi aagan ajj banjar sa lag raha
Jis ghar me gunjti masti hasi thitholi thi
Us ghar ki diware ab tarasne ko tayar hai

...

Na jane kitne sapne ankhon me saja kar
Palke jhukaye chor chali vo apne babul ke daman
Naye sapne nayi cahate nayi jindgi ki chah liye
Apne kal ko chor naye kal ko saath liye

Man me na jane kitne sawal liye , Dil ke tukde hazar liye
Khawaisho ki sejh par apne armano ki rakh liye
Kud se puchti hai ki kya dosh hai mera
Kyu chor na padh gaya mujhe aagan apna

Kya kami reh gyi thi mere payar me
Kyu kar diya dur mujhe mere apno se
Kyu bhej diya mujhe anjan ajnabi aur beparwaho me
Roj meri apko yaad ayegi ab meri Kami sabko satayegi

...


Journey Of LifeWhere stories live. Discover now