Jack, " par ye bimari...matlab kaise ??"

Jenny, "shyad mera koi accident huya tha, jisse mai coma me chali gyi aur hosh aane par mai kisi ko bhi pahchan nahi paayi... apne baare me mai jitna kuch bhi janti hu, vah sab mere mom- dad ne hi btaya hai...jis tarah se kisi play me uske actors kisi dusre character ko play karte hai, mujhe bhi thik vaise hi lagta hai...jaise ki mai kisi aur ki zindagi ko jee rhi hu...meri apni pahchan kahi chhupi huyi hai...( haste huye ) chalo ye sab chodo!! koi aur baat karte hai"

[ Baate karte – karte sham ho jaati hai aur jenny ke parents ghar aa jaate hai ]

Mother, " jenny..kaha ho beta ??

[ Dono kitchen ki aur jaate hai...waha unhe jenny akele baithi huyi milti hai ]

Father, " tum yaha kya kar rhi ho ?? koi tha yaha par ?? hamare naa hote kon aaya ghar me ??"

[ Jack chhup kar sab kuch dekhne lagta hai par jenny jack chhupane se pahle uska cup table se htana bhul jati hai...]

Mother, "btao jenny ?? waha do cup kyu hai ??...tumne kisi ajnabi ko andar kaise aane diya ??

Gusse me jenny ke father kahte hai , "jhuth mat bolna !! Lagta hai tum bhul gyi ho ki tum bimar ho...iss ghar ke bahar sabhi log hamesha tumhare jaise baccho ki talash me rehte hai jo ki unhe fayada pahucha sakte hai...apne matlab ke liye aise log tumhe takleef dene se bhi piche nahi htege....tum iss ghar me tab tak safe ho jab tak ki tum bahar ki duniya se dur ho aur hamari nazar ke samne ho....samjh rhi ho na mai kya kahna chahta hu ??

Ghabra kar jenny, " n..nahi d..daaddy !! mai sach kah rhi hu yaha koi bhi nahi aaya !!

Mother ghutno ke bal baith kar usse kahti hai, " jenny !! kisi se bhi mat milo jab tak ki tum thik nahi ho jaati...bina yaado ke ye tum bilkul nahi bta sakti ki kon tumhara dost hai aur kon dost ban kar tumhe nuksaan pahuchna chahta hai....hamare alawa tumhe kisi par bhi vishwas nahi karna chahiye!! Hum tumhari family hai isliye hamari madad ke bina tum apni yaade wapas nahi paa sakti ...samjhi na dear !!

Jenny, "yes mumma !!"

[ iske baad jenny jack ke paas jaati hai, jo unki sabhi baate chhup kar sunn rha tha ]

Jenny, " jack, tumne mere parents ki baate suni naa isliye hum dono dost nahi rah sakte....ab tum jao yaha se aur dobara mujhse milne mat aana aur jo baate maine tumse kahi , unhe bhi bhul jana !!"

[ itna kah kar jenny apne room me chali jaati hai aur uske parents iss baat se khush hote hai ki jenny ko unki baat samjh aa gyi thi..jack waha se jaane lagta hai par jenny ke father uske kandhe par haath rakh kar use rok lete hai ]

Father, " jack...yahi naam hai na tumhara !! sorry jack , hume galat mat samjhna par tumhe hamari baat se ye samjh to aa hi gya hoga ki hum jenny ko iss halat me sabhi se bacha rhe hai...uske liye koi bhi choti si chot kaafi khatarnaak ho sakti hai...isliye use sabse dur rakhna hi sahi hai...jab tak ki vo thik nahi ho jaati...to kya tum hamari baat manoge aur jenny se dur rahoge. abhi vo dost bnane ke liye ready nahi hai...hum dono uss accident ke baad se bohot darr gye hai kyuki uss accident ki wajah bhi jenny ka apne dosto ki liye badhta lgaav tha..ab tumhe jana chahiye"

Jack, " par uncle---

Father, " raat bohot hoti jaa rhi hai, tumhari family tumhe lekar pareshan ho rhi hogi...chalo mai tumhe bahar tak chod aata hu"

[ use apni baat kahne ka mauka hi nahi diya jaata...bahar aakar jack apne daaye kandhe me thoda sa dard mehsus karta hai...]

[ Agli subah kaam par jaane se pahle uske parents jenny se kuch baat karte hai ]

Tales of HorrorWhere stories live. Discover now