Chapter 44

843 107 173
                                    

A bit nervous about this chapter so please leave your reviews

So a little precap from the previous chapter

KMA, Wall of Fame

Naina- Apni jaan ki parwah kare bina wo sirf mere Bhaiya ke liye apni aakhri saans tak ladte rahe, jab unse mai sab se zyada nafrat karti thi tab bhi unhone haar nhi maani aur bhaiya ke case ke liye saare documents ko collect kara taaki unka case dobara reopen ho sake aur ek aap the jinko jab tak maine call nhi kara tha unko yaad bhi nhi tha ki unka Naveen Singh Ahluwalia naam ka koi dost ya batchmate bhi tha jiske arresting officer mai aur shift karte time sirf Rajveer Sir nhi balki aap bhi the

Naveen- Aaj meri death anniversary hai

Raj- Aaj ke din maine tujhe goli maari thi

Today's Update

Gunny- Matlab Aaj hi wo din tha jab sab kuch hamesha hamesha ke liye badal gaya tha

All 3 of them didn't knew how to react after realising what today's date meant for each one of them none of them were able to face each other let alone Naina

Abhi- Naina aap jaanti hi kitna hai humari dosti ke baare mai ya uss baare mai jo humne unn dono ke liye kiya tha

Naina- Sir ek baat to aap ki sach hai ki bhaiya ke trials ke time aur aap sab ke academy day's mai kya hua tha wo sab mujhe ya hum mai se kisi ko nhi pata tha lekin ab aap wapas KMA aaye aur uske baad kya hua tha wo sab ne dekha tha. Uss time aap sab ko ye prove karna chahte the ki aap sabse best ho

Abhi- Naina ye mat bhuliye ki agar Naveen aap ke bhai the to wo hamare dost bhi the aap ko iss baat ka zara saa bhi andaza nhi hai ki hum pe kya beeti thi jab hume khud apne dost ko arrest karna pada tha

Naina- Mana Sir aap ke pass uss time koi aur option nhi tha bhaiya ko arrest karne ke jagah lekin uske baad kya unke arrest ke baad unke trials ke baad yaha tak ki unke maut ke baad bhi to aap ke pass kitne mauke the naa sach pata lagane ke liye par aap to jaise bhul hi chuke the ki aap ka Naveen Singh Ahluwalia naam ka koi dost bhi tha

Abhi- Hamne koshish ki thi Naina hum pata lagana chahte the Naveen ke baare mai

Naina- Par pata to nhi laga paaye naa Sir sach to yahi hai ki Naveen Bhaiya ke case se judi choti badi har information ka pata Rajveer Sir ne akele lagaya tha bina kisi ke help ke liye, wo bhi uss time jab aap ki tarah wo bhi apni duty mai busy the

Abhi- Hum ne Naveen ko bachane ki koshish ki thi humne to infact apni uniform dau pe laga di thi taaki wo waha se bhaag sake apne aap ko innocent prove kar sake

Naina- Lekin aap jaante the naa Sir ki Naveen bhaiya aisa kuch nhi karenge wo kuch bhi karenge lekin wo peet dikha kar bhaagne waale bhagodo mai se nhi hai. Aap ko sach mai ye laga tha ki detention centre ki torture jhelne ke baad wo aise hi bhaag jaayenge aur aap acche se jaante the naa ki agar wo bhaag bhi jaate to wo log unko as a traitor maan ke waise bhi shoot at sight ke orders de dete. Aur kya lagta hai wo apne aap ko innocent kaise prove karte option kya tha unke pass jab kahi naa kahi sab ke saath aapne bhi unko Traitor maan liya tha

Abhi- Ye aap kya bol rahi hai Naina humne kabhi bhi Naveen ko traitor nhi mana tha hum jaante the ki unko fasaya gaya hai

Naina- Sir ye sab jaante hue bhi ki Naveen bhaiya innocent the aap ne kuch kara nhi kara, in fact on the contrary aap ne to ye soch liya tha ki aap ke life ka wo chapter hamesha ke liye close ho chuka hai agar uss din maine aap ko call nhi kara hota. You know what 4 saal se ek din bhi aisa nhi gaya hoga jab maine ye nhi socha ki uss din maine aap ko call kar ke yaha kyu bulaya tha kyunki aap jab se yaha aaye the Bhaiya ki innocence se zyada aap ko apne aap ko sahi prove karna tha.

Written in the Starsحيث تعيش القصص. اكتشف الآن