Chapter 91

475 46 52
                                    

Hii Guys toh yeh raha update after a long time sorry itne din see update aur reply dono karne ka time nhi milla. There is a lot going on in my personal life. But haan beech beech mai aisse hi randomly story ke kissi bhi chapter pe vote ya comment kar dena usse dekh ke sach mai khushi milti hai aur likhne ka motivation bhi. Next update kab aayega pata nhi tab tak ke liye Bye.

Aur ek baat nujhe tum mai se koi bhi ek please ek detailed review de dena iss update ka accha bura jo bhi hai taaki next update likhne mai help mill sake.

Next update kab aayega woh ab tum sab ke haath mai hai review ke basis par.

KMA

While on one side our favourite Captain's were busy looking for Pooja, cadets were busy whining and complaining about their drills. On the other hand, cadets were sitting on the ground waiting for their teachers.

Sid- Inn logo ne sach mai limits cross kar di hai din mai toh sone nhi dete hai aur ab toh raat mai bhi nhi sone de rahe hai.

Rey- Meri toh aankh hi nhi khul rahi hai aissa lag rha hai ki mai yahi sone waala hu.

Sherry- Aisse drils ke timing kon rakhta hai jiss mai koi uthe hi naa.

Aarush- Usse chodo phele isse jagao koi Aarush says while looking at Palak who was busy sleeping resting her head on his shoulder.

Sid- Rehne de sone de naa usse itni shaanti hai abhi kyu isse jagah ke saari chudailo ko bulana chaa raha hai.

Rey- Waise yeh chudail agar uthegi iss ka sab se phela attack tere upar hi hone waala hai.

Sid- Tabhi toh kaha usse sone do infact usse kya hum sab ko bhi abhi sona chahiye tha.

Rohit- Haan taaki andheri raat mai chamgaadar bana ke hum sab ko ulta ped pe taang de kyu?

Aarush- Waise iss ki baat toh sahi hai hum sab ko bula ke ye toh abhi tak nhi aaye toh hum kyu jaag rahe hai ullu k tarah.

Rey- Kyunki BC ka woh ek ghante ka lecture yaad nhi tha jo unhone orientation ke time diya tha ki tum sab yaha pe soldiers ban ne aaye ho 9-5 ki paid job karne nhi aur agar wahi karna hai toh KMA mai tumhari koi agah nhi hai.

Sid- Abhi toh aisse bore hone se accha hai ki mai sach mai jaa ke BC ka lecture hi sun lu.

Sherry- Neend toh sach mai iss ke sarr pe chad gayi hai.

Rohit- Utri hi kab thi aaj Ali sir ke class mai yeh mast back seat pe soo raha tha.

Sid- Yaad mat dila yaar uss ke chakkar mai pata nhi kon si apne nhi BC ke dada ki zamane ki book dhundh ke di hai review likhne ke liye woh bhi itni moti, pura online search kar liya lekin uss ki book review kahi nhi milli.

Rohit- Kyunki woh teri punishment hai fun task nhi jisse tu aasani se complete kar le.

Rey- Iss ki baato pe dhyaan mat de iss ko toh waise bhi padhne ka shaukh kuch zyada hi hai tu mujhe bass book ka naam bata dena uss ki review mai tujhe laa ke de dunga, haan lekin meri ek shart hai.

Sid- Tu jo bolega mai woh karne ko tayaar hu lekin mujhe bass woh review laa ke de de.

Rey- Theek hai he says while passing a bill to Sid who looks at it in response.

Sid- Tu insaan hai yaa bakasur he says while looking at the bill in shock.

Sherry- Aissa kya ho gaya hai

Sid- 50 thousand ke khaali chips aur cold drink ka bill hai ye last 3 mahine ka.

All- Kya they say in shock.

Rohit- Theek se dekh ek 0 zyada padh liya hoa tune neend mai

Sid- Maine galat nhi padha hai iss ne sach mai itne ka bill banaya hai.

Written in the StarsWhere stories live. Discover now