Chapter 14

907 111 37
                                    

Ladakh Base Camp:

21:00 hrs night time,

While everyone else was busy with their work Naina, Alekh and Huda were together eating their dinner in Alekh's room and remembering their old days.

Aur shaane kaisa hai tu? Alekh asks Huda,

 Yaar Qaidi mujhe kya hona hai mummiji ke aashirwad se unka beta phele to kisaan ban gaya aur ab ek accha faujii ( soldier) ban usse zyada khushi aur garv (pride) ki baat aur kya hogi unke liye inko chodke aur kya chaiye unhe. Huda replied to Alekh.

Alekh- Waise auntyji hai kaisi, bohot din ho gaye hai unse mille, 

wo theek hai Qaidi bass unko to ab ek aadarsh bahu ki talash hai Huda said while looking at Naina.

Alekh who noticed this replied haan to usme problem kya hai Rajesh, Pinky, Sheila itne saare to hai mast inme se ek choose karle Alekh replied while looking at Huda.

Huda- Par Qaidi ye sab to meri bhains (buffalo)ke naam hai, he replied while looking at Alekh. 

Alekh-  to teri zindagi konsi tere bhainso (buffalo) ke bahar hai, waise bhi dimaag mai gobar (cow dung) bhara hai aur samne mai bhi tuhe teri bhains hi nazar aati hai, kyu. Alekh replied while laughing at Huda.

Huda- Yaar, Qaidi kam se kam Foolan ke saamne to meri impression kharab mat kar, he replied in annoyed tone. 

Alekh- Abe dhongi (the one who does drama) teri uske saamne izzat (respect) thi hi kab bol to aise raha hai jaise ye pheli baar milli ho tere se. Alekh replied in full relaxed mood.

Alekh- Tujhe pata hai Naina, KMA mai naa ye sote time sapne mai apne bhainso ke naam leta tha aur unhe ginta tha, aur ek baar to isne apne takiye (pillow) ko bhains samjh ke kiss kar diya tha. Alekh replied while remembering that moment.

Huda- Accha Qaidi aur tu kya karta tha wo bhi bata de, foolan tujhe pata hai lights out hone ke baad ye Suriji aur Major Nair ke room se jaake apne liye bottle leke aa jata tha aur jab next day wo apni bottle dhundhte the to unko daaru (alcohol) ke jagah ye Qaidi usme kadha ( a drink made by mixing different herbs) daal ke aa jata tha. He replied while remembering their moments.

Naina- Ye sab to kuch bhi nhi hai, pata hai Alekh jab mujhe lag raha tha ki mujhe academy se nikaal denge jab mujhe continuously saare test mai Major Nair ne fail kara tha aur mai kitna zyada roo rahi thi aur dukhi thi to mai training ground ke pass bench pe baithi thi Huda waha aake mera mood theek karne ki koshish mai mujhe joke sunana chahta tha.

Naina- Wahi uski nazar ek orderly pe gayi jo waha ek Bhains ko waha se bhagane ka try kar raha tha, fir to Huda mujhe joke sunana bhul gaya aur jaake uss Orderly ki class li ki wo aise kaise uss bhains ko dande maar ke bhaga raha hai aur usko dhamki di ki agar dobara kisi Bhains ko danda maara ye usse danda maarega aur pata nhi usne uss Bhains ke kaan mai kya bola wo waha se chali gayi. Aur uss orderly ki shakal dekhne laayak thi aur uske baad meri hassi nhi ruk rahi thi Naina replied.

Alekh- Aisehi thodi naa isko Bhainso ka masiha (saviour) ya Bhainso ka Raja bulate the sab and everyone started laughing.

Naina- Guys, mai batana bhul gayi thi mere pass Yudi ka call aaya tha usne muhe bataya ki Pooja aur Ali aaj uske ghar aane waale the chalo unse baat karte hai, if I am not wrong ab tak to wo log waha pohonch bhi gaye honge, Naina replied while looking at Alekh and Huda.

To der kiss baat ki Phoolan laga uss Yudiye ko call, Huda said. 

Haan Naina jaldi phone kar uss nautanki ko, Alekh replied.

 Okay Okay wait karti hu and with that she used her bracelet to make the call. 

Huda, Alekh, Ali, Pooja, Naina,and Yudi all have the bracelet phone just like Naveen. Afterall their friend is the one who designed it.

Written in the StarsWhere stories live. Discover now