CHAPTER-2

955 75 2
                                    

She went out to see who it was… While walking her dupatta fell down… She was busy adjusting it while walking when she bumped into a 6ft tall well built handsome hunk… She said, “Dekh ke nahi chal sakte aap… And who are you??” He replied, “Dekh ke tum bhi nahi chal rahi thi… And tum mujhe nahi jaanti… Strange...Ya toh tum news follow nahi karti ya tum mein attitude koot koot ke bhara hua hai…” She replied with a confident tone, “Dhakka tum doh...Dekh ke tum na chalo aur attitude mujhme hai… Haan newspaper aata hai mere ghar mein aur main usse padti bhi hun par tum nahi dikhe kabhi usme… Hoge bohot famous kinhi supplements mein par main newspaper mein toh nahi ho… I like being updated about general national and international news and not those regular fashion and show off glimpses of the glamour world…” She was about to move ahead towards her dad’s room but the guy held her wrist and pulled her back towards him. Her hands on his chest, his hands on her waist and he said, “Jawaab toh sunti jao mera Miss. Kach kach… You don’t like keeping the news of the glamour world but life is all about glamour for me… Mujhe udna bohot pasand hai… Udne vale log rukna nahi jaante and fame is an important aspect of my life… For me this glamour world is a high point of my journey…” She came out of his hold and said, “Glamour aur fame kab sar chadh jaye pata nahi chalta… Ye jab nahi hota toh isko paane ke liye tum log struggle karte ho aur jab ye mil jata hai tab tum khud hi change ho jate ho… Changed lifestyle, changed attitude and changed you… Ye changes kab ego mein badal jate hain ye bhi unpredictable hai… Success ki seedhiyan chadhte vakht un logon ki shakal dhang se dekh leni chahiye jo apna support lend karte hain… Allah na kare agar kabhi ye seedhiyon se neeche aana pada toh unse nazren milane layak toh raho…. Kabhi kisiko bhi apni success ko show off karke itna neecha bhi nahi dikhana chahiye ke saamne vala insaan jeena bhul jaye… Sapno ko jeeyo, unko apna junoon banao, unhe achieve karo, celebrate your fame and success but don’t let it get on your head… Don’t ever be high on fame… Tumhara pata nahi par mere aas paas bohot fame ke nashe mein dube hue log hain toh socha tumko warn kardun to stay away from me…” He smiled and said, “Soch toh tumhari bohot achi hai Miss but why should I stay away from you? Lagta hai tumne bohot se aise logon ko dekha hai jo fame paakar insaaniyat chhod dete hain but how do you know ke main bhi unhi mein se ek hun?? Tum toh shayad mera naam bhi nahi jaanti abhi…” She looked into his eyes and said, “Maine ye kab kaha ke tum bhi unhi logon mein se ek ho… Maine bas ye kaha that stay away from me… Tum un logon mein se lagte ho jo azaadi ko jeete hain aur apni life mein bohot kuch achieve karna chahte hain… And I live a dark life jisme sapne toh hain, unhe pura karne ki chah toh hai par freedom nahi hai… Vaise toh sabse badi freedom aapke thoughts ki hoti hai, aapke words ki hoti hai lekin thoughts aur words ko actions mein badalna bhi bohot zaroori hota hai jo mujh jaise log kar nahi pate himmat hone ke baad bhi…” He replied, “Himmat hai toh karlena chahiye… Agar aaj risk nahi logi toh kal tumhare paas sirf regret bachega…” She looked down and said, “Main toh roz hi ek hi regret, ek hi sawaal leke soti hun ke shayad kal khud ko prove kar paun…” He gave her a very ‘optimistic’ look and said, “Kal kabhi nahi aata… Socho mat jo dil mein aaye vo karo…” With this both of them walked towards the opposite sides… He thought, “Arey yaar uska naam toh puchna bhul hi gaya…. Vaise uss Anamika mein kuch toh baat hai… Aaj tak main kitni ladkiyon se mila hun par isse alag hi vibes aayi…. Jab usne meri aankhon mein dekha tab laga jaise bohot kuch chal raha tha uske andar….. Aisi kya baat ho sakti hai jo usne kaha ke uske sapne hain par vo unhe pura nahi kar pa rahi….. Vo fame aur glamour ke itna against thi….. Khair main itna kyun soch raha hun uske baare mein… But I must say she was confident, firm on her thoughts and so beautiful….. Uski aankhen was the best part of her face… Aaj ki date mein aisi ladkiyan milti kahan hai… Arey yaar tu pagal hai kya, aaj kya kya soch raha hai tu…” Meanwhile Shehnaaz thought, “Kuch alag hi baat thi uss ladke mein… Vaise tha kaun vo…Maine toh naam bhi nahi pucha… Chhod na yaar Shehnaaz tujhe uska naam janke karna bhi kya hai… Par vo tha toh bohot independent, khulke jeene vala ladka… Aur handsome bhi toh kitna tha… Usse baat karke aisa laga jaise doh minute ke liye mujhe sab kuch mil gaya ho… Ho kya gaya hai mujhe… Itna kya soch rahi hun uske baare mein…”
She bumped into Noor while walking who said, “Arrey Shehnaaz tu… Tujhe kahin bukhaar vukhaar toh nahi hai.. Ye aaj pure 6 mahine ke baad dad ke cabin ki taraf…” Shehnaaz made a face and said, “Oye drama… Main toh tujhe dekhne aayi thi ke kahin ladke ke saath flirt karne chali toh nahi gayi…” Noor angrily said, “Tujhe kya main vo flirt type ki ladkiyon jaisi lagti hun...Huhh… Vo ladka toh chala bhi gaya… By the way vo pata hai kitna bada youth icon tha… Dhero logon ki inspiration… Worldwide ladkiyon ke dilon ki dhadhkan…. He was ‘the Sidharth Shukla’ jiske uppar puri duniya jaan chidakti hai for his talent and approach towards life…All in one hai vo… The Mr. Perfect…” Shehnaaz gave her an “Oh Really” vala look and said, “Mr. Perfect??….Dilon ki Dhadkan??… Ye kuch zyaada nahi hogaya… Main toh nahi manti… Tere liye toh vaise bhi har ladka hi best hai… Main toh bina dekhe-parkhe hue aisi cheezy cheezen nahi manne vali…” The guy had gone so Shehnaaz made her way towards the breakfast table… Noor tried to say something to her which she couldn’t, “Shehnaaz… Sun toh… Sana….Arrey yaar chali gayi… Main kaise bataun isko ke vo Sid….”
As she reached the Breakfast table she surprisingly saw the same guy sitting there whom she had met accidentally in the corridor… Both of them looked at each other and said at the same time with their eyes widened in shock, “Tum…”
To be continued…
Who is the guy?? How will Noor’s Mr. Perfect become Shehnaaz’s Mr. Perfect?? What did Noor wanted to say?? How will they meet if he has already left??
STAY TUNED TO KNOW…
Do vote and comment if you like the story... It motivates a lot to write further...

CAGED... DREAMS WITHOUT WINGS... Where stories live. Discover now