Part 28 - Depicts Episode 710

106 2 0
                                    

PS - When Armaan Goes in search of Ridhima getting to know she is at Anjali's house.


Armaan mein nahi jaanti kya sahi hain kya galat par aaj mein jo chahati hun chaha kar bhi nahi kar sakti vo. Aaj jab mein aajaad thi us rishte se, jab mein wapas tumhari basket baan chuki thi dil tumse dur jane ko nahi man raha tha. Par tumhare pass bhi kis muh se aati.

Mein aab ridhima gupta toh thi par tumhari baskte nahi shayad. Kyun ki tumhari basket ek aam ladki thi aura ab mein ek divorce hun. Ek failed marriage hi meri pehchan ban gai hai.

Phir bhi Dil kar raha hain ki phir se tumhari basket baan jaun, Phir se ridhima gupta ko uska Armaan Malik mil jaye, Bhaag kar tumhare par aa jana chahati thi. Tumhare seene par aapna sir rakh kar aapne aap ko tumhari duniya mein kho dena chahati thi.

Aaj tumhari bahon mein bikharne ka dil hai Armaan. Na jaane kyun ye dil itna betaab ho raha hain. Tumhare liya tadap rahi hun mein Armaan phir bhi ye mein kisi ko nahi dikkha sakti. Nahi jee paa rahi mein tumhare bina na hi jeena chahati hun par tumhe khud ko khatam kar keg hum bhi nahi de sakti. Tumhare bina dil kahin bhi nahi lag raha armaan par dimag bol raha hai ki tumse bahut dur rahun.

Mein nahi chahati ki ye khokli duniya hamare paakh (pure) mohobaat ko koi bhi galat naam de. Nahi chahti ki tumhari beintehan mohobaat ko koi galat naam de kar tumhe aur mujhe hum dono ko dukh pahuchaye nahi bardash kar paungi mein.

Mera karan log tumhe buri nazaron se dekhenge, Mein apni buri kismet ka saaya tum par nahi dalna sakti. Jaanti hun mein ki agar mein ne ye sab tumhare samane bol diya toh tum turant mujhe galat sabit kar ke mujhe kabhi aapne aapse dur nahi jaane doge.

Tumhare liye galat nahi sun sakti mein armaan, already bahut dard de diya hai mein ne tumhe aur nahi de sakti. Mujhe maaf kar Dena please armaan.

Tumhe bahut rulaya hain mein ne shayad ussi ki saaja hain ye ki mein chaha kar bhi tumhare saath nahi reh sakti hun.

I love u Armaan.....

Bus itna chahungi ki meri aakhri saas tumhari bahon mein nikle.

Tumhari ridhima Jo tumhari nahi ho saki....


Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now