Part 25 - Depicts Episode 700

95 0 0
                                    

Ps - Ridhima told Sid the truth about the night both AR spent.

Kyun Armaan karte ho tum mujhe se itna pyaar. Mujhe mein sachai ka samne karne ki himat nahi hai toh kyun karte ho mujhe se itna pyaar. Mein nahi dekh sakti tumhari ye halat. Mein tumhare pyaar ke kabil nahi hun.

Tum jaante ho jo bhi humare beech hua vo mein kabhi regret nahi kar sakti, vo hamara pyaar tha armaan. Haan halat sahi nahi the par pyaar toh galat nahi tha na. Mein kamzor padh gai thi apne pyaar ke haathon par aapne pyaar mein hi, tumse pyaar karne mein nahi.

Agar guilt hai, toh bus is baat ka ki mein ne tumhare sache pyaar ke sawal uthwa diye. Jo mein kabhi nahi chhati thi, jis wajha se mein tumse dur bhag rhi thi aakhir kaaar vo hi hua. Toh itne mahino tak tumse dur rehna tumhe accept na karna, tumhe ulta seedha bolne ka kya faida hua armaan.

Mein ne hamesha kosish ki, ki mein chahe sab kuch har jaun par hamare pyaar ko na haarun phir bhi aaj mein usmein bhi har gai armaan. Aaj hamare pyaar pe bhi sawal khade ho gaye armaan. Kyun ho tum aise armaan.

Itna kuch sid ne tumhe bol diya phir bhi aapni nahi meri image, meri izat bachane mein lage hua the tum. Kyun ho tum aise armaan. Nahi dekh sakti mein tumhe aise tadapte, dard mein marte hua. Kyun tum mujhse nafrat nahi karte armaan, kyun nahi bhul jaate tum mujhe. Mein tumhe dard aur takleef ke ilawa kuh nahi de pa rahi hun armaan phir bhi kyun nahi bhool jate tum mujhe.

Mera liya side se lade itni chot bhi khai phir bhi mera liya dat ke khade hua ho kyun armaan kyun. Mien sachai ka samna nahi kar pa rahi hun, tumhare liya is samjh se, papa se nahi lad pa rahi hun aur tum mera liya ladna nahi chod sakte armaan.

Kyun paar bina dard ken ahi mil sakta armaan. Kyun bina imtehan diy ahumein von ahi milta jiski khawahish humein hoti hai. Kash mein ne tumse jhagda nahi kara hota tum toh meri hi khushi ke liya vo sab kar rahe the na armaan (Before armaan memory loss wala AR fight), na tum meri khushi ke liya mujhe chod ke jaate, na Tumhara memory loss hota na hi hamari engagement itni late hoti aur na hi hum us shootout mein faste jisne hamari jindagi badal ke rakh di.

Sab meri galti hai mera hi karan ye sab ho raha hai aur har dard, har saza tumhe uthani padh rahi hai.

Kash tumne mujh jaise kamzor ladki se pyaar na kara hota armaan toh shayad tum khush hote. Kaash tumne ek confident ladki se pyaar kiya hota jo shad tumhare liya bhi ladti ussi tarah jis tarah tum mera liya ladte ho tumhe pyaar karti jitna mein kabhi nahi kar pai.

I am sorry armaan aaj mein ne hamare pyaar ko bhi hara diya. Ho sake toh phir ek ghuna jo mien ne kar diya hai uske liya maf kar dena mujhe. Tumhara dil toh bahut bada hai na toh phir ek baar apni basket ko maaf kar dena.

Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now