Part 1 - Depicts Episode 565

381 4 2
                                    

PS – Scene after Armaan ridhima meets Pune.

Aaj mein khush thi... Pata nahi kyun par aaj jab mein puna ja rahi thi toh maan mein ek ajeeb si khushi ajeeb sukun ajeeb si rahat thi....

Mein ja toh rahi thi sid se milne hamare rishte ki ek naye sire se shuruwat karne par ek baar bhi mujhe sid ka khayal nahi aaya... Mein aapni iss ajeeb si sukoon ki wajh soch rahi thi...

Par jab tumne wahan aapna ek kadam rakha mujhe tumhara ehsass ho Gaya...

Mujhe pata chal Gaya tha tum yahin kahin mera ass pass ho... Mujhe dekh rahe ho....

Tum mujhe se bolte isse se pehle ye hawan tumhare hone ka ehsas mujhe de deti hain... Tumhare kadamo ki aahat bhi mujhe ye jaamin mehsus karati hai....

Tum toh aa gaye the Armaan aapni ridhima ko aapni bahaon mein bhi sameth liya tha tumne par aab.... Jab tum aaye ho... Tumne der kar..... Par Armaan der kar di tumne... Ab tumhari ridhima tumhari nahi rahi..... Tumahri basket ko is duniya walo ne maar dala Armaan maar daala........

Armaan tumhe dekhne ko taras gai thi mein ... Aur jab tum ne mujhe aapni bahon mein sameta toh mein khud ko tumhari bahon mein tod dena chahati thi... Par mein vo bhi nahi kar saki... Mein tumse aaj bhi bahut pyaar karti hun... Par Armaan mein tumhari nahi ho sakti.... tumhari ridhima ko kisi aur ne chura liya hain tumsse... kash Armaan kkash kuch waqt pehle aa gaye hote tumm... toh mujhe aaj

yun tumhari baahon se rukh kar bhagna na padhta.... sid ke di hui vo ring jaise mera gale mein jakde jaa rahi thi.... pehle kyun nahi aaye tum Armaan pehle kyun nahi aaye.....

Tumhara mera taraf ek ek kadam bhadana.....

Tumhari mere zulfon ko mera chera se hatana. Tumhara mujhe aapni bahon mein khichna.....

Phir ek baar mein basket baan gai thi Armaan par... Aab mein vo basket nahi rahi Armaan nahi rahi vo basket......

wapas aa gaya tha mera Armaan bhagwaan ne meri dua toh qabhul kar li thi tumhe mera pass wapas bhej ke par bhagwan ne meri usse dua ko qubool karte karte itni der kar di ki vo meri ek dua hi mera liya aur shayad mera se jayaada mera aArmaan ke liya baad dua sabit ho gai...

Kya karti mein Armaan kya karti mein......


Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now