Part 15 - Depicts Episode 633

86 1 0
                                    

PS - ridhima hug Armaan thinking he is sid but she got to know when she put her hand on his chest... and stand there even then for some time.

Anjaane mein ek aur baar tumhe dard de bethi mein Armaan. Mujhse laga tha ki wahan Siddhant hai isliya vo sab mein use.... Apne rishte ko aage bhadae ki puri kosish kar rahi hun men par phir ek baar us kosish mein tum....

Ek hi pal mein ehsaas ho gaya ki vo tum the siddhant nahi. Ek hi pal mein tumahara ehsaas mera dil ki dhadhkano ko tez kar gaya. Jab dil ki dhadkan tez hui tab laga ki aisa kyun ho raha hai. Kyun mera dil itni jor se dhadak raha hai. Maanti hun siddahnt ke saath mein aapna rishta aage bhadae ki koshish kar rahi hun par dil ki raza mandi itni bhi nahi hai jitni tez uski dhadkan ho rahi thi.

Vo toh bus tumhare saamne hoti hai. Tumhi toh ho jiske samne, jiske pass aake mera dil kaboo mein nahi hota. Par vo ek pal mujhse mahino ki har ladi hui ladai ka, mahino ke dard ka, ek pal mein sukoon de gaya. Ek pal mein jaise sadiyon ki ruki hui saas aa gai ho mujhe.

Vo saare pal sari baatein, sari din, sara pyaar ek second mein ji liyo hai aisa lag rha tha mujhe. Mujhe mahino ka sukoon mil gaya par shayad tumhara saalo ka sukoon mein ne us ek pal mein phir se cheen liya. Tum bhi ye jante ho ki hum dono aage bhad rahe hai Armaan par mera muh se vo sab sunna siddhant ke liya.... Phir ek baar har gai mein.

Aur Armaan seriously tum khush ho ki mein ne sid ko apne dil mein jagha de di. Kya hum dono nahi jante ki hum dono hi ek dusre ke liya ek dusre se jhooth bol rahe hai. Hum dono ek dusre se kuch nahi chupa sakte ye tum bhi jante ho mein bhi.

Tumhe aage bhadna hoga Armaan. Ye sawal baar baar puch ke tumhe hurt kar rahi hun par ye hi jaruri bhi hai aur sahi bhi shayad. Bahane bana ke tum bar bar bhag jaate ho par janti hun tumhari har chehre ki shikan, har harkat, har uddasi, yahan tak ki tumhari har dhadkan padh sakti hun mein Armaan. Sid se rishta sahi karne chali hun apni jindagi mein purine rishte thodne nahi. Samjhti hun sab bur shayad tum nahi samjh pate. Ya meri tarah na samjhne ka dikhawa kar rahe ho.

Kash kabhi jindagi mein ye dikha na karna padhta. Kash ye sab sachai hoti aur tum siddhant ki jagah aur siddhan tumhari jagha hota. Toh ek khushal married life ke saath ek khush-haal dosti ka rishta hota hum sab ka. 

Ridhima's DairyDove le storie prendono vita. Scoprilo ora