Part 13 - Depicts Episode 616

74 1 0
                                    

PS – When ridhima call someone and it turn out to be Armaan and she asked Armaan tum itne ache kyun ho Armaan

Phir se hawaon ne ek aur baar gadari kar di, phir eek baar tumhare aane ka pata de gai ye hawaien. Pata hai Armaan kabhi hum lada karte the, ye keh ke ki pehle apni baat mein bataungi ya tum aur aaj dekho aaj baat karne ke liya hamare pass waqt toh hai par bhana nahi. Jis bahane ki humein kabhi jarurat nahi padhti thi kyun ki itni baatien rehti thi hamare pass ek dusre se share karne ke liya. Aur aaj...

Jab tum chale gaye the Armaan toh saasein lena band kar diya tha mein ne, aur tumne aage mujhse Completed bhi nahi kare diya tumhe mera muh se sid ka naam tak sunne mein takleef hoti hai Armaan toh phir kyun, kyun bar bar mujhe aur sid ko saath lane ki koshish kar rahe ho Armaan kyun.

Jante ho na ki aaj mein zinda sid ki wajha se hun aur wajha bhi jante ho tum Armaan toh phir kyun, kyun aaj bhi mujhse itna pyaar karte ho, meli (dirty) ho gai hun mein phir bhi tumhara pyaar abhii tak atal hai mera liya Armaan kyun nahi bhul jaate tum mujhe.

Tumhare pyaar ke badle bus Dard hi de rahi hun mein Armaan phir bhi tumhara pyaar hi nahi kaam ho raha Armaan. Hamesha koshish karti hun tumhe bhool kar aage bhadun par tum.... Aaj ak jo mein tumhe nahi bol pa rahi thi Armaan aaj pehli baar himat ki thi tumhe vo sab bol paun, tumahre samne apni feelings express kar paun, ek boj sa banta jar aha the mera upar aaj vo boj tumhare sath share karne aai thi mein Armaan. Aur shayad jindagi bhar vo boj tumse hi share kar paungi kyun ki aaj bhi sid ko vo jagha nahi de pa rahi hun mein jo tumhari thi aur rahegi Armaan.

Mera liya itna sab mat karo Armaan.Na chahate hua bhi tumhe itni taklif pahucha rahi hun mein Armaan. Sab dard akele sehte rahe tum kyun, mera passs toh phir bhi papa, maa di aur sab the par tumhare pass... Aaj bhi tumhari yaadien bhulna nahi chupana chahti hun aapne dil mein taki jab kamzor padhun oh tum meri yaadon mein hi sahi meri himat ban sako.

Tum chahate toh bahut asani se keh sakte the ki sid ko chod ke tumahre pass wapas aa jaun. Tum chahate toh aapna pyaar ek pal mein pa sakte the Armaan phir bhi tumne mera liya phir ek baar apni khusi dao par laga di. Ek baar phir aapne pyaar ko sabit kar diya Armaan, sabit kar diya tumhara pyaar kisi samaye ka naam na motaj nahi hai.

Armaan Riddhima true love:'):')

Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now