Part 23 - Depicts Episode 688

77 1 0
                                    

Ps – When Sid and ridhima go on honeymoon And ridhima Sense Armaan near her. And over some argument, they end up having girls vs boys match.

Jinta mein tumhe bhulne ki koshish karti hun utna hi tumse judi yaad mera samne aake khadi ho jati hai. Girls vs Boys ye reet tumne ne start ki thi armaan. Sanjeevni mein pehla match Girls vs Boys tumne shuru kiya tha aur aaj phir se vo hi... Pata nahi kyun aisa lag raha hai jasie tum yahin kahin ho aas pass mein mehsus kar sakti hun tumhe aapne kareeb par tum samne nahi aa rahe jaanti hun tumhe bhi ye ehsas ho gaya hoga ki mein tumhe mehsus kar sakti hun.

Meri nazarien tumhe dhundh rahi hai phir bhi tum samne nahi aa rahe armaan. Shayad mein wajha jaan ke bhi un-jani kar Dena chahti hun.

Aur Aaj Yujraav ki baatien sun ke mera guilt aur bhi jayada bhad Gaya, sahi toh kahan than a yuvraaj ne jo hum jee rahe the uske lafzon ye bus un halation ko bayan kar diya. "Mera dimag ne maan kiya hai iska matlab ye nahi ki mera dil bhi maan lega... tum Kisi ki bhi ho jao mujhe nahi bhul paogi"

Bhul bhi jaun toh kaise tumhe armaan, na mein tumhe bhulna chahti hun na hi koi koshish kar rahi hun tumhe bhulne ki. Aapni jeene ki wajha hi bhul gait oh mein jiyungi kaise.

Tumhare yahan aane ki wajha bhi ye hi hai Na ki tumhara dimag saath nahi de raha. Tumahre dimag ne maan liya hai mein Kisi aur ki hun isliya yahan aake bhi tum mera samne nahi aa rahe par aapne dil ko samjhne ke liya tum yahan aaye ho.

Mein kya Karun armaan mujhe kuch samjh nahi aa raha. Dubara shaadi karna sab ko ye dikhana ki mein khush hun sid ke saath, mein aage bhad rahi hun sab ye natak hai kaise bataon mein ye aur kisi. Papa ne toh jaise thhan hi liya hai ki vo meri aur sid ki shaadi successful kar ke rahenge aur di vo toh sab janti hai na jo baatien papa bhi nahi jante vo baatien bhi di janti hai na. Phir bhi vo mera natak nahi samjh pa rahi hai.

Sab mera saath hote hua bhi bahut akele mehsus kar rahi hun mein armaan. Kash mein tumhe keh pati ki wapas aa jao aapni ridhima ke pass, use tumhari jarurat hai, tumhare pyaar ki, tumhare kandhe pe sir rakh ke rona chathi hun aapni sari pareshani tumse share karna chahti hun, tumhari bahun mein sab pareshani bhul na chahti hun par majburi toh dekho dil ke baat dimag suune se mana kar raha hai.

Kash insaan ke pass ya oh dil nahi hota ya phir dimag shayad phir faisla Lena thoda easy ho jata, yun dil-o-dimag ki ladai mein humein marna nahi padhta.

Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now