chapter 18

12.1K 586 54
                                    

Shehnaaz's pov

It's been a week since we came from our honeymoon. A very yaadgaar honeymoon. Shukla ji is in his office right now and I'm going on shopping with maa because it's karwachauth tomorrow. Mera pehla karwachauth. I'm so excited, pr Shukla ji ne Saara mood kharab kr Diya kyuki wo nhi chahte ki Mai ye vrat Rakhu aur unke liye Sara din bhookhi rahu. Wo nhi maante in sab baaton me, ki Kisi ke bhookhe rhne se doosre ki Umar lambi ho jaati hai. Logical Shukla ji. Honestly Mai bhi Inn San chezon me believe nhi krti, pr jab itne saalon se ye pratha chli aa rahi hai to phir kuch na kuch to sachhai hogi hi naa isme. Mumma was saying ki ye Mera Shaadi ke baad pehla karwachauth hai to ye rakhna zarrori hai, baad me Mai chahu to naa bhi Rakhu. Anyways bdi mushkil se Shukla ji ko manaya hai Maine, maan Gaye phir bhi sada hua muh lekr Gaye Hain office wo bhi Bina nashta kiye. Ye bhi naa bahut ziddi Hain. The day went well as we did lots of shopping and had a relaxing saloon visit with Preeti Di. She's not having the fast because of the baby but she'll join us at night for some fun.

We are having dinner right now. Inka mood bhi ab theek hai, mujhe chod kr office jaane ke Karan unka dimaag sad Gaya tha.

"Sid, baby when are you moving out"? Maa asked Siddharth making me confused.

"Maa, ye Kaha jaa rahe Hain."

"Sirf Mai nhi jaana, hum Dono shift kr rahe Hain humare penthouse me." Siddharth answered.

"Pr kyu, Hume kya zarrurat hai yaha se jaane ki?" I asked again.

"Sana, meri bachhi tum Dono ki abhi abhi Shaadi hui hai, you guys need some privacy. Isliye Shaadi se pehle se hi Sid ne tumhe lekr waha shift hone Ka decision liya tha. Waise bhi penthouse sirf 10 minute hi to door hai, jab marzi aa Jana humse Milne." Maa explained.

"Maa apko lgta hai ki Hume problem hai aapse wo bhi privacy ki. Maa dad aap log humse bhi zayada samjhdaar ho, aap kbhi Hume disturb nhi krte. Mai Kahi nhi jaa rahi apni Ghar chodd k. Meri doli isi Ghar me ayi hai, Mai humesha ek parivaar me rahi hoon. Mujse nhi Raha Jayega akele. Aap badon Ka pyar mujhe Roz chahiye. I'm not moving out." I said refusing to go out from my house.
Out of nowhere maa came towards me and hugged me so tightly. She kissed my forehead and I saw tears in her eyes.

"Kya hua maa, ro kyu rahe ho aap?aap chahti Hain ki Mai yaha se chli jau" I asked wiping her tears.

"Naa Mera bachha, kbhi nhi tum mujhe chodd k Kahi nhi jao gi. We thought you guys need some time alone. But ab nhi ab agar tum bologe bhi Mai tab bhi tumhe nhi jaane dungi. Mai aur Mera ye paglat Sid kitna Khush nasseb hai ki tum humari Zindagi me ayi ho. Jab se tere kadam iss Ghar me pade hain, ye Ghar aur bhi Sundar lgne lga hai. Teri payal ki chann chann ki awaz sabka Mann lagaye rakhti hai. Ye ronak Jo tere aane se yaha ayi hai wo Mai khone nhi dena chahti. Your not moving out." She said kissing me again. Maa bhi kitni galat Hain naa, khud ko lucky bol rahi Hain jbki sbse lucky to Mai hoon inke jaisa parivaar paa kr. Har ldki aisa sasural mangti hai, pray krti hai aur mujhe ye Sab bin maange mil Gaya. Thank you Baba ji.

"Aur haan,rahi privacy ki baat to hum log tumhe poori privacy denge pr badle me we want the same" she whispered into my ear as I chuckled. Maa bhi naa bilkul Shukla ji pe gyi Hain.

We finished our meal and I came to my room Shukla ji was behind me. I'm very upset, he didn't tell me about moving out.

"Jaana, I'm very proud of you. Jo tumne maa se Kaha sachh me maa Sahi khehti Hain. Mai aur Mera ye parivaar bahut lucky Hain." He finished and kissed my neck. Inhe kya lgta hai, ye aise baatein kare ge to Mai pighal jau gi. Naa.

"Chodiye mujhe, I need to change" I said in a cold tone.

"Kya hua laddu, kuch galat Bola Maine. Sorry baby, pr batao naa kya hua?" He asked

Bas TuΌπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα