A REALITY CHECK

567 57 101
                                    

ON THE REQUEST OF FEW OF YOU

AKSHARA - tum Abhir k biological father ho lekin Abhinav har hak se Abhir k baap hain. Tum Abhir k docman hosakte ho lekin uske pita kabhi nahi.

ABHIMANYU CLAPS LOOKING AT HIM.

ABHI (Sarcastically) - Wow Akshara Goenka oh sorry Akshara Sharma wow

AKSHARA LOOKS AT ABHIMANYU BEING CONFUSED

ABHI (folding his arms) - mein yeh jansakta hu ki tumhe hak kisne diya mere bete kah baap Abhinav ko banane kah

AKSHU (sternly) - haq diya nahi jata Abhimanyu woh haq kamaya jata hain. Jab mujhe sabse jyada jarurat thi tumhari tab tum nahi thye mere sath woh ek anjaan admi mere sath khada raha. Tufaani raat mey aapne kandho par mujhe utha k hospital pochaya unhone. Jab mey 3 din tak behos thi tab unhone samhala Abhir ko. Iss haq se woh Abhir k pita hain

ABHI (angrily) - mein unke iss ehsaan k liye jindagi bhar unka karjdar rahunga lekin tumne jo kiys hain na Akshara uske liye mein tumhe kabhi maaf nahi karunga. Tumne mujhse mere bete k barey mey chupaya. Agar tum chahti toh mujhe batasakti thi lekin tumne bataya nahi

AKSHU (angrily) - meine nahi bataya Abhimanyu ya tumne janne ki kosis hi nahi ki. Mein tumhe dinraat call karti rahi lekin tumne uthaya tak nahi. Jab Abhinav ne tumse hamare baby k bare mey baat ki tumne saaf kehdiya ki tum mujhse kuch lena dena nahi hain.

ABHI (pointing his finger) - ek minute Akshara tumne mujhe call kiya meine nahi uthaya woh meri galti hain lekin tum mujhe ek msg toh karsakti thi na. Call nahi uthaya isliye kyuki meri maa hospital k bed par padi huyi thi. Aarohi depression mey thi. Aur ek baat Abhinav ne mujhe kabhi yeh nahi kaha ki mera baccha jinda hain i repeat usne nahi kaha ki mera baccha jinda hain. Usne sirf itna kaha tha ki apako tab bhi baat nahi karni jab woh aapkr bacche k bare mey ho.

Tum khud batao Akshara jis insaan ne aabi aabi aapna bhai khoya ho. aapna baccha khoya ho, aapni maa ko ICU mey tadapta dekha ho usse iss baat kah kitna bhura laga hoga

AKSHU (shouts) - sab kuch sirf tumne nahi khoya tha Abhimanyu. Meine bhi bahot kuch khoya tha ussdin

ABHI (looking at her) - lekin tumne kho k bhi woh chij paliya Akshara. Mein hamesa Aarohi ko selfish kehta tha na Akshara lekin honestly kahu toh selfish tum ho Akshara tum. Tum khus thye Abhinav aur Abhir k sath lekin mein yaha har roj mar rah tha matam mana rah tha mein har roj

AKSHARA LOOKS AT HIM WITH WIDE EYES

AKSHARA - mujhe majbur tumne kiya tha Abhimanyu tumne kaha tha jane ko tumne kiya tha mujhe khudse durr

ABHI (tear filling his eyes) - hamesa tumne aapne pariwar k liye mere pyaar kah majak banaya hain Akshara chahe woh tilak k din ho, bade papa bimar thye tab ho, tumne har ek baar mera aur mere pyaar kah sirf majak banaya hain.

AKSHU (looking at him) - aur jo tumne hamare riste kah majak banaya woh kya tha tumne kaha ki hamara pyaar hamari shaadi sab galat hain kya woh majak nahi tha

ABHI - nahi tha majak kyuki ghusse mey sahi meine sayad sach hi kaha tha

AKSHARA STUMBLES.

ABHI (slowly) - tumhe pata hain jo bachpan tumne bina maa baap k jiya hain na Akshara woh bachpan meine bhi jiya hain maa baap k hote huye bhi. Jis tarha tum Aarohi se torture huyi hona ussi tarha mein bhi huwa hu. Tumne jo kuch bhi saha hain na wahi sab meine saha hain. Tumhe jatana nahi aata aur mujhe chupana nahi aata. Tumhara dard tumhari panic attack baya karti hain aur mera dard mera ghussa.

ABHIRAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें