Tum se hi...

680 47 37
                                    


Gaari se utar ke usne apne ek haath me pakre coat ko dusre haath me pakra aur gaari lock karta hua darwaze ki tarf barne laga. Darwaza khol ke ek jamayi leta hua woh andar aya aur ghari ki taraf nazre gayi to baara baje ke kareeb ka waqt tha.

Woh chalta hua apne kamre ki taraf gaya aur darwaze ko dheere se khola aur dabe paun andar aya aur bed ke kareeb aa ke apni biwi ko dekh ke wahin khara bas kuch lamho ko dekhta hi raha phir dheemi muskurahat ne uske honto ko chua aur woh bathroom ki taraf bar gaya. Kuch der baad kapre tabdeel kiye woh wapis aya aur dheere se bed ki apni side pe jaa ke lait gaya. Beyhad ehtiyaat se ke Amyra ki ankh na khule kyun ke woh jaanta tha uski neend kitni kachi thi aur woh kitni mushkil se raat ko so paati thi.

Woh chat ki taraf mu kar ke lait gaya jab uske baazu pe use kuch khisak ke aata hua mehsoos hua phir usne ek baazu ko abhi apne aas paas hayal hote mehsoos kiya to usne us taraf dekha. Uski ankhe band thi.

"Kab aye ho wapis?"

Uski awaaz sun ke Samir ne aona rukh halka sa uski taraf kiya aur apne mazboot baazuon ki giraft uske aap paas mazboot ki.

"Utha diya maine tumhe?"

Usne pucha to Amyra ne ankho ko halka sa khola.

"Neend aayi kab thi jo tum utha dete"

Usne kaha to Samir ne use dekha.

"Tabiyat kharab hai..?"

"Sab tumhara kasoor hai..!"

Amyra ne kaha to Samir has para.

"Ab kya kiya hai maine yaar"

"Apni aadat daalte ho phir kehte ho maine kya kiya hai?"

Amyra ne apna chehra uske seene me chupate hue kaha to woh besakhta muskura para aur uske maathe ko chooma.

"Bas do din ke liye islamabad gaya tha ab aa to gaya hun wapis"

"Do din bohat chote hote hain na jese.."

Amyra boli to Samir ne bamushkil apni hasi roki. Amyra Sikandar ab apne ehsasaat Samir Shah se nahi chupati thi. Woh uske liye woh wahid insaan ban chuka tha jiske samne woh sirf Amyra thi. Naa use mazboot banne ki zaroorat thi na use kuch sochne ki zaroorat.

Woh sirf Samir ki Amyra thi.

__________

Kitchen me aaj kuch ziyada hal chal thi jis wajah se use subha uth the hi sab se pehle kitchen ki taraf aana para tha aur samne ka manzar dekh ke woh wahn khara ka khara reh gaya.

Amyra apne samne Samahir aur Hanaan ko bithae pancakes bana rahi thi aur is waqt pancakes ka batter frypan se ziyada Amyra aur bacho ke upar tha aur Amyra tissue se bacho ko saaf karne ki koshish kar rahi thi jo ke hasi jaa rahe the.

"Allah kahan jaun main!"

Woh bolti hui dono ko ek ek side pe utha ke bathroom ki traf bhaagne lagi jab usne kuch faasle pe khare haste Samir ko dekha.

"Samir!"

Woh cheekhi magar Samir pe koi asar na hua.

IztiraarWhere stories live. Discover now