Chapter 5

639 60 47
                                    


Woh dono mu khole ab tak bethak me khare the jab Amyra dharam se wahan pare ek sofey per gir gayi aur apne sar ko dono haatho ke thaam liya ya phir yeh kehna munasib tha ke apne dupatte ke andar chupe baano ko takriban nochne lagi. Dusri taraf khara Samir heran kuch der ke liye hue zaroor tha magar uska dimaag foran kaam karne laga aur woh is sab baato ka hal nikaal me laga.

"Bas bohat hua! Main jaa rahi hun!"

Tabhi Amyra wahan se khari hui aur dono haath utha kar boli.

"Kahan?"

Samir ne apne seene ke samne haath baande kafi pur sakoon magar kafi souchen chehre per liye kaha. Seene ke samne haath baandne se uski black shirt uske baazu aur kandho se kuch tight hui thi aur uske workout ke asaraat saaf dikhayi de rahe the.

"Jahannum me!"

"Hmm bahir khare guards tumhe yaqeenan wahin poncha den ge. Kyun ke jinhe tumne abhi behayi ki baat sunayi thi na yeh pura gaon unka paaltu hai. Aur unke hukam per sab khushi khushi tumhe jahannum poncha kar ayen ge magar phir mujhe mat kehna ke maine bataya nahi"

Usne kaha to Amyra ne use khaa jaane wali naro se ghoorta.

"Yaqeenan tum to jahannum me hi milo ge mujhe. Ab Kya karun main?!"

Woh cheekhi to Samir ne kaano pe haath rakha phir aas paas dekhta hua bola.

"Yahan mulazim aas paas hi hen kamre me chalo"

Woh kehta hua aage chalne laga aur Amyra ke paas koi chaara na tha uske peeche jane ke siwa.
Kamre ke raaste me hi ek kafi umar ki mulazima mili.

"Salaam chote Shah"

"Walaikum assalaam"

Usne bagair dihan diye kaha.

"Bibi ne aap ko yaad kiya he bahu ke saath"

Usne kaha to Samir ne ukhtayi hui aah bhari magar phir sar ko halka sa hila kar bohat rude andaaz me us mulazima ko jaane ka kaha.

"Yeh masla kya he tumhari Haweli walo ka? Koi na koi tumhe yaad hi karta rehta hai aur main muft me ghaseeti jaati hun?"

"Sahi keh rahi ho"

Dono hi ukhtae hue the aur shayad jab se woh mile the is waqt pehli baar unho ne kisi baat per ikhtalaaf nahi kiya tha.
Samir se ziyada us waqt Amyra bhari pari thi. Ek din me najane aur kya hona reh gaya tha ab aadhi raat hone ko thi aur woh puri tarah thak chuki thi.

"Assalamu alaikum Maajee"

Kamre me dakhil hote hi Samir samne bed ki taraf gaya aur wahan bethi un khatoon ka haath chuma jinhe puri haweli Bibi kehti thi siwae Samir ke.

"Maa ki yaad aa gayi khote?"

Unho ne apna haath uske haath se khenchte hue kaha to Samir ne bamushkil apne chehre per halki muskurahat layi.

"Naraaz hain?"

"Nayi khushi naal pangra daalni payi aan mere puttar ne veyah kar litta e menu bagair dasse"

IztiraarWhere stories live. Discover now