Chapter 4

671 61 104
                                    


Gari apni raftaar me hi chal rahi thi Amyra ab kafi had tak khud ko sambhal chuki thi. Yeh alag baat thi ke us anjaan larke ke saath gari me bethna kuch ajeeb zaroor laga tha magar phir koi raasta bhi to na tha aur uska dil use ajeeb tassali de raha tha ke yeh khubsoorat surat aur kharoos tassuraat wala aadmi khaas kisi bhi cheez me dil chasbi nahi rakhta tha. Kuch der khamoshi me guzri magar phir woh larka puchey bagair reh na paya aur bola.

"Aap ka ghar kahan he?"

Amyra ne uski taraf dekha jo use dekhe bagair bola tha. Phir samne dekhte hue woh boli.

"Koi ghar nahi hai mera"

Uski baat per usne bhawen uchkayi.

"Oh..homeless ke hisaab se yeh branded kapre..."

"Koi masla hai aap ko?"

Amyra ne use ek nazar ghoora to us larke ne bhi uske lehje per kuch bura manaya. Woh sheeshe ke bahir dekhti rahi jab uske samne ek bara sa gate namudaar hua aur woh gate jab khula to andar ek bohat bari aur purani Haweli uski nazro ke samne ayi jise dekh ke woh dekhti hi reh gayi. Bare bare ghar usne bhi bohat dekhe the magar yeh Haweli kuch alag hi thi bilkul kisi mehel ki tarah. Gari ko rouk kar jab woh larka khamoshi se utar gaya magar Amyra wahin bethi rahi tabhi woh larka uske darwaze ki taraf aya aur khola.

"Yahin bethe rehna hai puri raat?"

Usne kaha to Amyra use ghoora phir gari se utri magar apni paun ki chout ko bhooli hui thi woh jis wajah se uska tawazun kuch bigra aur woh larkharayi magar ek mazboot seene se woh sambhal gayi. Usne dekha to woh 6'2 inch ka larka apna chehra neeche kiye dekh raha tha use. Amyra ko pehli baar andaza hua ke us larke ka kad kitna lamba tha halake uska khud ka kad 5'7 tha jo ke larkiyon ke hisaab se kafi acha kad tha.

"Sambhal ke."

Us larke ne kaha magar awaaz me ab bhi rukha pan saaf tha. Us larke ne uska haath pakar ke use darwaze tak aane me madat ki aur jab woh dono chalte hue Haweli ke darwaze tak aye aur darwaza kholne se pehle woh Amyra ki taraf dekh ke bolne laga.

"Koi dupatta nahi he?"

Usne kaha to Amyra ne use herani se dekha itna conservative woh lagta nahi tha aur sach bhi yeh tha ke woh tha bhi nahi.

"Mere paas Doraemon ki pocket to hai nahi jahan pe dupatta sambhal ke rakha ho."

"Doraemon? Khair jo bhi hai yahan seedha andar jaana sahi mahi rahe ga-"

Woh abhi apni aadhi baat me hi tha jab darwaza khula aur andar ke log samne nazar aye. Sab ki nazren un dono per pari thi aur aur un dono ke haath ko aur phir sab Amyra ki jeans leather jacket uske huliye ko dekhne lage.

"Samir?"

Dusri tarf khari aurat ne kaha to Amyra ne unhe phir apne saath khare larke ko dekha jiska naam Use abhi abhi pehli baat maloom hua tha.

"Assalamu alaikum"

Usne kaha aur foran apne dimaag ko chalane laga. Bibi ke saath unki door ki rishtedar aur Muskaan ki saas khari thi aur usse kuch aage Bare Shah ke saath Muskaan ke susar khare the aur Bare Shah ki uske andar garne wali nazro ne uske dimaag ko aur taiz chalne per majboor kiya tha.

IztiraarWhere stories live. Discover now