Chapter 6

612 65 27
                                    

Haath me rakhi un do anguthion ko dekhti hui woh kisi gehri sochon me gum thi

¡Ay! Esta imagen no sigue nuestras pautas de contenido. Para continuar la publicación, intente quitarla o subir otra.


Haath me rakhi un do anguthion ko dekhti hui woh kisi gehri sochon me gum thi. Ek anguthi use apna guzra hua kal yaad dilati thi to dusri use uske aane wala kal. Kitni ajeeb hoti hain yeh cheezen aap ki achi buri har yaad ko aap ke saath jor deti hain. Lekin phir hum in cheezon ko phenk dete hain apni kisi buri yaad se chutkara paane ki khatir magar woh phir bhi humara peecha nahi chorti. Kyun hota hai aisa humare paas najane kyun aisa koi button nahi hota jise daba kar hum apni sab buri yaaden mitaa saken bilkul kisi delete button ki tarah.

"Muskaan puttar thalle aa jaa Nikah da waqt ho gaya e"

Darwaza khula to usne foran apna haath kamar ki taraf kiya aur dobo anguthion ko chupaya.

"Aa gayi bua"

Darwaze me Haweli ki sab se purani mulazima khari thi jinhe woh Bua kehte the. Woh sar pe dupatta le kar apna khussa pehen kar chalti hui kamre se bagur ayi. Woh royal blue color ki shalwar kameez me malboos ek daraaz kad larki thi jiske kamar tak aate lambe baal chutiya ki suraat me bandhe hue the. Uski rangat gandumi si thi aur uski bari ankhe aur teekhi naak uske rang ki tarah hi khubsoorat. Jab woh bethak me ayi to Gulaam Rasool bethak ke beech me ek safaid chadar liye dusri taraf me kar ke khara tha aur ek aurat mulazima chadar ka dusra hissa pakre mu is taraf kiye khari thi. Aise ke bethak me bhi auraton ki side aur mardo ki side ko Nikah ke liye alag rakha gaya tha. Is taraf pare sofey per Bibi ke saath Ghazal khari thi aur dusri taraf ek kaale libaas me malboos larki bethi thi jiske sar per laal net se banu beyhad nafees kaam wali chadar daali gayi thi. Muskaan herani se use dekhti reh gayi magar phir Bua ne mur kar use sar ke ishare se paas aane ka kaha to woh chalti hui udhar aa gayi.

"Bua"

Muskaan ne Bua ke saath khare ho kar kaan ke kareeb sargoshi ki to woh murin aur bhawen uchka ke use sawaliya nazro se dekha to Muskaan ne Amyra ki taraf mu se ishara kiya aur bhawen uchkayi.

"Sar phiri kuri hai beta jee"

Muskaan usse pehle kuch aur puchti chadar ki dusri taraf se kisi ke chalke aane ki awaaz ayi to sab uth khare hue siwae us kaale jore me malboos larki ke aur uske bilkul samne chadar ki us taraf bethe usi ki tarah kaali Shalwar kameez me malboos larke ke.

"Assalamu alaikum Peer sahab. Aap ka bohat Shukriya humare gareeb khane tak aane ka."

Bare Shah ki awaaz dusri taraf se gunji thi. Tabhi yaqeenan Bare Shah ke ghoorne per woh kaali shalwar kameez me malboos lrka bhi uth khara hua tha.

"Walaikum assalaam."

Kisi boore shaks ki halki si awaaz ayi to Amyra ne us taraf dihan diya ab tak woh in kapro se aur sar per pari is chadar se tang aa chuki thi. Yahan woh shalwar kameez nahi pehna karti thi aur ab use sar pee ghungat tak de diya gaya tha.

IztiraarDonde viven las historias. Descúbrelo ahora