Chapter 13

518 56 68
                                    


Bed per laiti hui woh tuk tuk chat ko ghoor rahi thi ankho me gussa aur chir chirahat saaf zahir thi magar woh zabt kiye hue thi.

"Bhabi?"

Jawaab na aya to Ghazal bed ke paas ayi aur wahan paas me khari hui.

"Bhabi aap theek hain?"

Usne pucha to Amyra ne use laite laite hi dekha.

"Yeh mujhe tumse puchna chahiye"

Usne kaha to Ghazal ne sar jhukaya phir nazre churae boli.

"Meri choren..Bibi bata rahi thi ke bhai aap ka puch rahe the"

"Kyun mera kyun puch raha tha?"

Amyra ki awaaz me bezaari uske zikar pe hi ubhar ayi.

"4din ho gaye hain bhabi ab zahiri si baat he mulazim bhi baate kar rahe hain aap ke mere kamre me rehne par"

"To jab main jaa rahi thi 4 din pehle to mujhe roukte mat! Koi baat bhi na karta"

Woh gusse se bolti hui uthi to Ghazal ne harbara ke uska haath pakra.

"Mera woh matlab nahi tha Bhabi aap galat samjh rahi hain mujhe. Aap hi thi jo mere liye boli Bhabi...lekin..aap meri wajah se aap Bhai ke saath lare yeh nahi chahti main.."

"Tumhari wajah se nahi lari main Ghazal main uski wajah se usse lari hun...aur mujhe kuch der akele rehne do."

Woh kehti hui uth khari hui aur bas bahir nikal gayi. Seedha woh chat per ayi aur dayen daraf deewar ke saath pare hue lakri ke  lambe se takht pe bethi aur apne dupatte ke side se ek dabbi nikaali. Haath me pakre usne bagair soche khola aur usse ek cigarette nikala aur lighter se jalane hi lagi thi jab use mehsoos hua ke uske mu se kisi ne us cigarette ko khench liya. Usne chir kar us taraf dekha to Samir wahan khara use aur cigarette ko baar baar dekh ke heran sa dikha use.
Amyra ka gussa jese aur taiz ho gaya. Samir uske saath aa ke kuch faasle per beth gaya. Amyra ne gusse se ek aur cigarette nukaala magar phir aag lagane se pehle usne khench liya.

"Masla kya he tumhara!"

"Tum."

Woh uski ankho me dekh raha tha jo Amyra ko zara bhi acha na laga kyun ke uske aise dekhne se use aksar apna aap kahin khoo jaata hua mehsoos hota tha jo use qabool karna nahi pasand tha.

"Halake sab se bari musibat to tum ho!"

"Yeh bhi peeti ho tum?"

Samir ne cigarette ko dekh ke kaha to Amyra ki maathe ki ragen tann gayi.

"Haan ghar se pata nahi kis ke liye bhaagi thi uoar se cigarette peeti hun aur drugs drinking murder sab karti hun! Kabhi kisi mafia se milna ho to uske liye bhi mujhse raabta kar lena okay?"

Woh uski nazro me seedha dekh ke dhaari aur dhak se uth khari hui magar ek kadam lete hi uski kalhai un mazboot haatho ki giraft me mehsoos hue use. Woh aage dusra kadam na le paa rahi thi.

"Mera kehne ka woh matlab nahi tha.."

Usne kaha to Amyra ne apna chehra mora aur use  dekhti hui boli.

IztiraarWhere stories live. Discover now