Chapter 3

792 63 59
                                    

______

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

______

Shaam ka waqt tha jab use porch me gari ke park hone ki awaaz ayi thi woh apne bed per laiti hui thi magar dheere se uth kar apne joore me safai se bande baalo ko khol kar haath pher kar jese bikher diya aur phir apapne kapro ko dekha jo ke use nahi laga tha ke Mrs Shaila ko khaas bure lagen ge magar phir aaj use jo kaam tha uske liye ziyada gussa charana sahi bhi nahi tha to usne apne ghar me pehen ne wale slippers pehne aur bahir nikli. Jab seeriyan utarti hui neeche ayi to glass wall se lounge ke sofey per peechey ho kar bethi Shaila use nazar aa gayi thi jo abhi tak apne kisi case ki file dekhne me masroof thi aur saath hi kaan pe phone lagae baat kar rahi thi. Shaila apne walid ka business sambhalne ke saath saath ek law firm ki bhi malik thi aur ek bohat achi lawyer bhi yeh bhi ek bohat bari wajah thi ke woh ghar pe ziyada der reh na paatin thi.

"Jee Dad samjh gayi. Aap bas koshish karen ke aap khud aa jaen"

Woh phone pe bol rahi thi aur uski awaaz sun kar jese Amyra ke kadam thore ahista hue.

"Acha? Doctors yeh keh rahe hain?....main jaldi aaun gi aap fikar na karen."

Unki awaaz me pareshani namudar hui thi aur apne nana ki tabiyat ka sun kar Amyra bhi kuch pareshan hui.

"Kya hua he nana ko?"

Usne andar aate hue apne lehje ko rukha rakhne ki koshish karte hue pucha.

"Wohi heart problem. Pehle keh rahe the ke surgery ki zaroorat nahi hai magar ab keh rahe hain ke heart 70% kaam karna chor gaya he surgery karni pare gi."

Shaila ne kuch thakawat aur preshan awaaz me kaha to usne apna sar halka sa hila diya.

"Isi liye hum unke paas jaen ge. Shahida ki khud delivery ki dates kareeb hain to Dad ko meri zaroorat hai."

Shaila ne kaha to Amyra ne bhawen uchkai.

"Hum?"

"Haan tumhe akela nahi chor sakti main Amyra."

Unho ne kaha to Amyra ne iztehzaiya muskura kar kaha.

"Akele nahi chor sakti? Huh...jaen aap nana ke paas bakiyon ke naa sahi apne baap ke kaam aa jaen."

Usne kaha to Shaila sirf use dekh ke reh gayin kya kehti woh use.
Hun unhe samjha sakte hain jo samjhna chahte hain unhe nahi jo aap ki kisi baat ko sunne ke liye taiyar hi na ho.

__________

Razi apne office me betha hua apni kursi per betha betha hi gol gol ghumi jaa raha tha jab dusri taraf se ek larki chalti ayi.

IztiraarWhere stories live. Discover now