Chapter 17

569 62 72
                                    


"Kya kar rahe ho yahan?"

Uski awaaz per woh jaibon me haath daale araam se mura.

"Tum yahan kya kar rahi ho?"

Uski baat per Amyra ne bhawen uchkayi.

"Apne ghar ayi hun"

Samir ne uski baat per nazre chura ke saans liya.

"I know tum Mishal ki wajah se aa gayi thi, thank you uske liye magar ab wapis chalo?"

Usne uski nazro me dekhe bagair kaha tha magar Amyra usi tarah wahan seene ke samne baazu bandhe khari thi.

"Kyun?"

"Ghazal sawaal kare gi."

"Use main bataa ke ayi thi ke kuch din apne ghar guzarun gi aur ziyada kuch hua to use call kar lun gi tumhare ghar ke number per aur number mujhe send kar dena mere paas nahi he"

Woh keh kar wapis muri.

"Tum ghar aye mehmaan ko paani bhi nahi poochti?"

"Pedaishi badtameez hun."

Uski awaaz per uske kadam ruke aur woh mure bagair boli aur phir chalti hui andar chali gayi.

"Ek akhri baat puchun?"

Amyra is baar darwaze ke paas ruki aur mur kar boli.

"Tum yeh andar aane ke liye kar rahe ho?"

"Koi shouk nahi he andar aane ka bas waise hi ek sawaal dil me aya."

Usne sar jhatak kar kaha.

"Kaisa sawaal?"

"Tum Mishal ko bata bhi sakti thi ke tum kon ho tumhara konsa kuch jaana tha. Phir tumne mujhe kyun us situation se bachaya?"

Uske lehje me sach me tajajjus tha. Amyra pehle use dekhti rahi phir nazre chura ke boli.

"Tumhare liye nahi...ghazal ke liye kiya tha..main bata deti tumhari girlfriend koi drama karti to Ghazal pe kya asar parta? "

Samir bas use dekhta reh gaya. Samjh se bahir tha ke use kehta to kehta kya.

"Aur koi sawaal?"

Amyra ne pucha to usne sar ko nafi me hilaya aur is baar woh mur kar apni gari ki taraf bara tha. Khamoshi si chaayi thi dono ke beech. Ek aajeeb khamoshi. Ankahe jazbaat aksar bohat gehri khamoshi aap ke andaar utaar dete hain aur woh ankahe anjane jazbaat Samir ko bohat tang karne lage the ab.


_________


"Assalamu alaikum Bhai"

Dining room me beth ke nashta karti Ghazal ne Samir ko aata dekh ke kaha to Samir ne halki muskurahat ke saath jawaab diya aur uske samne wali kursi per beth gaya.

"Aap kaam pe jaa rahe hain?"

Ghazal ne Samir ko suits me dekh ke pucha. Samir ne coffee ka ghoont bharte hue sar ko hilaya.

IztiraarWhere stories live. Discover now