Chapter 2

939 62 57
                                    

_____

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


_____

"So jo news hum sun rahe hain sach he woh?"

Us shaandar si party me mulk ke bohat bare bare businessman apni biwi ya phir girlfriends ke saath aye hue the. Samir bhi wahin tha aur uske saath hi Mishal bhi khari thi jo beyhad khubsoorat se gown me malboos thi. Aur uske saath khara Samir apne branded suits aur mehengi ghari pehne hue baalo ko humesha ki tarah peechey ko kar ke set kar ke beyhad handsome lag raha tha hatta ke woh us party me har larki ki nazar khud per mehsoos kar sakta tha jis per woh zeher e lab muskura deta.

"Kaisi news?"

Woh jaanke anjaan bana.

"Yehi ke aap aur Mishal shadi karne wale hain?"

"Alamgir sahab yeh sab baate to chalti rehti hain aap business ki baat karen"

Woh has kar unke kandhe per haath rakhta hue bola to Mishal ne use ankh ke kone se dekha phir jese khudi apne aap ko tasalli di ke woh jo kar raha to un dono ki behtari ke liye kar raha tha yeh waqt sach me sahi nahi tha. Magar dil tha ke use gaaliyan de raha tha apni is galat fehmi per.

"Samir"

Usne aage ho kar uske kaam me sargoshi karne ki koshish ki magar uska kad itna lamba tha ke woh wahan tak heels pehen ne ke bawajood nahi ponchi Samir ne use dekha to kuch jhuka aur uski baat sunne laga.

"Main jaana chahti hun."

"Magar party to abhi chal rahi hai?"

Usne kaha to woh boli.

"Meri flight he kal movie ki shooting ke liye mujhe Greece jana hai bataya tha maine tumhe"

Usne kaha to uske chehre pe aati herani se use andaza ho gaya ke use aisa kuch yaad nahi tha.

"Okay."

Uske bemurawwat andaaz per jese uska dil kata tha.

"Okay? Tum mujhe chorne nahi chalo ge?"

"Tum chahti ho ke main aun?"

"Baat mere chahne ki to hai hi nahi Samir."

Woh keh kar mur gayi aur maazrat karti hui parking lot ki taraf bhar gayi. Samir ne use jaate dekha aur kuch chir kar sar peeche kiya.
Auraten itna sar kyun khaati thin.
Uska yeh sawaal kabhi sulajhne wala nahi tha.

IztiraarWhere stories live. Discover now