Chapter 22

359 43 78
                                    

Boys : Dada?

Zaina : Aree, dada ko nahi jante? Iss gao mein sabke dada hai vo. Humare maseeha, Mithun dada.

MLA : Mithun da, aapne yaha aane ki takleef kyu ki? Mujhe bola hota, main gadi bhijwa deta

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

MLA : Mithun da, aapne yaha aane ki takleef kyu ki? Mujhe bola hota, main gadi bhijwa deta.

Junaid : Lagta hai, MLA bhi dada se bohot darta hai.

Anushka : Appi ne kya bola, vo dada hai! Sab unse darte hai! Yeh MLA toh unke aage kuch bhi nahi hai!

Mithun : Mujhe gadi ki zarurat nahi hai, Suman! Meri jaha zarurat hoti hai, main vaha pohoch jata hoon.

Naman : MLA ka asli naam Suman hai?

Yeh sunke ladke aur ladkiyan aapas mein hasne lagte hai.

Babu : Dada, aap kya lenge? Chai coffee?

Mithun : Filhaal toh mujhe Suman ki leni hai. Maine suna ki tum apne beton ke sath Babu ki betiyon ki zabardasti shadi kara rahe ho?!

Aman : Aur mere bete Huzaif ki bhi!

MLA awkwardly hasta hai.

MLA : Nahi, nahi, dada. Mujh mein vo himmat kaha? Mere beton ko unki 3 betiyan pasand aayi iss hi liye main unki shadi karvana chahta tha. Aur Babu bhaiya ki betiyan bhi itni sanskari hai ki unhe toh koi bhi apne ghar ki bahu banana chahega.

Mithun : Uski betiyan sanskari toh hai. Lekin tere bete unke layak nahi hai. Pehle apne beton ko thik kar, phir baat karna.

Zayan : Kya swag hai dada ka!

MLA : Iss hi liye toh unki shadi kara raha hoon. Inse shadi karke mere bete sudhar jayenge.

Mithun : Jab tu unhe itne saalon mein nahi sudhar saka toh yeh bacchiyan kuch dino mein kya hi sudhar lengi? Nahi hogi yeh shadi, apna boriya bistra bandh aur yaha se nikal jaa isse pehle ki main kuch kar baithu.

MLA bohot hi sharminda hoke apne logo se kehta hai.

MLA : Chalo.

MLA ke jane ke baad Babu Mithun ke samne hath jodke khada ho jata hai.

Babu : Thank you, dada. Agar aap nahi hote toh meri betiyon ki zindagi barbaad ho jati.

Mithun Babu ke hath pakadke bolta hai.

Mithun : Thank you mat bol, Babu. Kya teri betiyan meri beti jaisi nahi hai? Apni betiyon ke liye kya main itna bhi nahi karunga?

Babu : Dada, abh aapko kya batau? Main yaha aaya tha apni badi beti ki shadi karane. Lekin jabse yaha aaya hoon ek ke baad ek musibat aati hi jaa rahi hai. Main kya karu?

Mithun : Tu chinta mat kar, Babu! Jab tak teri beti ki shadi nahi ho jati, main yahi rahunga! Main bhi dekhta hoon kaun iss shadi mein rukawat dalta hai! Johnny!

Bhool Bhulaiya || CompleteWhere stories live. Discover now