Chapter 15

417 41 51
                                    

Navi ke chillane ki awaaz sunke sab kitchen mein aate hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Navi ke chillane ki awaaz sunke sab kitchen mein aate hai.

Imran : Navi!

Farida : Beta, use jaldi uthao. Hospital leke jana padega.

Babu : Johnny! Taxi leke aa!

Johnny mama taxi lene jate hai. Imran Navi ko uthake bahar le jata hai aur taxi mein bithata hai. Mariam (Navi ki maa) aur Javed (Navi ke pita) bhi taxi mein baithte hai. Aur baki ke ghar wale dusri taxi leke hospital jane lagte hai.

Navi : AAAHH! IMRAN, MUJHSE SEHEN NAHI HO RAHA!

Imran : Bas thoda aur, hum bas pohoch hi gaye hai. Ammi, delivery ki date ko toh abh der hai. Abhi labour pain kyu shuru hua?

Mariam : Kabhi kabhi baccha jaldi paida ho jata hai. Kuch keh nahi sakte. Pregnancy ke akhri mahine bohot complicated hote hai.

Navi Imran ke hath ko itne zor se pakadti hai ki uska hath almost tut jata hai.

Imran : Lambi lambi saansein lo. Sab thik ho jayega!

Vo sab hospital pohochte hai. Navi ko wheelchair pe bithake andar leke jate hai. Aur baki ke ghar wale bhi pohochte hai.

Imran : Doctor!!! Meri wife ka labour pain shuru ho gaya!

Ek nurse aur ek female doctor unke paas aate hai aur Navi ko check up ke liye le jate hai. Thodi der baad doctor bahar aati hai.

Imran : Doctor, kya hua? Navi aur baccha thik toh hai na?

Doctor : Patient aur baccha dono thik hai. Aur unhe labour pain nahi hua tha. Pregnancy mein aksar aise hota hai. Ise hum false alarm kehte hai. Abhi vo thik hai, aap unhe le jaa sakte hai.

Doctor wapas apne cabin mein chali jati hai.

Tausif : Dhat! Hum log faltu mein hi itni tension le rahe the! Chalo, ghar chale.

Tausif : Dhat! Hum log faltu mein hi itni tension le rahe the! Chalo, ghar chale

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Badi dadi : Kya hua? Sab wapas kyu aa gaye? Khushkhabri laye ho ki nahi?

Babu : Dadi, false alarm tha.

Badi dadi : Matlab?!

Junaid : Bacche ne humare sath paida hone ka prank kar diya.

Ghar ka doorbell bajta hai. Basanti jake darwaza kholti hai.

Basanti : Inspector sahab aaye hai!

Basanti unhe aane ke liye raasta deti hai.

Chiragh : Salam.

Aman : Baithiye na, inspector sahab. Aap kya lenge? Chai coffee?

Chiragh : Aap jo bhi denge vahi lenge hum. *to Navi* Aap wheelchair mein kyu baithi hui hai? Kuch hua hai kya?

Imran : Vo, meri biwi ko thoda dard ho raha tha pet mein. Toh hum abhi hospital se aa rahe hai.

Chiragh : Babu bhaiya, hume thoda washroom jana hai. Aapke bathroom kidhar hai?

Babu : Yaha samne se jake left, phir right aur phir left pe hai.

Chiragh phir bathroom dhundne chale jate hai.

Mayra apne khilono ke sath khel rahi hai. Lekin tabhi vo dekhti hai ki inspector Chiragh unke ghar mein kuch dhund rahe hai. Vo unke paas jake kehti hai.

Mayra : Inspector uncle, aap kya dhund rahe ho?

Chiragh : Mayra, aapki mumma kaha hai?

Mayra : Mumma toh humare room mein hai.

Chiragh : Toh beta aapka room kaha hai?

Mayra Chiragh ki taraf hath badhati hai aur Chiragh use god uthata hai. Phir Mayra use apna room dikha deti hai.

Chiragh room ke darwaze pe knock karta hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Chiragh room ke darwaze pe knock karta hai.

Aisha : Kaun?

Chiragh : Hum hai.

Aisha : Inspector, aap?

Chiragh aur Aisha baaton mein lag jate hai. Aur phir Chiragh iss hi mauke ka faida leke ek sawal bhi puch lete hai.

Chiragh : Aisha ji, agar aap bura na mane toh ek sawal puche?

Aisha : Haan ji, zarur.

Chiragh : Aapne kabhi dobara shadi karne ke bare mein socha hai?

Aisha thoda udaas hoke kehti hai.

Aisha : Mere liye dobara shadi ke bare mein sochna aasan nahi hai. Ek vidhwa se kaun shadi karna chahega? Khas kar jab uski ek bacchi bhi ho. Mayra abhi choti hai. Use agar mera pati pasand nahi aaya toh main shadi nahi kar sakti. Aur Mayra bohot possessive hai mujhe leke. Toh agar koi mujhe ek bacche ke sath accept karle aur Mayra ka acche se dhyaan rakhe toh mujhe kya hi aitraaz ho sakta hai?

Chiragh : Aisha ji, aap negative mat sochiye. Ho sakta hai ki koi ho jo aapko aur Mayra ko vo pyaar de jo aap deserve karte ho. Ho sakta hai vo aadmi aapke aas paas hi ho lekin aap nahi dekh paa rahi.

Tabhi Mayra chupke se Chiragh ke belt se handcuffs leke un dono ke hath sath mein bandh deti hai aur chabi leke vaha se bhaag jati hai. Chiragh aur Aisha Mayra ka naam pukarte reh jate hai.

Aisha : Mayra! Yeh kya kiya?! Sorry, inspector. Bohot badmash hai yeh ladki! Main abhi use sidha karti hoon.

Chiragh : Koi baat nahi Aisha ji. Bacche toh shararat karte rehte hai.

Phir Aisha use dhundne nikalti hai aur Chiragh piche khicha chala jata hai.

Aisha : Mayra! Mayra!

Badi dadi : Kya hua, Asha? Itna chilla kyu rahi hai?

Aisha : Dekhiye na, dadi, Mayra ne inspector ke handcuffs se hum dono ko bandh diya aur chabi leke bhaag gayi.

Badi dadi : Yeh aaj kalke bacche! Inhe zara bhi badi ki izzat karni nahi aati. Chandu beta, tum ghabrao mat. Hum tumhara hath jaldi alag karwa denge?

Chiragh : Chandu?

Aisha : *points at him* Aap.

___________________________________________

A/N : Do you know what keeps me entertained? Your responses! Just like how my story keeps you entertained. So better keep me entertained to get more good stories!

Bhool Bhulaiya || CompleteWhere stories live. Discover now