Chapter 21

378 38 77
                                    

Bunty : Maine puch ring kaha hai!

Hridia : Vo...

{Flashback}

Yasir se jhagda karne ke baad Hridia apne kamre mein aake ghusse se chillati hai. Vo apne engagement ring ko dekhti hai aur use uss Bunty ka chehra yaad aata hai. Vo ghusse mein ring utarke dur phek deti hai.

{End of flashback}

Hridia : Vo maine kho di...

Bunty : Kya?! Choti bacchi ho kya?! Itni careless kaise ho sakti ho tum?!

Hridia : Sorry...

Bunty : Tumhare Sorry se ring nahi mil jayegi!

Bunty Hridia pe apna hath uthane jata hai lekin koi uska hath pakad leta hai.

Yasir : Auraton pe hath uthane ko mardangi nahi kehte. Himmat hai, toh apne barabar ke kisipe hath uthake dikhao.

Bunty apna hath chudwake bolta hai.

Bunty : Tu kaun hai be?! Tu kaun hota hai bolne wala?!

Yasir : Tameez se baat karo. Bada hoon tumse, umar mein bhi aur soch mein bhi. Humare ghar ki ladkiyon ke sath yeh sab nahi chalega. Abh chup chap nikal jaa yaha se varna tere baap ko phone karunga.

Apne baap ka naam sunke Bunty vaha se chala jata hai. Hridia Yasir ka shukriada karne wali hoti hai lekin Yasir kehta hai.

Yasir : Zyada khush hone ki zarurat nahi hai. Yeh mat socho ki main tumhari parva karta hoon. Kisi bhi ladki ke liye main yahi karta.

Yasir vaha se chala jata hai.

??? : Huzaif!

Hoppla! Dieses Bild entspricht nicht unseren inhaltlichen Richtlinien. Um mit dem Veröffentlichen fortfahren zu können, entferne es bitte oder lade ein anderes Bild hoch.

...??? : Huzaif!

Huzaif : Ji, main?

...??? : Haan, aap. Aapne mujhe pehchana nahi? Main Rinki, MLA ki beti. Mere abbu ne bola tha ki mere shadi kisi anjaan ladke se thik Kara di hai. Mujhe toh shadi mein koi interest nahi tha. Maine saaf mana kar diya. Lekin abbu ne zabardasti mujhe yaha bhej diya. Main aapko mana karne wali thi, lekin aapse milne ke baad mere khayal badal gaye hai.

Huzaif : Toh?

Rinki : Toh, abh mujhe aapse shadi karne se koi aitraaz nahi hai.

Tehrim vaha aati hai aur Huzaif ko kisi aur ke sath dekhke ghusse mein aag babula hoti hai.

Tehrim : Kya chal raha hai yaha pe?

Rinki : Main dekhne aayi thi ki mere abbu ne mere liye kaisa pati chuna hai.

Huzaif dar jata hai kyuki use pata hai ki Tehrim ka ghussa bohot khatarnak hai.

Bhool Bhulaiya || CompleteWo Geschichten leben. Entdecke jetzt