Chapter 11

481 40 156
                                    

Huzaif Junaid ke samne kagaz pakadke khada hai jisme Junaid ke bolne ke liye lines likhe hue hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Huzaif Junaid ke samne kagaz pakadke khada hai jisme Junaid ke bolne ke liye lines likhe hue hai. Junaid ke ek line bolne ke baad vo uss kagaz ko hatake dusra kagaz dikhata hai.

Junaid : Najane kaisa savera hai,
Khili dhup mein bhi andhera hai,
Vo gum hai apni duniya mein,
Use kaise kahe vo sirf mera hai?

Junaid apna phone hath se cover karke Huzaif se kehta hai.

Junaid : Kaisi tucchi shayari hai yeh?!

Huzaif : Tu bas chup chap bol use!

Junaid wapas phone pe baat karne lag jata hai.

Zaina : O Facebook ke dil tute shayar! Kya kehna hai sidhe sidhe kaho varna main phone rakh rahi hoon.

Junaid : Nahi, nahi!

Huzaif use next page dikhata hai.

Junaid : Aapse bohot pyaar karte hai hum. Aapke bina hum jee nahi payenge.

Zaina : Tujhe Tera baap yaha chhod ke gaya hai ki teri maa?!Mere upar toh hazaro ladke roz marte hai. Toh main kya karu? Sabko dil deti phiru?! Samne se aake kehne ki toh himmat nahi hai, phone pe muh chupake baat kar raha hai. Mere chacha Army mein hai. Tere ghar ke upar se tanker chalva dungi! Ghar pe meri behen ki shadi hai, agar ek aur baar mujhe pareshan kiya na, toh meri behen ki shadi se pehle tera janaza padhwa dungi! Tu hai kaun be?! Number kaha se mila tujhe mera?!

Junaid : Sorry, sorry! Gustakhi ho gayi humse. Dobara aisa nahi hoga!

Zaina : Teri Amma ki bhais ki aankh! Tu bata mujhe tu hai kaun?!

Junaid turant uska phone kaat deta hai.

Zayan : Bhai, tumhare kaan se khun nikal raha hai.

Junaid apna kaan touch karke dekhta hai.

Naman : Maine pehle hi bola tha.

Zayan : Meri baat maan ke tahajjud padh liya hota, toh yeh sunna nahi padta.

Junaid Huzaif ke upar kud padta hai. Aur uski jamke pitai karta hai.

Junaid : Bhai keh lane ke layak nahi ho aap! Allah kisiko dushman bhi na de aise!

Taemoor : Mujhe toh laga tha ki Zaina toh sanskari thi.

Naman : Sanskari thi iss hi liye toh gaali di! Koi bhi shareef gharane ki ladki kisi anjaan aadmi ke flirt karne pe aise hi react karegi. Aur vo Babu uncle ki beti hai, isliye gaaliyan bhi di.

Salim : Chalo iss baat ka toh shukar hai ki usne tujhe pehchana nahi.

Ladko ko kya hi pata tha ki unki sari harkate Johnny mama dekh rahe the.

Bhool Bhulaiya || CompleteWhere stories live. Discover now