Meine aajtak bahot suna ki badi ho samajdar banjao lekin aab aur nahi sunsakti mein. Isne mujhe hamesa Sirat mumma ki mout ko leke blame kiya lekin aap mey se kisi ek ne bhi isse rokne ki kosis ki nahi ki kyu kyuki aap iski jidd aur jalan ko bachpana samajte rahe aur mein issi ummed mey rehgai ki kabhi toh mujhe meri Aaru milegi lekin aajse mein woh ummed bhi todti hu.

Aap sab mujhe ghar aane ko kehte rahe lekin kya kabhi aap mey se koi mujhe hak se lene aaya nahi aaye. Kya aapmey se kabhi kisine janna chaha ki mein wapas kyu nahi aana chahti thi nahi. Aap sab ko pata tha kahi na kahi mere wapas na aane ki wajha Aarohi thi tab bhi aaplogo ne isse nahi samjhaya mujhe wapas bulane k liye. Bahot beti beti kehte hain na aap sab mujhe toh jab iss ghar ki beri 3 saal tak ghar se durr thye kya aapmey se koi ekbar bhi mujhse milne aaya nahi aaye aakhir aate bhi kyu aapke pas aapni topper honhar beti jo thi.

Mujhe bhi aap sab k saath rehna kah maan karta tha lekin Aarohi ki kadwi baatein aap sab kah uske bartav ko leke ignorance hamesa mujhe wapas aane se rokdeti thi. Aap sab hamesa se isse jyada pyaar aur prefer karte thye kyuki yeh toh Goenkas ki topper beti hain na aur mein ek failure..

(Looking at Aarohi)Maa khone kah dard sirf tujhe nahi mujhe bhi huwa tha Aarohi, papa meine bhi khoyi thi lekin usse jyada dard mujhe tab huwa jab tu barbar mujhe mumma ki mout k liye blame karti thi. Meine tere liye aapni family xoddiya lekin tab bhi tera jalan kaam nahi huwa, tere khushi k liye meine aapna pyaar tak kurban kardiya tab bhi tujhe mujhse problem hoti rahi. Tu bata aab mein kya tere liye duniya xoddu

MIMI (with moist eyes) - nahi Akshu yesa maat kaho tum hamari Naira aur kittu ki aakhri nisaani ho

AKSHU - Aapko pata bhi hain ki mein aapki Naira aur Kittu ki aakhri nisaani hu hain na Mimi aur aap sabko iss aakhri nisaani ki khushi ki jarasa bhi parwa nahi hain na (chuckels)

MANISH - Akshara dekho Abhi

AKSHU - haa kahiye na bade papa aur kya dekhu. Bachpan se Aarohi ki nafrat aur jalan toh dekhti aarahi hu aaj aapne pariwar k maan mey aapne pyaar k liye kitni nafrat hain woh bhi dekhliya aur kuch bacha hain dekhne ko

MANISH - Abhimanyu sahi ladka nahi hain beta samaj kyu nahi rahi ho

AKSHU (shouts) - aap kyu nahi samaj rahe hain ki mein aur Abhi ekdusre se pyaar karte hain. Aarohi k liye Abhimanyu sahi hosakta tha lekin mere liye nahi kyu kyuki issbar khushi Aarohi k nahi meri jholi mey aai hain

MANISH JUST SIGHED. EVERYONE FEELS THE MATTER GOING WORSE.

AKHIL - Akshu dekhi beta pehle woh rista leke aaya kiske liya laya woh bhi nahi batay

AKSHU (looking at Akhil) - kyuki usse batane nahi diya gaya aap sabne toh kehdiya tha na ki aap jante hain ki rista kiske liye hain. Agar ussdin aap sab usse naam lene dete toh baat wohi clear hojati itni confusion hotihi nahi.

SWARNA - Lekin beta woh baad mey rista Aaru k liye bhi leke aaya na

AKSHU - Woh isliye kyuki Manjiri aunty ki tabiyaat kharab bhi thi. Abhi ne unki khushi k liye Aarohi se shaadi k liye haa ki thi

MANISH - fhir bhi mujhe woh ladka sahi nahi lagta

AKSHU - aapko sahi lagega bhi nahi afterall aapko aapne ego k aage kuch dikhai kaha deta hain

KAIRAV - Akshuu bas kar beta

AKSHU - haa bas kar rahi hu bhaiya aap bas hogaya hain aap se None of you will decide ki mein kya karungi aur kya nahi. Aabse Akshara wohi karegi jo usse sahi lagega

AKSHARA WAS ABOUT TO STEP OUT WHEN MANISH GRABS HER HAND AND PULLS HER INSIDE

MANISH (loudly) - ekbar kehdiya na tum uss ladke se milne nahi jaogi toh nahi jaogi

AKSHU (yells) - kyu kyu nahi jasakti mein Abhi se milne. Jab Aarohi ne aapse Abhimanyu k bare mey baat ki tab aap sab Aarohi ki khushi k liye mangaye lekin aab jab Abhi aur mein ekdusre se pyaar karte hain toh aap hamare pyaar ki dushman kyu bane huye hain. Kya Abhi se pyaar karna meri galti hain?? Kya Aarohi ki khatir chup rahi yeh meri galti hain?? Aarohi ki khushi aur usse dubara aapne Aaru banana chahti thi yeh meri galti hain?? Ya Kairav bhaiya k kehne par mein wapas nahi gai yeh meri galti thi?? Aarohi k barbar mujhe aapni maa k mout k liye blame karke mujhe mentally harass karti thi tab kyu nahi bole aap sab?? Aarohi jidd karke sab pana janti hain lekin mein nahi yeh meri galti hain kya?? Aap sab mujhe kis baat ki saja derahi hain??

Mujhe ussidin Naira mumma k sath marjana chaiye tha aaj meri wajha se Abhi itni takleef mey toh nahi hota.

THE TEARS AKSHU WAS HOLDING LONG BACK COMES OUT. AKSHU FALLS DOWN ON HER KNEES

KAIRAV - chal Akshu Abhimanyu k bail karwane

AKSHU LIFTS HER FACE. KAIRAV GENTLY WIPES HER TEARS.

KAIRAV - Abhimanyu tujhe yese nahi dekh payega beta shaant hoja

AKSHU NODES AND STANDS UP.

EVERYONE ELSE JUST LOOKS AT THEM LEAVING....

SO TELL ME GUYS SHOULD I CONTINUE WITH THIS PART??

IF YES WHAT DO YOU WANNA SEE AHEAD??

ABHIRAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें