SEAS OF BITTERSWEET TRUTHS

Start from the beginning
                                    

AAROHI - haa karti hu bahiot jyada nafrat karti hi tujhse kyuki teri wajha se meri maa chaligai, tune Abhi ki mujhse chinah aur aab gharwale bhi mere khilaf hogaye teri wajha se tu mar kyu nahi jati Akshara

AKSHU (with a hurtful voice)- Aaruuu

AAROHI - Bachpan se meri sari khushi aadhuri rehgai sirf teri wajha se Akshara tune mujhse mera sab kuch chinliya. Abhi mera tha lekin tune usse bhi mujhse chinliya. Meri mumma papa family aur Abhi sab kuch

AKSHU (in loud tone) - Bas Aarohi Abhi tera nahi mera hey. Abhi mera tha,mera hey aur mera rahega. Mumma ki mout sirf ek accident thi sirf ek accident yeh baat tujhe bhi acchi tarike se pata hain Aarohi. Mein chup hu iska yeh matlab maat samajhna ki mein kuch bol nahi sakti ta teri baatein sahi hain. Meine tujhse nahi tune mujhse mera sabkuch chinah hain. Bachpan se bahot boli hain tu aur bahot suni hu mein lekin aab nahi. Meine tujhse nahi kaha tha ki tu shaadi xod k chali ja meine tujhe samjhaya tha ki maat ja lekin tu nahi mani. Tu bachpan se selfish, self-obessed, jealous aur insecure thi hain aur rahegi. Tujhe sirf tu dikhai deti hain aur koi nahi. Teri wajha se kise kya feel hota hey kise dukh hota hain isse tujhe kuch farak nahi parta. Tere liye agar kuch matter karta hain toh woh bas tu akeli hain. Aur ek baat ussdin jo sidiyo se niche ghiri thina woh sirf teri nahi meri bhi mumma thi. Agar aaj woh hamare bich nahi hain na toh uski wajha sirf tu hain Aarohi sirf tu. Mimi, badi maa, bade papa, AG, choti maa sab ne mana kiya tha tujhe mandir jane ko lekin tune kisi ki nahi suni aur chaligai agar tu ussdin jidd na karti toh aaj mumma hamare sath hoti. Agar mumma ki mout k liye kisi ko blame karna ho toh khud ko kar mujhe nahi

AAROHI - Tu aapni galti k liye mujhe maat blame kar meri mumma ki mout

KAIRAV (angrily) - Bas kar Aarohi bas bahot bol liya aab ek aur sabdh nahi Akshu k khilaf. Bachpan se sab sunta aur dekhta aaya hu lekin aab aur nahi. Aur kitna blame karogi Akshu ko hamesa se sunta aaya hu meri mumma meri mumma. Kya akeli teri mumma thi woh hamari kuch nahi. Jitna dard tujhe huwa hain na Aaru utna dard mujhe aur Akshu ko bhi huwa hain bas humne kisi ko blame nahi kiya teri tarha. Aur galat kya kaha Akshu ne jab sabne mana kiya tha toh tu gai kyu ghar se bahar na tu bahar jati na yeh sab hota.

Aur ek baat Akshu ne tujhse kuch nahi chinah hain balki Akshu ne toh aapne pyaar ko teri thaali mey saja k dediya. Yeh ladki Abhimanyu ko khudse durr karti rahi tere khatir yeh tujhe dikhai nahi diya. Akshu Abhi ko tere khatir xodti rahi tere liye aapne pyaar ko tukrati rahi yeh tujhe dikhai nahi deta kya bas jab dekho tab Akshu k piche uss baat ko leke doudrahi hain jismey Akshu se jyada teri galti thi. Akshu ne hamesa tujhe sabkuch diya hain Aarohi lekin tu itni aandhi hogai hain aapne jalan mey ki tujhe kuch nahi dikhai derah hain. Aarohi Goenka janti hain tu aaj yaha khadi kiski wajha se hain sirf Akshu ki wajha se. Tera paida hone k baad tera bachna bahot muskil tha tab Akshu ne aapna rakshya dhaga nikal k tuhhe diya tab teri dhadkaan sunaidi. Akshu ne bachpan se aapni har ek gift, dresses sab kuch tujhe diya lekin tune kabhi uski value nahi ki. Aur ek baat yaad rakhna Aarohi Sirat mumma ki death sirf ek hadsa tha sirf ek hadsa iss baat ko aab gath bandle..

AKSHU - Aur ek baat Aarohi mein aajtak Sirat mumma ko kiya huwa promise ki wajha se chup thi lekin aab aur nahi. Agar tujhe mera pyaar, care samaj nahi aata toh aab mein aur try nahi karungi. Mein aaj unse kiya huwa wada todti hu. Mein aajse tere liye kuch bhi nahi karungi kuch bhi nahi. Meine hamesa teri khushi ko aage rakha lekin aab aur nahi aab bahot hogaya hain. Meine bahot kosis ki hamare bigde huye riste ko sahi karne ki lekin aab aur nahi thakgai hu mein tujhse ladte tera blame sunte sunte. Aaj se mera tere sath koi rista nahi hain Aarohi Goenka. Mujhse kisi bhi tarha ki expections maat rakhna. Aur mujhe kisi bhi baat k liye blame toh maat karna. Aaj tak tune aapni behen Akshu dekha hain aab tu aajse KAIRA ki chotu sherni dekhegi

AAROHI - aap sab chupchap kyu hain kahiye na isse ki galti iski thi ki yeh mere piche piche mandir tak chali aai

MANISH (loudly) - Bas bahot hogaya Aarohi humne socha tha ki waqt k sath tum samaj jaoge lekin hum galat thye tum aapne jidd aur jalan mey utni andhi hogau hain ki tumne sach ko dekh k bhi andekha kardiya hain. Haa agar Akshu mandir nahi jati toh Sirat jinda hoti lekin yeh batao Aarohi Akshu mandir kyu gai. Kyuki Akshu ko fikar thi tumhari agar tum jidd karke hamari baat na maan k ghar se bahar nahi jati toh yeh sab nahi hota Aarohi

AG (with moist eyes) - Meine hamesa tera sath diya Aaru lekin yeh baat mey mein tera sath nahi desakti kyuki galti teri hain. Tujhe hamari baat manna chaiye tha. Aur Abhimanyu k riste k liye haa kehna hamari galti thi kyuki humne kabhi Akshu ki dil ki baat janne ki kosis nahi ki. Humne hamesa Akshu ki chuppi ko uski marji samjhi jab Akshu hamesa chup teri khatir hoti thi

SWARNA - Hamesa Akshu aapni khushiyo se jyada teri khushiyo k bare mey sochti hain Aaru yeh baat tu bhi acche se janti hain. Humse koi kami rehgai ki hum tum dono behno ko ek nahi karpaye. Kya kami rehgai hamari parwaris mey.

MIMI (with moist eyes) - Akshu Naira ki parchai isliye nahi kehte ki woh aapno k khushi k liye aapni khushi bhuljati hain lekin isliye kehte hain ki Akshu mey humey Naira dikhaideti hain. Wohi pyaari hasi, aapno k liye pyaar, sab ko sath mey rakhne ki kosis, sab k liye pyaar aur izzat.

MANISH - humey maaf kardena Akshu ki hum kabhi tumhe samaj nahi paye. Humesa tumhe jhuti tassali dete rahe ki Aarohi waqt k sath samaj jayegi lekin aaj kehte hain Aarohi kabhi nahi samjhegi tumhare pyaar ko Akshu. Abhimanyu maaf kardena humey aur humari bacchi ko

ABHI JUST NODES..ABHI HOLDS AKSHU HAND AND TAKES HER WITH HIM..

ABHIRAWhere stories live. Discover now