P O E M

43 6 8
                                    

Purane jakham to haare h abhi
Waqt hi na mila to bhare hi nahi
Dil h ye besabar jo h fir rahoon me
Dubi hui kashti se isne shikha nhi
baaton me hum unki khone lage
Jaagte rhte h ab,kum sone lage
Chashni h,sehad si h unki zubaan
Lg gyi h jo  lat to fir nhi h dawaa
Har guzarti hawa keh rhi h mujhe
Jo v hal-e-dil hai unhe bta dijiye
Tham kr inko ab sb bhula dijiye
Dil-o-dimagh me aisi sulah kijiye
Haste huye wo aur khule baalon me
Benoori surang me dikhe noor se
Hs ke punch le agar mai kis haal me
Sukoon dil ko mile unke is sawaal se
Dhundate hai hum unko taaron ki parchhain me
Dard me,har karahti angdai me
Pyar gar zurm h to gunahgar mai
Kaid kr lo mujhe kisi karagar me
Unke dil ka banu
Chor bhi mai aur hawaldar mai
Magar
Sochta hun,rok lun mai ye badhate kadam
Tutne se hi phle ruk jo jaayen ab hum
Pyar se koi do lafz keh de to kya hoga
Jo jakhm h wo thoda aur gehra hoga

Mohabbat ki baat krte krte
Jaane kb mohabbat ho gyi
Ajnabee the wo,humsafar bn gye
Rehnuma se kb raazdaan bn gye.

A broken constellationWhere stories live. Discover now