Nanhi si Jaan

49 9 17
                                    

Sham peher kuch bhid khadi thi
Door wahin ek jaan padi thi
Meri nazar jo uspe aadi to
Dekha use wo tadap rahi thi

Maine bola ispe paani dalo
Bole Chhod ise ye ghanto ki padi hai
To maine bola kuch kia kyun nhi
Bole billi hai,insaan thodi hai

Maine pani dala
malkin ko bulaya
Wo baad me aayi
phle unki aankho me aanshu aaya

Dekh use wo seham gayi
Andr unke beham kayi
Logo ne dekha,naam rakhe
Bola janwaro se h, insaano se prem nahi

Jaan wo nanhi tadap rhi
Sharir me uske zeher kahin
Sb bhul bhal wo rone lagi
Samaj ki jaise fikar nahin

Dekh use mujhe aisa lga
Jaise ye unka bachha ho
Insaan wo kya insaan hoga
Jo jaanwaron se itna sachha ho

Log dekh ye sb
Hasne lage
Maut ke itne
Tasweer bne

Bade bade vidwan wahan
Hm sb ke bhaijaan wahan
Dekh ke inke haste chehre ko
Mujhe laga haiwan khada

Jiske ghar pr hm khade
Use bus itni fikar rhi
Murda laash ko chuyega kon
Zinda hi isko dun gaad kahin

Wo utha use
Lekar chali gyi
Door wahan
Jahan insaan nhi

Behte uske aansuon ko
Logo ne hs kr mazak bnaya h
Insaaniyat to mar gyi
Ye haiwan hi h jo insaan ke bhesh me aaya h

TRUE STORY

A broken constellationWhere stories live. Discover now