Bholi Surat Dil Ke Khote

Start from the beginning
                                    

"Vahi beti jo aapke shaadishuda bete pe dore daalti rehti hai? Haya, kya tum sabko batana chahogi ki kal shaam kapde lene ke bahane tum kahan gayi thi? Chaliye voh chodiye, shuruat se shuru karte hain. Issi kamre mein 2 saal pehle mere Baba ne mere liye ladai ki thi, aaj Mai apni beti ke liye ladungi, kyunki voh ek drama aur honestly Haya - free life deserve karti hai."

"Meerab!" came the severe reprimand from Maa Begum. 

"I am sorry Maa Begum, sunne mein taqleef hogi, par jo sab mai aapko batane waali hun, voh aapki pyaari Haya ne hi kiya hai. Jiss din se meri shaadi hui hai aur mai iss ghar mein aayi hun, Haya ne kabhi Murtasim pe haq jamane ka mauka nahi choda. Voh sab haq jo ek biwi ke hote hain, aksar usne voh jataye hain."

She looked at Haya, who looked back at her fiercely, as if daring her to tell more. 

"Chaliye yeh chodiye, inn sab se toh mujhe farq hi nahi pada. Aap logon ko yaad hai jab seedhiyon se girkar mai hospitalize hui thi, seedhi par tel Haya ne giraya tha. Maze ki baat toh ye hai, ki jabtak baat mere aur mere bacche ki well being ki thi, importance mujhe di gayi. Par jab baat sirf meri thi, toh aap sab toh mujhe bhul gaye, jaise mai muqammal insaan nahi, koi cheez hun."

Maryam had the grace to look shamefaced at this, after all, she had been the one who had asked her mother to bring Haya back. In order to fulfill her sisterly duties, she had ignored the sufferings of her Bhabhi.

Anwar was giving a deathly stare to Haya which she was doing her best to ignore. 

"Yeh baat sirf Maa Begum jaanti hain toh aap sabko bhi batadun, Haya jaadu - tona karwane jaati rehti hai, taaki voh Murtasim ko haasil karle. Yahi nahi, uske pakde jaane ke bavajood bhi kal shaam voh dobara vahan gayi."

Haya looked confounded at Meerab knowing all about her secret visits. 

"Aise kya dekh rahi ho Haya, mujhse koi baat nahi chup sakti."

Murtasim looked at his wife proudly, who was in full lawyer form today, ready to rip Haya to shreds.

Maa Begum landed a resounding slap on Haya's cheek. 

"Mana kiya tha tumhe, chod do yeh sab."

"Ye ab yahan aur nahi reh sakti. Abhi toh aap sako iski saari harkatein batayi bhi nahi hai aur aap sab itne chaukanna lag rahe hain. Maryam ke baare mein bhul gaye, mujhe bahar phenk diya tha mere khud ke husband ne aur jab Haya ne aap logon ko video dikhaya, kisi ke zehen mein usse sawal jawab karne ka khayaal aya? Voh toh Maryam ko apni behen maanti hai, phir kyu nahi roka usse? Naurez ko jaake jhootein baatein boli. Aaj Maryam Allah ki khair se bahut khush hain vahan, par yeh yaad rakhiye, ki Haya kuch aur bolke usse badnaam bhi kar sakti thi agar voh uske maqsad ko suit karta."

Maryam spoke up in her Bhabhi's favor, somehow wanting to pay her back for all she had done for her. 

"Bhabhi bilkul thik keh rahi hain. Haya ne bas sabke liye mushkilaat khadi kari hai. Maa Begum, shayad aapko andaza nahi Haya ki ek tarfa mohabbat ka. Jis dinn aapne nikaah announce kiya tha, isne apni chudiyon se kalai kaatne ki koshish kari thi. Bhai ka naam lipstick se sheeshe pe likha tha aur pata nahi kya kya, aap nikaal dijiye isse."

Haya felt bile rise in her throat. Hearing other people list out everything she had done was the worst thing. 

"Isse foran gaon bhejde. Hum sabko agle jiss rishte se manzoori hogi, tab Haya ki shaadi kara denge. Yeh khudse kabhi yahan contact nahi karegi. Agar yahan se isse koi contact kare, tabhi yeh hamse baat kar sakti hai. Aap iski sab kharchi band karein, gaon mein kaam dekhegi Haya."

The entire room was silent in agreement. They agreed with everything Meerab said, feeling that Haya had brought harm and multiple opportunities for the family honor to be destroyed. They were silent partly in agreement and partly in awe of Meerab.

"Maa Begum, yeh zyati hai", Haya had begun crying profusely at this point. 

"Uss din tel daalke isne mujhe giraya tha, iss baat ki kya guarantee hai ki kabhi iski kisi harkat se jaane anjaane mein Meesam ko nuksaan nahi pahuchega."

 Maa begum wasn't going to let anything happen to her favorite member of the household.

"Thik hai Meerab", with this one sentence and declaration of Maa Begum, Haya's fate had been sealed. She was to be sent away, never to disturb any member of the family ever again. 


This was a request from many of you - a better version of Haya being punished at various moments, so I just combined it into the ultimate Haya ki Saza chapter. The longer the wait, the better the revenge! I won't be writing anymore one shots of Haya being punished as I feel that this chapter does it. 

Meerasim : Dastaan - E - IshqWhere stories live. Discover now