prologue

2.4K 128 26
                                    

Somewhere in Mumbai two people are sitting in the office and discussing some work.

Their talk disturbed by the phone of the person who is sitting in main chair 💺 in office while other one is sitting in opposite chair

The person looking at the caller immediately cut the call and his expressions said it all whose call it must be

Every time he gets a call he feels restless as well as helpless he wants to talk with a person so badla but something is stopping him from talking with him or her

Somewhere he still feels that might be the caller will tell him or plead him to comeback but it's not possible he can't go back in that hell where mosters leave in form of human being

He also knows if he talks with person he can't resist his or her request or wish and melted immediately which he doesn't want.

Other person see that expression so many times to not understand whose phone it's is

2nd person - atharva yaar why don't you pick up her call for once when you are diying to talk with her.

Atharva - you know i can't Kabir me phone uthaunga to she will ask me to go back to her which I can't do

Kabir - how do you know she is calling you from somany years for same reason kya pata koi aur baat ho

Atharva - i know that's the only reason Surely that beast must be forcing her to call me back home.

Kabir - why would he wants to call you he Let alone love, he doesn't even like you

Atharva - he just wants to show off so that no one raise finger on them he wants me to became hair as i am the elder son of singhaniya

Badi mushkil se us nark se bahar aaya hu me vaha vapas kabhi nahi jaunga

Somewhere in Delhi we can see old lady is sitting on sofa trying to call someone with the hope that this time her call got answered.

Like every time her hope crushed this time also when instead of his voice she hear tape " the number you are trying is not answering please try after sometime"

Like every other time she got disappoint and become sad his grandson who was eating his breakfast see this.

It's common scenes in their household from so many years his dadi call someone every day with the hope to get answers but it's never happened god knows whom she called.

Why is she so eager to reach and who is that person who never acknowledged her efforts but then he thought the person must be very dear or special for her or why will showing patience

If he was on the place of his dadi then he would have stop trying years before.

Boy - kya hua dadi Aaj bhi nahi uthaya phone

Dadi - nahi laku koi baat nahi busy hoga me kal firse karungi

Laksh - ohho dadi kyu karti hai unhe call jab pata hai ki vaha se koi jawab nahi milne wala

Dadi - esa kyu bol raha hai laku kahi fasa hoga Varna vo mera call na uthaye esa ho hi nahi sakta

Laksh - unhe uthana hota to salo pehle utha liya hota aur ese kaha fase hai jo salo tak vakht hi nahi mila unhe. kyu ese insan ke pichhe apna vakht barbad kar rahi hai, jinhe kadr hi nahi hai.

Dadi - esa nahi hai aur tu uske khilaf kuchh mat bol aur dekhna vo ek din mera phone bhi uthayega aur mujse Milne bhi ayega pyar karta hai mujse.

Laksh - dikh raha hai kitna pyar karta hai aur kon hai vo aur itna hi pyar karte hai vo aapse to kyu kabhi contact nahi kiya aap kyu unhe itna pyar karte ho itna Miss karte ho

Dadi - me use pyar karti hoon kyuki vo bohot khaas hai tere aane se pehle vahi to tha jo meri haar baat Manta tha mere sath rehta tha

Laksh - fir vo kyu chale gaye aur kaha chale gaye

Dadi - ek din chala gaya pata nahi kaha gaya, vo jaana nahi chahta tha par majboor tha vakht aur halat ke aage bebas tha.

Ab ye sab batein chhod aur nashta kar moka chahiye bas dadi ka dhyan bhatka nahi ki khana chhod ke aur kuchh bhi karvalo

Par beta mebhi teri dadi hu jab tak pura nahi khatam karega vaha se hilne bhi nahi dungi

Chal aab jaldi khatam kar aur dawai kha fir muje kaam pe bhi jana hai

Laksh - me koi bahane nahi dhundh raha aur aapki tabiyat kharab haina rest Karo

Dadi - rest karne Beth gayi to pagar kat jayegi fir ye ghar kese chalega

Laksh - me huna me part time job karlunga aap itna stress maat lo vese bhi tabiyat kharab rehti hai aaj kal aur aapki Umar bhi hogayi hai aab apko Aram karna chahiye

Dadi - chup khote dadi ko maat sikha tu bas apni padhai pe dhyan de jab Tak Teri dadi Zinda hai tuje baki kisi chiz ki fikar karne ki zarurat nahi hai

Teri Umar nahi hai kaam karne ki aur zimmedari uthane ki abhi tuje padhai karni chahiye dosto ke saath masti karni chahiye

Laksh - par dadi i want to help you muje achha nahi lagta aapko itna mehnat karte dekhke

Dadi - aur muje achha nahin lagega agar mera bachha zimmedari ke boj tale dabke reh jaye chal aab me chalti hu dhyan rakhna apna

She went while thinking sorry bachha teri dadi tuje vo life nahi depayi jo tu deserve karta hai par kya karti tuje us narak me tadapne ke liye nahi rakh sakti thi

Me use aur khudko to us darinde ke zulm aur anyay se bacha nahi payi par tuje us daur se guzarne nahi de sakti thi

Vo sone ka pinjara tha jaha tuje ghut ghut ke jina padta aur me tuje us ghutan me nahi rehne de sakti thi

Vo tho azad parinda tha jo pinjara tod ke ud gaya par sayad tu esa na kar pata isiliye dadi ko karna pada

Abb bas ek akhri khwahish hai tuje apne sahi jagah par bhejna chahti hu meri zindagi ka koi bharosa nahi hai jane kab bulava ajaye

Me tuje is berahem duniya me akele nahi chhodna chahti me janti hu vo tuje mujse bhi zyada pyar dega

Vo sab dega jiska tu hakdaar hai bhagvan ji bas ye aakhari ichha puri kardo is budiya ki fir apne paas bhi bula lo to koi gaam nahi hai

Aab aphi rasta dikha sakte hai us tak laku ki khabar pohchane ka salo se koshish kar rahi hu taki vo apne bhai ke baare me jaan sake

Salo se esi umid se use phone karti hu ki vo ek din mera phone uthayega use apne chhote bhai ke baare me bata saku

Ek hi zariya hai kyuki aaj tak usne vo number nahi badla jo usne sabse chhupke liya tha aur jane se pehle mere phone me save Kiya tha par vakht ke saath saath meri umid bhi maar rahi hai

Aab to muje daar lag raha hai ,me ek hi pinjare ke do parindo ko mila bhi paungi ki nahi.

That's for now

Hope you all like this please do vote and share your thoughts in comments



Nadan Parindey ( Complete )Where stories live. Discover now