10. Shiva Pandya on a mission

1.1K 100 47
                                    

RECAP

"Pehchana isse ??" Shiva innocently nodded in a no. Suman smiled and said "Apni biwi ko nhi pehchana tune!"

...

Reader's discretion, 16+ content ahead , Skip the asterix '*' part if you aren't comfortable.

"Raavi hai yeh?" Shiva asked, Suman hummed in response. 

"Accident hone ke theek 2 din pehle, Jagya , Ravish aur Prakriti aaye the Humare Ghar tab Gaumbi 11 saal ka tha, Dev 3 saal ka aur tu 1 saala ka , Krisu ka toh janam bhi nhi hua tha. Ekdum choti si thi kaanch ki guriya jaisi. Tujhe agar yeh baat pehle bolti toh tu maanta nahi pan tujhe Raavi bahut pehle se pasand thi, Hmmm" Shiva's eyes widened after hearing that. 

"Jaise hi Raavi ke kadam humare ghar mein pare the tu haath (showing her hands as a grabbing symbol) aise aise karke uske gaal pakarta tha, haha. Tere Papa toh bolte the  ' Aye Suman lagta hai Teri Bhabhi se humara double Rista jud jaayega.'
Waise dekha jaaye toh Maalik ki baat sach ho gyi. Unko toh sachme Raavi bari pasand thi." A pride feeling aroused in Shiva's heart hearing That his father liked Raavi since so long for her innocence. He knew his father adores Raavi a lot as she was the only girl in their group and for her antics, His father always wanted a beautiful daughter like her. 

"Usdin woh sab humare yaha hi ruke, tabse hi tu Raavi ke jhule ke paas kabhi taali bajata tha kabhi uske gaal kheenctha tha" Suman chuckled remembering those memories . "Dev ko bilkul achaa nhi lagta tha, ek toh koi usko aacordance nhi deta tha, uske baad tu aur Gaumbi sara time Raavi ke saath khelte the. Woh toh Raavi se chidhta tha tab."

"Maa woh sab toh theek hai pann accordance, Dev ko tab accordance ki kya zarurat?" Suman frowned hearing that. "Arrey jab usko koi bhaav nhi dega tab woh chahiye hota hai na" Shiva made a 'now i got it face' and said "Maa woh accordance nhi importance hota hai, aur Dev toh Shuru se Bhaav ka bhookha tha. Kaam kuch nhi karega Pann chahega Duniya bhar ka bhaav usse de" He laughed hard saying that . Suman too joined him.

"Iss Raat ke baad waale din Raavi ki tabiyat kharab ho gyi thi, Prakriti ko bahut Ten-son ho gyi thi. Ravish aur Jagya bhi ghabra gye the, Toh tere Papa ne bola tha usdin woh ek Gaari karke Prakriti, Ravish bhai aur Raavi ko Haspatal le jaayenge, pan Ravish bhai nhi maane. Bole ki hame takleef nhi de sakte . Toh tere Papa ne zidd karke apni bike di unhe ki isse leke jaaye, pehle nahi maane Ravish bhai pann baad mein Raavi ki tabiyat aur kharab ho rahi thi toh dono maan gye. Shaam ho chala tha unke jaate jaate andhera ho gya tha. Uske baad subah hogyi. Hum sab pareshaan ho gye the , ki kaha chale gye? Prafulla ka bura haal ho chala tha. Tab ke samay mein Aise baarish ke mausam mein Phone bhi nhi lagta tha. Uske baad khabar mili ki..." Suman couldn't finish her whole sentence and a tear drop fell from her eyes. "Humme kuch samajh nhi aa raha tha kya hua kaise hua. Raavi ko Shanti ne baccha liya tha, pann Ravish bhai aur Prakriti ko." Shiva was listening to everything with closed eyes. He himself knows the pain of losing someone and then Raavi in such a small age lost her whole family. A sudden urge to always be with her & protect her aroused in him.

Shiva wished Suman Goodnight and walked out of the room. Heaviness he was feeling at the moment in his heart. After knowing the incomplete truth about the accident determination gripped in his heart "Ab toh uss accident ka har raaz pata lagake rahunga, Somnath ! yeh Shiva Pandya ka waada hai khud se"

He went to his room & found Raavi sleeping peacefully with a beautiful smile on her face. Finally he saw her smiling after the whole hectic & roller coaster day. he latched the door settled on his side of bed , He hugged her & pulled her more into him by her waist and nuzzled closer to her. "Goodnight Chipkali" he murmured and Raavi hummed in sleep.

Haan Tu Hai..Where stories live. Discover now