Qubool Hai (9.12)

923 195 39
                                    

Please vote before, while or after reading this part 🙏🙏
______________________________________

Shehnaaz stood up and looked at Sid with pain in her eyes.

"Toh yeh hi tha aap ka pyaar? Woh saare waade jo aap ne humse kiye the, woh sab jhut the?" Questioned Shehnaaz but Sid didn't give any reply.

"Boliye na!" Shouted Shehnaaz with teary eyes holding his collars. "Kitni asani aap ne keh diya ki aap Nusrat Di se pyaar karte hai. Ek baar bhi humare baare mein nahi socha."

Shehnaaz became vulnerable. But Sid was standing calmly. He slowly removed her hands from his collars and said, "Humne Nusrat ka zikar bhi kiya toh tumhe itni takleef hone lagi. Toh agar hum sach mein Nusrat se Nikah kar lete, kaise sehti tum Shehnaaz?"

"Hum marr jaate." She replied immediately. "Jeete jee aap ko kisi aur ka hote hue nahi dekh paate. Iss qadar aap se mohabbat karte hai ki aap ke zindagi mein humare siwa koi aur ho, yeh soch ke bhi humari rooh kaanp uthti hai. Hum bohut khudgarz hai Sid. Hum aap ko kisi ke saath nahi baant sakte, kabhi nahi."

Saying that, Shehnaaz again sat on the bed and started crying. Sid's heart pained seeing her crying like this. He sat beside her and gently hold her hands.

"Phir kyu humein Nusrat se Nikah karne ko kaha? Kyu din ba din humein khud se dur karti gayi? Hum toh bas tumhara saath dena chahte the. Har halat mein tumhara haath tham ke rakhna chahte the. Tumse dur rehne mein humara bhi dam ghut ta hai. Yeh sab jaante hue bhi, kyu kiya tumne aisa?" Asked Sid with moist eyes.

"KYU KI PAGAL HO GAYE THE HUM!" Screamed Shehnaaz crying. "Dimaag kharab ho gaya tha yeh soch soch ke ki ekdin aap bhi humein humare Abbu ki tarah chhor ke chale jaayenge. Aur iss wajah se humein paata bhi nahi chala humne kab aap ko khud se itna dur kar diya. Humare beech ki yeh dooriyan humein mehsoos karwati rahi ki aap sayad humare saath khush nahi hai, you deserve better. Sirf isliye humne aap se kaha ki aap Nusrat Di se Nikah kar li jiye, bina yeh soche ki hum aap ke bina reh nahi sakte. Aur aaj jab humein apni galti ka ehsaas hua, aap sach mein humse dur chale gaye. Kisi aur se.... Dil laga liya."

Sid smiled sadly hearing that and asked, "Tumhe sach mein lagta hai Sid apni Naaz ke alawa kisi aur se dil laga sakta hai?"

Hearing that, Shehnaaz looked at Sid being confused.

"Hum Nusrat se pyaar nahi karte aur naa hi Nusrat hum se. Woh toh kisi aur se pyaar karti hai."

He finally spoke the truth.

"Kis se?" Asked Shehnaaz.

"Ankush, Nusrat ka office colleague, jis se woh pyaar karti hai. Dono ek saal se saath mein hai, aage bhi saath rehna chahte hai. Lekin kehte hai na, pyaar ka raasta kabhi asaan nahi hota. Nusrat aur Ankush ke pyaar mein sabse bada problem tha unn dono ka caste difference. Ankush ek Hindu ladka hai aur woh dono acche se jaante the ki unke pyaar ko gharwale accept nahi karenge."

"Toh Nusrat Di ek Hindu ladke se pyaar karti hai?"

"Hmm. Aur yeh hi wajah hai ki Nusrat ne humari madad maangi. Ankush ke Papa humare hi office mein ek employee hai. Isliye Nusrat ko laga ki hum unhe maana sakte hai. Humne unse baat kiyi lekin pehli baar mein woh nahi maane. Yeh jaan ne ke baad dono ne almost bhagne ka decision le hi liya tha. Uss raat jab Nusrat ka call aaya tha, woh ghar se bhagne wali thi. Phir humne usse samjhaya ki woh aisa kadam na uthaye. Uske baad hum dono ek do baar Ankush ke Papa se mile. Unhe yakeen dilaya ki unn dono ka pyaar saccha hai. Aur akhir woh maan gaye. Aaj hum Nusrat ko Ankush ke ghar leke gaye the. Uske gharwalon ne iss rishte ko accept kar liya. Abhi Nusrat Nagma Khala se baat karegi. Agar woh maan gayi toh thik hai warna humein hi unhe convince karna hoga."

SidNaaz Ki Duniya: Collection of Short Stories and OS Where stories live. Discover now