Chapter 7: Healing Has Just Begun

657 50 151
                                    


Neil was worried that he crossed a line. He waited with bated breath, worried about Abhimanyu's response but relaxed when he saw no anger there. He noticed that he had his brother's interest. For Abhimanyu, every word Neil spoke was like a balm soothing his aching heart. He couldn't help wanting more. Even he was tired of the pain. He looked at Neil for more and Neil didn't disappoint him. He spoke in an even tone which hid his agitation well.


"Unka trauma, unka dar sab maan lete hain. I will not question her actions jab woh Abhir ka sach chupane ki koshish kar rahi thi. Dar gayi thi na. I understand. Lekin jab sach pata chal hi gaya tha, tab toh apni galti maan leni chahiye thi na! Kya kya nahin kiya unhone us baat ko chupane ke chakkar mein, main wahan jaa bhi nahi raha. I am just talking about what she did after the truth was out in the open. 


Isse zyada considerate nahi ho sakta main, jab unhone aapki feelings consider hi nahi kiya. Unhone aapko jaise treat kiya, aapki jagah koi aur hota toh pata nahi kya karta unke saath. Police complaint toh kamse kam karta hi. Apne kiya?" He looked at Abhimanyu for answer who just shook his head. Neil was happy with the response. He was so scared before. He was glad he trusted his instincts. It paid out at times to have good EI (Emotional Intelligence). He thought to himself.


He continued, "Exactly, aapne nahi kiya. Kuch nahi kiya apne. Tab bhi nahi jab woh keh rahi thi ki aap donon ka divorce hogaya tha by the time she discovered she was pregnant, isliye aapka apne hi bache pe koi haq nahi hai. How stupid was that phir bhi you did nothing. Woh baar baar use Abhir Sharma kehti rahi aap chup rahe. 


Woh un Abhinav Sharma ko Abhir ka father kehti rahi aapke saamne, aap chup rahe. Aap Abhir ko apna naam dene ki zid bhi nahi kar rahe the. Aapko woh sazaa lag rahi thi aur aap Prayaschit keliye tayar hogaye. Aap galti ka prayashchit karne wale the jabki aapki galti thi hi nahi. Aap toh unki galti keliye bhi khud hi maafi maanglete. Mahaan hain na aap.


Aap co parent karna chahte the, woh nahi mani. Aur aap phirse jhuke. Kyunki aap nahi chahte the ki apka bacha apni maa se dur jaye, isliye custody lene ka kabhi khayal tak nahi aya aapke man mein. Aap unse apne hi bache ke saath thoda time spend karne ki permission maangte rahe, uskeliye taraste rahe but har mod pe aapka insult hi kia unhone aur unki mahaan family ne. 


Unki insecurity itni bad gayi thi ki woh dekh nahi paye ki you were holding back so much. Aap kisiko takleef nahi dena chahte they. Aap Abhir ki zindagi mein sirf Docman banke hi sahi per ek important hissa bankar rehna chahte the. Uska acha future aur better health chahte the. Aap chahte the ki Roohi se uska bond ho, family ke saath usko thoda time mile. Which is absolutely fair.


All you requested them was to shift to Udaipur. Aapne promise kiya tha ki as long as they let Abhir bond with us, aap sach nahi bataoge Abhir ko. Aap apna haq chodne wale the Bhai...You were okay to just be there for him if he ever needed you. Aap uski health ko lekar koi risk nahi lena chahte the and you expected from them ki at least Abhir ki health ka toh dhyan rakhein. Kasauli ka climate uskeliye kitna risky ho sakta tha us waqt, hum sab jante the. It was a win win situation for them. Unhe utna compromise bhi manjoor nahi tha. She bloody chose to challenge you in court after committing a paternity fraud" Neil stopped as he ran out of breath.






"Abhinav ne use apna naam diya. Uski parvarish ki hai Neil" Abhimanyu chipped in immediately but in a low voice. Almost as if he knew he was being stupid. But Neil was ready to clarify all his doubts. Neil spoke with a hint of sarcasm,"Agreed Bhai. Thank god for his presence ki Akshara ji sahi salamat hai kyunki woh apne zid mein kuch bhi kar sakti hai. She forced you for a divorce on mutual agreement basis. Yaad hai na aapko kaise?" Neil looked at Abhimanyu and he nodded. 

The Birlas' - IKSHANAWaar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu