Part 34

499 81 15
                                    

Minay and Pramod were having dinner.
Suddenly Jay's phone rang. He accepted the call.

Jay - Namaste Bhaisahab. Ji.... Kahiye... Susheela theek nahi hai kya? Ha magar achanak se... Kya hua? Ji... Ha hum... Aaenge. Ji. Lekin baat kya hai ye to bataiye? Ji....Theek hai.

He puts the phone back.

Mini - Dp bhaisahab ka phone tha kya?

Jay - ha. Pata nahi kya hua... Bol rahe the sab se bhot zaroori baat karni hai to.. Sabko ghar bula rahe hai.

Pramod - but dad.. So suddenly.... Koi problem hai kya?

Jay - vo to vaha jaakar hi pata chalega.. Khair ab unhone bulaya to jana to padega hi. Tu flight ke tickets book kar dena.

Pramod - okay.

Mini - Susheela ne bhi aaj sham ko mera phone receive nahi kiya... Mughe kuch galat lag raha hai.

Jay - jo bhi ho.. Vo to vaha jakar hi pata chalega.

The next day.

They went to Lucknow.

They didn't expected anything that for what they are called?

The reached to home.

Kusum opened the door and joined her hands.

Kusum - namaste..

Pramod first came forward to touch her feet.

Kusum - khush raho beta. Aaiye aap sab.

They can see the nervousness on Kusum's face.

They came inside.

Dp - namaste bhaisahab.

They met with a simple gesture with a hug.

Pramod touched his feet.

Kusum - bataiye.

The servant brought water for them.

Pramod looked round and he didn't find Susheela anywhere.

Pramod - Susheela ji kaha hai?

Mini - ha.. Kahi gayi hai kya?

Dp - nahi vo apne kamre me so rahi hai.

Mini - is wakt... Kyo?

Dp - aaj subah hospital se aai thi na... To dawa ki wajah se So rahi hai.

Pramod - hospital? Kyo, kya hua?

He said panicking.

Jay - aapne bataya kyo nahi?

Dp - maine socha kuch baate sath baith kar ki jaye to zyada Accha hoga.

Mini - par hua kya hai Susheela ko...

Pramod - mai abhi dekh kar aata hu unhe...

Kusum - nahi beta... Vo use thodi der pehle hi neend aai hai...

Dp - kal mai aur Kusum kisi kaam se thodi der bahar gaye the.. Jab hum ghar vapas aae to hame Susheela apne kamre me behosh mili. Pata nahi tha achanak se aisa kya hua jo vo aise behosh ho gayi? Hum use hospital lekar gaye.. Use hosh hi nahi aaya...

Pramod - to aapne hame bataya kyo nahi?

Dp - jaldbaazi me Hame bilkul Dhyan nahi raha.. Aur Phir Kusum bhi bhot ghabra gayi thi to maine pehle ise bhi sambhala.

Mini - Phir ab theek hai na vo?

Dp - nahi... Jab use hosh aaya to pata nahi kyo... Bhot rone lagi.. Maine apni bacchi ko kabhi aise rote hue nahi dekha.. Vo bhot buri tarah se ro rahi thi... Usne mughse rote hue kaha ki... Maine uski shaadi is ghar me kyo kar di?

Minay were shocked to listen what he was telling to them.

Pramod - nahi... Susheela ji....aisa kyo bolegi mera Matlab hai vo aisa nahi bol sakti.

Jay - vahi to... Vo aisa kyo bolegi?

Dp - ye to mughe bhi jan na tha bhaisahab.. Phir jab vo shant hui to usne bataya... Ki accident ke baad... Uske aur Pramod ke beech kuch theek nahi raha... Har din nok jhok hoti hi rehti thi... Phir usne mughe bataya... Ki ek din aapne us par hath bhi uthaya.......... Mughe to sach me yakeen nahi hua sun kar.... Mera Matlab... Aisa kya ho gaya jo aapne us par hath uthaya?

Pramod was completely silent. He had nothing to answer to this. It  was so shameful  to say anymore for him.

Dp - bataiye mughe... Ha mai ye baat manta hu... Susheela ka gusaa tez hai. Vo bhi bhot jhagda karti hi... Lekin.. Meri beti iske layak to nahi hai na? Aapne use maara........ Kya is din ke liye rishta lekar aae the aap?isliye ki thi kya shaadi .........

Minay could not look at him, getting embarrassed with it. Jay had a serious glare on Pramod.

Kusum - suniye aap ye sab...

Dp - mai baat kar raha hu...

He Said showing his palm to her.

Kusum stepped back.

Dp - bataiye bhaisahab.... Aap uthate hai bhabhi ji par hath. Kya aap bhi aise hi gussa nikalte hai? Agar aise hai to maine apni beti ko ek galat ghar me bhej diya..... Meri beti ro rahi thi... Maine kabhi Susheela par hath nahi uthaya... Aur mai ye baat aapko likh kar de sakta hu.. Meri beti aise rishte ke layak nahi thi....bataiye ab mughe kya karu mai....Doctor ne bataya depression me ja chuki hai vo... Aisa khayal rakha aapne uska... Shaadi ke din to kaha tha.. Aapki beti ko hamesha khush rakhunga.... Kaha gayi uski khushi... Has bhi nahi pa rahi vo. Are jo bhi hua... Magar hath uthana to sach me galat hai na.

Jay - dekhiye... Baccho ka rishta agar bache aapas me milkar...

Dp - bilkul nahi... Maine apne beti ka sauda nahi kiya aapke ghar me... Shaadi karake. Uska hath aapke bete ke hath me Diya hai... Mai nahi chahta ab vo aur pareshan ho... Isliye ye mera faisla hai Susheela us ghar me vapas nahi jaegi.

Pramod got up from his place after listing to his decision.

I will upload the next part lately.

Vote - 75

Thankyou 🙂

The Arrange Marriage Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon