Chapter 1.3 //:// The Challenge

1.6K 123 7
                                    

Hassena: Karishma Singh, aapko kiska phone aya tha?

Karishma: pata nahi madam. Hame jab awaz nahi aa rahi thi to hum network pakadne ke liye bahar gaye, toh humko pata chala ki phone cut ho gaya hai.

Hassena: voh number hai aapke pas?

Karishma: ha madam hai!

She took out her phone and gave the phone to Hassena, after searching for the number in call log.

Hassena: Santosh, mobile Company me phone lagaiye aur pata lagaiye ki ye number kiske naam par registered hai?

Santosh: ji madam!

Santosh left.

Anubhav: Hassena ji, kya chal raha hai apke Dimag mai?

Hassena: sir, mujhe lagta hai ki voh phone jaan bujhkar kiya gaya tha, isiliye maine Santosh ko pata lagane ke liye bheja ki voh number kiska tha?

Anubhav: lekin, aapko kyu aaisa lagta hai? Kisiko kaise pata chalega ki aap log Suraj ko pakadne ke liye aane vale hai?

Hassena: vahi baat mujhe samaj mein nahi aa rahi hai.... Cheeta tumne iski body check ki?

Cheeta: nahi madam.

Hassena ( in a bit loud voice ): to check karo, dekho kuch milta hai ya nahi.

Cheeta: yes madam!

Cheeta checks the body and found one chit.

Cheeta: madam, ye Chitti Mili hai iske jeb mein.

Hassena: kya lekha hai isme?

She took the chit and starts reading it.

Dekho, hamne ye sabbit kar dekhaya hai ki haam apne admiyon ko bhi maar sakte hai toh tum log kya cheez ho. Suraj ko jo tum logo ne sudharne ki koshish ki hai, accha nahi kiya. Usne sudharne ki koshish ki, uske liye voh gang ko chodna chahta tha. Lekin haam aise kaise use jaane dete. Uske jaane se hame jo nuksaan hota uska kya. Isiliye hamne use hamsha ke liye iss zindagi se azaad kar diya.

Yaad rahe ainda kabhi bhi hamare mamle mein tang adane ki koshish ki toh tum police valon ka bhi yahi haal hoga!

Karishma: yeh toh hamko khule aam chunouti de raha hai madam. Aab kya karna hai?

Anubhav ( tensed ): filhal to hame iski mrit deha ko post mortem ke liye bhejna hoga. Cheeta ambulance bulao!

Cheeta: ji sir. ( He left )

Hassena: kya baat hai sir, aap kuch pareshan dikh rahe hai.

Anubhav ( fumbling ): nahi toh, voh actually.... Ha, voh ham ye soch rahe the ki IG sir ko kya javab denge hum. Unhe kaise bataye ki Suraj, jo itne bade drugs karobar mein shamil tha voh mara gaya? Usse hame information prapt ho sakti thi na?

Hassena and Karishma looked at each other confusingly. Hassena sensed that something is fishy. In the time, Cheeta returned.

Cheeta: sir, hamne ambulance ko phone kar diya.

Anubhav: thik hai, ham headquarters phone kar ke iss area ko seal karva dete hai, iski lash lejane ke baad. Chaliye haam chalte hai!

Anubhav left.

Hassena: ye achanak sir ko kya ho gaya?

Santosh: lagta hai daar gaye dhamki se!

Hassena: Santosh!

Karishma: madam, ham iss jagah ki talashi lete hai!

Hassena: rukiye, Karishma Singh! Haam tab tak iss jagah ki talaashi nahi lenge jab tak ye nahi pata chalta ki aapko kiska call aaya tha.

Karishma: madam, aapko hamare upar Bharosa nahi hai?

Hassena: Karishma Singh, filhal haam yaha se chalte hai!

Karishma ( sadly ): ji madam.

Karishma felt bad about whatever Hassena said, but decided to ignore it.

*********************

At Mahila Police Thaana

Hassena ( on mobile ): Santosh kuch pata chala kya kiske naam par registered hai voh number?

Santosh ( on mobile ): ha madam, main bas thode hi samay may thaane aa rahi aa rahi hun.

Hassena ( on mobile ): ha thik hai.

She disconnected the call.

Pushpa ji: kya hua madam sir, aap log hame bataeye toh sahi ki kya hua hai? Karishma madam bhi jabse aae hai tabse maun vrat dharan kar rakha hai. ( To cheeta ) Cheete tu toh kuch bata.

Hassena: kya batayega Pushpa ji, aaj kya hua. Aaj IG sir jarur ham sab par barrish ki tarah baras ne vale hai.

Pushpa ji: kyu?

Hassena: aab kya bataye.. Jis gang ko pakad ne ke liye saara department laga hua hai, uss Suraj ko hamne aaj pakda tha, lekin use kisi ne maar dala, Karishma Singh aur Cheeta Chaturvedi ki maujudgi mein.

Pushpa ji ( shocked ): kya! He Bhoolenath kya ho gaya ye. Aab toh jarur IG sahab Karishma Madam aur Cheete ko suspend kar denge.

Hassena: dekhiye Pushpa ji, aap tension mat lijiye. Kuch nahi hoga.

Pushpa ji: haam to prarthana karenge ki Karishma ko IG sir baksh denge.

Till then Santosh arrived,

Santosh: Madam, uss aadmi ka naam pata chala gaya hai jisne Karishma madam ko phone kiya tha.

Hassena: to jaldi batao Santosh, kon hai voh?

Santosh: koi Vikas Bansal naam ka admi hai.

Hassena ( extreme shock ): kya! Nahi Santosh aaisa nahi ho sakta. Vikas aaisa nahi kar sakta, haam yeh maan ne ko taiyar hu nahi hai ki vikas aisa kar sakta hai.

Anubhav enters.

Anubhav: kyu nahi ho sakta. Aap Karishma Singh par shak kar rahi thi na, toh kya hua yaha toh aapka hi khabri nikla.

Pushpa ji: lekin sir, aapko kaise pata chala ki voh aadmi Madam sir ka khabri hai?

Anubhav: Kuch dino pehle mission ke silsile mein haam usse mile the. Isiliye jaante hai....

Anubhav tries to speak but was interrupted by Hassena.

Hassena: isiliye sir, aap jaante hai na sir ki voh aaisa kuch nahi kar sakta. Haam usse pichle chaar saal se jaante hai, voh tabhi se hamara khabri hai. Voh aaisa kuch nahi kar sakta. Haam ye maan hi nahi sakte.

Anubhav: Santosh aap uss sim ke details lekar aai hai?

Santosh: yes sir!

Anubhav: dekhaiye jaara Miss. Mallik ko.

Santosh ( while forwarding the documents ): yeh lijiye madam.

Hassena reads the documents and was in shock.

Hassena ( in mind ): pata nahi ki ye saab kyu hamara bharosa bar bar todte hai. Pehle Anubhav sir phir Karishma Singh aur aab hamara khabri, jiske bharose par haam ne aaj tak itne mujrimo ko pakda hai. Ya Allah!

A tear escaped from her eyes.

Anubhav understood her condition and his heart filled with guilt and sadness. But still one question filled her mind, but before she could speak Anubhav spoke.

Anubhav ( sadly ): Hassena ji hame aapse kuch baat karni hai jara aapne cabin mein chaliye.

Anubhav and Hassena left for her cabin.

**********************

Understanding and Trust ( Maddam Sir FF ) ✓Where stories live. Discover now