Why did he leave IB?

2.2K 202 135
                                    

Continue from previous part.

From morning till evening, Haseena keeps thinking why Anubhav left IB and here Anubhav keeps thinking throughout the day that how to tell Haseena why he left IB.

Dhvani and Aabhas are both asleep and Anubhav is sitting on the swing in the balcony, Haseena comes out of the bathroom and kisses her children's forehead, approaches Anubhav and sits on his lap. He wrapped his arms around her and nuzzled on her neck.

HM-kya soch rahe hai.....(she asked while gazing the moon).

AS-kuch soch nhi rahe hai bas aise hi is chand aur raat ko nihar rahe hai......

She hummed and rested her head on his chest.

HM-woh bhi kya waqt tha jab hum dono lagabhag har raat aise hi ek dusre ek paas baithe raat bhar baatein karte the par ab ek dusre ke liye hum dono ko time chori karna padta hai kyuki aise toh time milne se raha.......

AS-kya kar sakte hai ab hum dono ki jimmedariya aur karya badh gya isliye unse mein dono ulajhe rah jate hai.......

HM-aap hume batane wale toh bataiye.....

AS-avashyak hai kya?

HM-bahut jaroori hai....(she said and placed her head on his chest).

AS-aap humse hamesha puchti thi na ki humne IB kyu join kiya....

HM-haan aur aap hamesha kabhi aur ya kal kar ke baat tal dete the isliye ab humne puchna hi chod diya tha......(annoyed).

AS-toh aaj hum aapke sabhi prashnon ka uttar ek sath de dete hai.....(smilingly).

She raised her head and looked at him, he smiled and kissed her forehead.

AS-aapko yaad hai humne jab aapko apni chitrakari chodne ki wajah batayi thi tab aapne humse kaha tha ki hamari kahani mein kuch chhut raha hai.....

HM-haan kyuki hume aaj tak lagta hai ki aapne hume puri baat nhi batayi thi....

AS-aur yeh sach bhi hai....(he said with a smile).

HM-hum jante the, ab bataiye ki kya reason tha aapki painting chhodne ka.....(she asked and wrapped her arms around his torso).

AS-us din jab hum se thappad khane ke baad hamare kamare mein gye toh uske do ghante baad maa hamare kamare mein aayi aur unhonne hume ek sach bataya jo maa aur chachiji ne pure pariwar se paanch saal se chupa rakha tha.....

HM-Baba ke shahid hone se kuch juda tha kya?

AS-haan...maa ne hume bataya ki Baba jis mission par gye the woh mission adhura rah gya aur uska karan tha vibhag ka hi koi aadmi jisne mission ke dauran gaddari kar di aur usme Baba ke sath unke do sathi shahid ho gye, case ki puri chhan been huyi prantu kisko pata nhi chala ki woh kaun tha jisne desh se gaddari ki aur phir yeh case IB ke hathon mein gya wahan bhi kuch pata nhi chala aur waqt ke sath case hazaron ansuljhi huyi filon ke sath dafan ho gyi....Baba ko guzare paanch saal ho gye the par unhe insaaf nhi mila tha aur jab yeh baat hume maa ne bataya toh humne tay kiya ki hum IB mein bharti honge kyuki IB hi ek jariya tha jiske jariye hum Baba ko insaaf dila sakte the aur yeh tabhi ho sakta tha jab hum sab kuch chhod apni padhai aur sharirik gatividhiyon par dhyan de isliye hume chitrakari chod diya tha par aapne hume phir se chitrakari karne ke liye mana hi liya....(he said and kissed her temple).

HM-toh aapko kya laga hum aise hi aapko chhod denge bilkul nhi khair chodiye yeh sab aur ab yeh bataiye ki aage kya hua....

AS-hum IB mein bharti ho gye aur paanch saal mehant aur lagan se kaam karne ke badle mein humne IB ke mukhya adhikari se Baba ke mission wale case ko phir se aupacharik jaanch ki baat kahi, pehle toh woh hichkichaye par baad mein maan gye.....

Arranged Marriage (Anuseena)✔Where stories live. Discover now