She Just Needs You...

3.8K 226 133
                                    

14th February

At dinning table

Haseena was serving dinner to maa and ammi.

Maa-aaj bhi nhi aaya...(disappointingly).

HM-kaam mein busy hai bahut isliye...(he said with a smile).

Ammi-par beta Anu ko apna bhi toh khyal rakhna chahiye, pata hai aaj toh usne dopahar ka khana haath bhi nhi lagaya tha...(worriedly)

HM-aapne hume pehle kyu nhi bataya...(she asked worriedly).

Maa-hum tumhe tension nhi dena chahte the aur ab toh yeh roj ka ho gya hai, pichhale das din se woh study room mein band ho gya hai na hum se milna bas kahi jana hota hai toh hi neeche aata hai aur maa hum abhi aate hai kah kar chala jata hai....(she said sadly).

HM-maa tension mat lijiye woh bas ek mission ke karan pareshan hai , baki jaise hi unka kaam khatam ho jayega ho phir aapke paas aakar baithenge aur aap unhe khoob datanengi...(she assured maa).

Ammi-Haseena tum bhi khana kha lo hum Anu ko khana de aate hai...

HM-ammi aap aur maa aaram se dinner kariye hum aaj apna aur unka khana le jate, aaj hum dono ek sath dinner karenge...(she said joyously).

Maa-aaj toh tera uske sath khana khana banta bhi hai kyuki aaj toh woh valentine day hai na...(she said teasingly, Haseena blushed).

Ammi-jaa, shayad ise bahane aaj Anu bhi achhe se khana kha le warna aaj kal ukse khane aur kisi chhote bacche ke khane mein jyada antar nhi hai....

HM-ji...

She puts plates of food on a tray and walks towards the study room, her heartbeat increasing with each step.

Haseena's POV

aaj phir se mera dil usee tarah dhadak raha hai jaise aath mahine pahle dhadka tha jab aap mission se vaapas aaye the , aisa lagata hai ki ham saalon baad milane ja rahe hain lekin sach kahoon to das din das saal se kam nhi hai....aapka pata nhi par hamare liye toh yeh das din badi muskil se guzare hai...ham bhi aapki ek jhalak paane ke liye tarasate hain, itna ki aapko bata nhi payenge yeh toh achha hai ki subah-shaam aapko khana dene ke bahane milte hai varana pata nhi hum kaise jee pate( Sad)...kuch bhi kahiye hamare bacche hai bade samjhdaar hai pichhale das din se inhone bhi hume jyada pareshan nhi kiya morning sickness bhi kam ho gyi hai aur craving bhi kam ho gayi hai par hum teeno ko aapke pyar ki garmahat ki craving har roj hoti hai pichali baar aap kitna bhi busy the par aise khud ko kamare mein sameta toh nhi tha, khair kya karna in baaton se hum toh is baat se khush hai ki  aaj hum kitne dino baad hum charo ek sath baith kar khana khayenge (smiled) 

{Pehle maine Pov english mein likha tha par feel nhi aaya isliye hindi mein hi likh diya😁 isliye agar koi mistake ho toh pehle hi sorry}

In study room

He  talking to someone angry on the phone.

AS-aap login abhi tak kuch bhi pata nhi chala, kyu... (he asked angrily)

AS-hume jald se jald uski puri khabar chahiye samjhe aap... (he warned the man angrily then hung up the call)

His phone rings again, he picks up the call.

AS-Jai Hind Sir!

SO(wahi hamare sabse bade wale dushman)-Jai Hind! kya pata chala Anubhav...

AS-sir hamare khabri lage huye us Shera ke bare mein pata karne mein aur humne bhi uski sari detail toh nikal li hai bas uske adde ka pata chal jaye toh mission aage badha sakte hai...

Arranged Marriage (Anuseena)✔Where stories live. Discover now