15.Faisla (Last)

121 9 11
                                    


Zaidaan's p.o.v:-
Sochoun ka shor jab bardaasht ki hadd se barh jaata hai tau zubaan ko aksar chup lag jaati hai, aesa he mere saath hua tha, aaj office se ghar jaanay ke bajaye drive par chala gaya tha, aaj  pehli dafa ye saara muamla mere kaam pe asar andaaz hua tha,mere alfaz apni rawani kho beithe they, mere kaam mein sirf mehnat thi, lagan nahi. Jaatay jaatay woh mujhse meri zaat he le gayi thi "Ab kiya karna hai" Maine apne aap se khud he se woh sawaal karta tha jiska jawab tha nahi, ya shayad dene se katraata tha. Kabhi sochta houn ke pehle jo ziyadti usne ki thi ab mein kar raha houn, farq sirf itna hai ke usne ye ghalti kisi aur ke dabao mein aa kar ki thi aur mein apni insecurities ke dabao mein aa kar kar raha houn. Abhi apne faisle par mein soch he raha tha ke ammi ki call aa gayi thi

"Assalamualaikum, Zaidaan kahan ho?!"

"Waalaikumassalam ammi, aese he drive pe nikla tha, bataya tau tha aapko"

"Mere dimagh se he nikal gaya tha, chalo ab jaldi se ghar pohancho khushkhabri hai tumhare liye" Ammi ne excitement se kaha tha tau main halka sa hass parra

"Jee mein bus aaya par aap aese he bata dein"

"Nahi nahi tum bus aa jao aur aatay ve mithai lete aao ge ya mein driver se keh ke mangwa loun"

"Mithai?le ke tau aaoun ga par aap wajah batayein, kahin Abeeha ko koyi larka tau nahi pasand aa gaya?"

"Tum apni fikar karo, har waqt meri bachi ke peeche paray rehte ho" Ammi ne mazak mein kaha tha tau mein bus hass parra

"chalein mein drive kar raha houn aata houn bus" ye keh kar meine ek do aur baatoun ke baad call kaat di aur mithai ka dabba lete huye ghar ki taraf barha tha

3rd person's p.o.v:-

Palwasha ke kehne ke mutabiq Abeeha ne Zaidaan ke ammi abbu se bahanay se ye baat karli thi ke Zaidaan shaadi karna chahta hai magar kehte huye hickacha raha hai tau kiyon na usse uski shaadi ki date fix karke surprise diya jaye, unke maa baap iss baat par amaada ho gaye they kiyonke Zaidaan ki Palwasha se muhabbat kisi se dhakki chuppi nahi thi aur youn Zaidaan ke beghair he woh Palwasha ke ghar chalay gaye they tareekh lene, doosri taraf Palwasha ki ammi ko kiyonke wajah ka andaaza tha iss liye koyi sawalaat nahi uthaye gaye they aur araam se sab teh ho gaya tha

Palwasha ke dil mein jahan bohat darr they wahin wo Zaidaan ki zidd ke aagay uska saath nahi chor sakti thi, woh jaanti thi ke Zaidaan iss baat par khush nahi hoga magar iske siwa koyi chaara nahi bacha tha.

Zaidaan's p.o.v:-
"Kiya chal raha hai?" Main muskurate huye lounge mein daakhil hote he sawal kiya tha tau ammi ne mujhe dekhte he gallay laga liya tha

"Mere bachay, aaj aese mehsoos kar rahi houn ke ek bohat baray farz ka haq taqreeban adaa kar diya hai, Allah tumhe hamesha khush rakhein" unhone mujhe pyaar karte huye kaha tha tau mera tajasus tashweesh mein badal chuka tha, magar maine apni sochoun ko nazar andaaz karna chaha tha

"Ameen par hua kiya hai?" Maine kohshish ki thi ke apne darr ko apne chehre pe zaahir honay na doun aur ammi ke taasurat se lag raha tha ke mein apni iss kohshish mein kamiyaab ho gaya tha

"Tumhari aur Palwasha ki shaadi iss mahinay ki 15th ko pakki kardi hai, kaisa laga surprise!" Iss baar abbu ne asal baat batayi thi tau mujhe apna aap sambhaalna mushkil laga tha

"Aap- kiya ye waqai- Kiya ye Palwasha ke liye bhi surprise he hai?" Maine kissi conclusion pe pohanchne ke bajaye pooch lena behtar samjha tha

"Nahi beta fikar na karo uski razamandi se, uske saath mil kar ye date fix huyi hai, tumhari razamandi ka tau hamein yaqeen tha iss liye humne socha tumhe surprise de diya jaye par betiyon ki rukhsati ki baatein unse pooche beghair nahi kein ja saktein" Ammi ne abhi baat mukammal ki thi ke mujhe sakht ghussa aa gaya tha, magar iss se pehle ke mein uss ghusse ke zair e asar apna radd e amal deta meri nazar mama ke khushaal chehre pe parri thi jo ke aaj ronak se chamak raha tha aur mein jahan ye jaanta tha ke mein ye shaadi karne par hargiz razamand nahi houn wahin mein ammi ko khud iss khabar se aagah nahi karna chahta tha aur bohat mushkil se he sahi par maine apne chehre pe apni androoni kaifiyat ko wazeh nahi honay diya tha
Palwasha,kiyon mera imtehaan pe imtehaan le rahi ho

Kinaara e seher ✔️(Completed)Where stories live. Discover now