12.Taaraaj

53 7 2
                                    


*1 month later*

Mahina guzar chuka tha Palwasha ki uss se baat huye ko, Zaidaan ab kuch sambhal gaya tha.bazahir kuch sambhal gaya tha, woh uski bewafai pe ab yaqeen la chuka tha aur ye ehsaas intehai dardnak tha.
"Zaidaan... Zaidaan!...ZAIDAAN HAIDER" Zaidaan jo ke uss din ke baad ki har raat ki tarah aaj bhi thakk kar, sleeping pills le kar soya hua tha ke Rayan ne uske kam

"Tum youn nahi utho ge"Rayan ne ahistagi se Zaidaan ke side table pe para glass uthaya tha aur usme moujood paani Zaidaan ke chehre pe giraaya tau Zaidan foran uth baitha tha aur beghair kuch kahay haath moun dhoonay chal diya

"Kiya masla hai tumhe pata bhi hai pills le kar sota houn ye kiya tareeqa hai" Zaidaan ne wapis kamray mein aatay he Rayan pe ghussa kiya tha jo mazay se baitha apne phone pe laga hua tha

"Bhai meray, aaj ghussa nahi karna, ek bohat achi news hai" Rayan ne muskurate huye jawab diya tha

"Kiya?"Zaidaan ne poocha tha tau Rayan aa kar uske gallay lag gaya tha

"Kiya ho gaya itna emotinal kiyon- ek min- Khuwaid- Khuwaid ke baaray mein hai na kuch"Zaidaan ne foran sawaliya nazroun se usse dekha tha tau Rayan ne muskura kar sar haan mein hila diya tha

"Woh pakra gaya Zaidaan, usse tumhari batayi huyi jagah pe shift kiya ja raha hai"Rayan ne usse sach bataya tha tau Zaidaan foran zameen pe gira tha aur usne sajda kiya tha,uski ankhoun se aanso bahay ja rahay they aaj wo shikway, gillay, museebatein sab bhula kar sirf aur sirf apne Rab ke tashakkur ke aansoo baha raha tha, aaj woh bacha ro raha tha jo uss din hawalaat mein roya tha.

Rayan Zaidaan ko bata kar he baahir chala gaya tha, woh jaanta tha ye waqt Zaidaan kisi ke saath nahi hona chahta tha, siwaye uske jiske saath hona mumkin nahi tha.

Zaidaan kaafi dair nafal adaa karne ke baad baahir aaya tha tau sabse pehle apne ghar walon ke gallay laga tha jo ke ro rahay they,unhe jahan khushi thi wahin Zaidaan ke saath hua sab kuch ke baaray mein soch kar ro bhi rahay they,halanke unhe Zaidaan ne bohat mohtaat kahani sunayi huyi thi magar maa baap tau maa baap huye.

Kaafi dair wahin baitne ke baad wo tayaar ho kar Rayaan se milne ke liye nikla he tha ke usse Palwasha ki call aayi thi, uss din ke baad se unn dono ki baat nahi huyi thi aur Zaidaan issi wajah se uska naam dekh ke hairaan hua tha aur phir uske dil mein khayal aaya tha ke yaqeenan usne talaaq ka mutalba karne ke liye call ki hogi tau usne apne dil pe pathar rakh kar uska phone uthaya tha tau iss se pehle wo kuch kehta Palwasha ke ronay ki awaaz aayi thi usse

"Palwasha kiya hua hai?" Zaidaan ke zehen mein foran andeshay aaye they aur wo ghalat bhi nahi they

"Zaidaan aap please bus jaldi se aa jayein mein aapke ghar ke paas he yahan- ya-yahan aayi huyi thi cafe tak, ke mere saath walay table pe kuch mashqooq-bazahir Khuwaid ke bheje huye log aa kar baith gaye hein aur mujhe darr lag raha hai aap please jaldi se aa jayein"Zaidaan ye sunte he hawas baakhta ho gaya tha aur usse phone pe rehne ka keh ke usne gaari batayi huyi jagah ki taraf doraa di thi

Palwasha ne usse Khuwaid ke kehne pe ye kiya tha,Khuwaid ne apna aakhiri patta nehayat aqal ke saath phainka tha. Usse andaaza tha ke ab uske bachne ke mawaqay kuch khaas nahi they aur saath he saath woh Palwasha ki iss sachai se anjaan honay ka faida utha raha tha usne raat ko he Palwasha ko dhamkaaya tha ke woh Zaidaan ko youn bulaye aur phir woh wahan apna wohi banda bhej kar unki waapsi ki koyi bhi umeed Zaidaan ke dil se mita de ga aur youn haar kar bhi jeet jaye ga. Palwasha anjaan honay ki wajah se uski baatoun mein aa gayi thi

Zaidaan wahan pohancha tha tau woh cafe ke andar daakhil hotay he usse Palwasha nazar aayi thi wo sab kuch bhool kar uski taraf barha tha aur usse apne saath chalne ke liye kaha tha ek baazo protectively uske gird uska khayaal karte usse apni gaari tak le kar gaya tha jisme usse bithaya tha, phir pichli seat se paani ki bottle uthayi thi aur passenger seat ka darwaaza khol kar wahin taqreeban baitne ke andaaz mein jhuka tha aur usse paani pilaya tha. Doosri tarf Palwasha zaar o qataar roye ja rahi thi, halanke uske ronay ki wajah Zaidaan ke lehaz se jo wajah thi wo nahi balke unki judai ke siwa kuch na thi aur Zaidaan ka itne sab kuch ke baad bhi uska youn khiyaal karna usse aur rula raha tha.

Kinaara e seher ✔️(Completed)Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz