7. Vasl

95 9 2
                                    


Friday-

Third person's p.o.v:-

"Palwasha Hassan binte Hassan Ahmed kiya aapko Zaidaan Haidar bin Haider Ali se sharayi haq meher sikka e raij ul waqt nikkah mein qubool hein?"

Bismillah Zaidaan aur Palwasha dono ne dil he dil mein kaha tha
"Qubool hai"
Palwasha ne dheemi awaaz mein bola tha aur ye sun kar Zaidaan ke chehre pe besaakhta muskurahat aayi thi

"Palwasha Zuhair binte Zuhair Ahmed kiya aapko Zaidaan Haidar bin Haider Ali se sharayi haq meher sikka e raij ul waqt nikkah mein qubool hein?"
"Qubool hai" Palwasha ne phir se dil o jaan se iss rishte ko qabool kiya tha

"Palwasha Zuhair binte Zuhair Ahmed kiya aapko Zaidaan Haidar bin Haider Ali se sharayi haq meher sikka e raij ul waqt, nikkah qubool hein?"
"Qabool hai"Iss baar Palwasha ki aankh mein aansoo bhar aaye they , khushi ke bhi aur realization ke wo dono hamesha ke liye iss rishte mein bandh gaye hein, doosri taraf Zaidaan ke jazbaat uspe haawi ho rahay they, usse ye ghari kisi lahaasil khuwab ki guman se bhi ziada khoobsoorat tabeer lag rahi thi

"Zaidaan Haider bin Haider Ali kiya aapko Palwasha Zuhair binte Zuhair Ahmed se sharayi haq mehr sikka e raij ul waqt apne nikkah mein qubool hein?"

"Qubool hai"

"Zaidaan Haider bin Haider Ali kiya aapko Palwasha Zuhair binte Zuhair Ahmed se sharayi haq mehr sikka e raij ul waqt apne nikkah mein qubool hein?"

"Qubool hai"

"Zaidaan Haider bin Haider Ali kiya aapko Palwasha Zuhair binte Zuhair Ahmed se sharayi haq mehr sikka e raij ul waqt apne nikkah mein qubool hein?"

"Qubool hai"
Alhamdulillah Zaidaan ne uske aur Palwasha ke darmiyan hail karda parday ke through uski taraf dekha tha, unn dono ke liye ek doosre ko apna aap sounp dena koyi asaan kaam na tha, shayad issi liye nikkah mein bohat taakat hoti hai kiyonke ye rishta aap par jo faraiz sounpta hai wo baqi sab se balaatar hotay hein, ek mukhtalif istilaah aur ek mukhtalif noiyat ke hotay hein, magar saath he saath unhe khushi thi ke woh iss paak rishte mein jis shakhs ke saath bandhe hein wo iss rishtay ka maan nahi toray ga
Nikkah namay pe sign, dua aur milnay milanay ke baad finally Palwasha ko Zaidaan ki taraf laya gaya uske saath bithanay ke liye tau Zaidaan ne aagay barh kar Palwasha ka haath thaama
"Ma Sha Allah" Zaidaan ne dheeme magar jazbaat se barpoor lehje mein Palwasha se muskurate huye kaha tha aur Palwasha ye sun kar bus muskura di

"Thank you,waisee aap bhi achay lag rahay hein"Palwasha ne sharmaate huye uski tareef ki thi

"Thank you my lady, im glad aapko pasand aaya" Zaidaan ne Palwasha ko cherna chaha tha aur as usual wo kamiyaab ho gaya tha kiyonke Pawasha ke gaal ab surkh ho chukay they

"Zaidaan atleast yahan tau na tang karein"
"itne piyaare lag rahay hein dono saath mein, Ma Sha Allah"Azlaan ne tareef ka aaghaaz kiya tha aur youn baari baari sab ne uss khoobsoorat joray ki tareef ki thi function kiyonke, saadgi se kiya gaya tha iss liye Palwasha ke ghar par he tha aur mehmaanon ke jaane ke baad plan ke mutabiq Zaidaan aur uski family wahin rukay they taake Palwasha aur Zaidaan aapas mein kuch waqt guzar sakein, nikkah se pehle dono ne mushtarqa faisle ke mutabiq sirf phone par he baat ki thi aur ab jab nikkah ho gaya tha tau dono show na karne ke bawajood ek doosre ke saath waqt guzaarna chah rahay they

"Zaidaan beta, Palwasha ke kamre mein chalay jao khaana aap dono ka wahin bhijwa dein ge"
Zaidaan ye sun kar apni jagah se uthta hai aur sab ki cherti nazroun ko ignore karte huye awkward smile pass karte, wahan se nikal kar Palwasha ke kamre ke jaanib murra aur bohat himmat karke darwaza khatkhataya, Palwasha ki haan sun kar wo kamre mein daakhil hua tau Palwasha uske saamne he khari thi, jaise wo khud darwaaza kholne ki gharz se issi taraf aa rahi ho
Palwasha's p.o.v:-
"Nikkah Mubarak biwi" Zaidaan ne aik dilfareb muskurahat ke saath kaha tha

Kinaara e seher ✔️(Completed)Where stories live. Discover now