6.Unsiyat

84 7 0
                                    


3rd person's p.o.v:-

Zaidaan abhi apni sochoun ke bhanour mein he tha, aaj subah se pehle uske abbu aur phir Abeeha baari baari aaye they usse ye batane ke woh tanha nahi hai aur Zaidaan itni supportive family ke honay ka shukar adaa kar raha tha magar saath he saath uska dil unke liye bhi darr raha tha wo inhi khiyaloun mein gum tha ke uski ammi kamre mein daakhil huyien aur beghair kuch kahay Zaidaan ko galay laga liya aur ronay lagein

"Ammi please mat royein wo mein tau bus-" Zaidaan ne apni ammi ko behlaana chaha

"Tumhe kiya laga tum darwaaza lock karlo ge aur andar beth ke aanso bha lo ge tau tumhari maa ko pata he nahi hoga ke tumhari kiya kaefiyat hai? Meri jaan please mere saath apne dil ka bojh halka karo tumhe akele mein iss tarah dekhna mujhse saha nahi jayega" Zaidaan ye baat sun kar ek baar phir toota tha

"Mama, kiya mein, kiya mein paak daaman nahi raha?kiya mera kirdaar qabil-e-shaq hai? Kiya mera wajood ek daagh ke tallay bemaini ho gaya?" Zaidaan ne ye sawalat bachon wali masoomiyat se pooche they aur uski ammi ye sun kar apne aanso na rok payiein aur unhe Zaidaan pe beinteha pyar bhi aaya tha aur saath he saath uske saath honay walay jabar pe behadd dil bhi dukha tha

"Zaidaan tumse ziada paak daaman tau koyi bhi nahi hai, jis daagh ka tum zikar kar rahay ho wo daagh tumharay nahi uss haiwan ke kirdaar pe hai. Mere bache ke kirdaar ki pakeezgi mein koyi shak nahi hai tum pe koyi ungli nahi utha sakta meri jaan" Zaidaan ye sun kar phir se apni maa se gallay lag gaya

Zaidaan iss baar andar tak thakk chuka tha, kiyonke iss baar baat sirf uski apni zaat ki nahi thi, usse apne se ziada apne piyaaroun ka khiyaal sata raha tha, usse Palwasha ka khiyaal baar baar darra raha tha. Zaidaan ke liye apni jaan se ziada azeez hamesha doosroun ki khushiyan, unka sakoon raha tha aur iski intehaa tau ye thi ke uske saath honay walay sab kuch ke baare mein details kisi ko nahi bataein thein sirf iss liye ke woh nahi chahta tha ke uske maa baap apne aap ko kisi bhi tarah se qasoor waar samjhein aur aaj wo itne saalon baad apni maa ki goud mein thaak kar sar rakh ke sou gaya tha.
Zaidaan jab utha tau uski ammi wahan se ja chuki thien waqt bhi dopeher ka ho raha tha, Zaidaan ne uthte he ne wuzu karke nafl adaa kiye aur Allah se madad ki dua ussi tarah ki thi jis tarah pichli raat wo tarpa tha, Zaidaan koyi farishta nahi tha,har shakhs ki tarah uske gunah bhi they, magar wo Allah ki zaat par pukhta yaqeen rakhta tha. Un paanch saalon ka Zaidaan ki zindagi mein khilaaf-e-tawaqoh ek musbat asar bhi huya tha, uska Emaan mazboot ho gaya tha aur ye wo waahid baat thi jisne usse phir se apne pairoon pe khara honay ki taakat di thi aur issi liye zindagi ke past maqamaat par bhi usne Allah se rujoo karne ki kohshish nahi chori thi aur Allah ki rehmat ne usse mayoos nahi kiya tha,usse jhulasti aag jaise manzar se maa ke aaghosh tak pohanchaane wali wohi zaat thi, Allah he ki taraf se ye miujza hua tha ke wo paanch saal baad bazahir kabhi na khatam honay wali qaid se nikal paaya tha.

Phone ki bell huyi tau Zaidaan jaa-e-namaz se utha aur usne screen pe jhalaktay naam ko dekha tau usse ek baar phir apne jazbaat bikhartay huye mehsoos huye. Ab ki baar Palwasha usse ek lahaasil khuwahish jaisi lag rahi thi. wo chand hafton mein he uss se bohat qareeb ho gaya tha, halanke unki mulaqaat tak nahi huyi thi, magar roz phone pe ghanton baat karte rehte they dono, ek doosre jo jaanane ki kohshish karte aur youn dono ek doosre se manoos ho chukay they aur yehi wajah thi ke ab Zaidaan ko samajh nahi aa raha tha ke wo karay tau kiya karay.

"Assalamualaikum" Zaidaan ne bohat himmat karke uska phone recieve kiya tha aur Palwasha iss baat se kisi hadd tak waqif thi

"Waalaikumassalam, aap theek hein?" Palwasha ne hichkachatay huye sawaal kiya tha, wo khud uss ghaleez aadmi ka naam dekh kar darr gayi thi, Khuwaid unki zindagi ka wo chapter tha jisse dono peeche chor kar zindagi mein aagay barh chukay they aur uska youn achanak phir se manzar e aam pe aana dono aur khaas torr par Palwasha ke liye hairat naak tha

Kinaara e seher ✔️(Completed)Where stories live. Discover now