3.Deedar

142 12 1
                                    


Zaidaan's p.o.v:-
"Mr.Aabaaz aapko final 2 million rupees offer karte hein hum, ye baat aap bhi jaante hein aur mein bhi ke jo paise aapko offer kar raha houn iske aadhe ki bhi nahi hai ye zameen, akhir aesi kiya wajah ke aap ye humein specifically bechne se inkaar kar rahay hein"Rayan ne 1 ghante ki behes ke baad phir iss ziddi aadmi ko manane ki kohshish ki lekin majal hai jo uss pe koyi asar parra ho

"Darasal, Mein tau ye Zameen bechna he nahi chahta tha wo tau mere azeez dost, Khuwaid Rafaq ne maang li tau main soda karne pe razamand ho gaya, warna ye zameen for sale thi he nahi, aap bataiye, aesi kiya wajah hai ke aap ye zameen mujhe aap he ko bechne pe majboor kar rahay hein"

"Humara darasal iss jagah ko khareedne mein kaafi faida hai, kiyonke na tau ye sheher ke beech hai ke bheer ho na bohat baahir ke aamd o raft mein mushkil aaye, tau ye jagah hamein suit karti hai aur aap rishtedaari ki baat kar rahay they tau halaanke aapse tau meri pehli mulaqaat hai lekin aapke dost se mera bohat puraana taaluq hai, unhe aap bataiye ga serial no. 1698AtZ aaya tha aapke paas wo mere kaam ke mere bachpan mein bohat dildaada they, balke meine tau bohat qadam uthaye he unke kehne pe they, umeed hai wo meri laaj rakh lein ge" Jaise he meri baat muqamal hui kamre mein chand minton ke liye sanaata chah gaya, meine zindagi mein shayad pehli baar itni unprofessional daleel di thi magar wo kehte hein na ghee seedhi ungli se na nikle tau ungli terhi karni parti hai

"Aapki jaan pehchaan ka tau ilm nahi tha mujhe, magar main unse mashwara kar leta houn agar wo maan jaate hein tau theek hai deal final kar leinge"

"Jee sahi hai, aap phir apne PA ko keh di jiyega ke mere PA se raabta karlein aur formalities bhi poori kar lein ge"Rayan ne finally meeting khatam karte hue bola

"Mein aapko jald inform kar doun ga, Allah Hafiz"

"Allah Hafiz"

"TUM PAGAL HO GAYE HO" formalities ke baad gaari mein bethte he Rayan mujhpe phatt para

"Shayad, magar ye karna zaroori tha"

"Zaroori?! Zaroori! Tumhe andaaza bhi hai tumne kiya kar diya hai-, uss- uss Aabaz ko hum kisi aur tareeqay se mana lete lekin itna sab kuch dao pe laga liya tumhe pata hai wo kiya kar sakta hai jin murdon ko itni mehnat se dafnaya hai unhe aakhir kiyon ukhaarne pe tula hai!"

"Kiyonke jitni mehnat unhe dafnaane mein ki hai utni he unke khouf ko dafnaane ke liye bhi ki hai aur jo khouf baaki reh gaya hai jssi ki badoolat ye baat karne ki taakat aayi hai mujh mein aur ab mein kam az kam inn logon ke aagay aanay se katraanay wala nahi raha mein"

"Jo bhi ho, Mein tumhara mere liye itna barra qadam uthane par itefaq nahi kar sakta"

"Chalo naraz na ho, dekho zindagi mein na qadam uthaane parte hein jinka kabhi gumaan bhi na kiya ho maslan mera shaadi ke liye razamand ho jaana" jitna mein katraata houn shaadi ki baat se, mein ye bhi jaanta houn ke Rayan ko meri shaadi mein kisi meri samajh se baahir wajah se utni he dilchaspi hai aur iss wajah se na chahte huye bhi mein iss waqt usse iss stress se atleast waqti chutkaara dilwaanay ke liye khud aziyat mol le raha tha
Mere jaise dost houn tau aur kiya chahiye

"Itne se bhool nahi gaya mein bacha nahi houn, lekin jaane de raha houn kiyonke doolhe miyan ne aakhir khud topic chera hai, tau chalo yehi bata do ke mulaqaat ka kiya iraada hai"Rayan ne seconds ke andar andar apnea mood tabdeel karke bola kiyonke wo bhi samajh gaya tha ke mein iss baare mein mazeed baat nahi karna chahta aur waise bhi meri shaadi iska manpasand topic tha

"Ammi Abbu ne ki hui hai baat ek family se, ammi ki kisi dost ke reference se,keh rahin thein phone pe baat huyi hai unki ammi se tau ache log lagay hein ammi abbu ko tau, ab aglay hafte meri paishi hai uncle aunty ke saamne"

Kinaara e seher ✔️(Completed)Where stories live. Discover now