Ch 16 - Meow Meow

513 72 59
                                    


Jimin's POV:

Mere 12vi ke re-exams ko bas kuch hi din baaki the. Jabh tak Tae aur Jungkook se meri ann bann thi, tab tak maine khudse hi revision maar liya. Unn dino mere andar alag hi bhavnayein thi. Kabhi ghussa, kabhi udaasi toh kabhi befikri. Main apne ghusse ko josh mein badal kar padhai karta tha. Maine Taehyung aur Jungkook ki meri padhai ke liye ki gayi mehnat ko final preparation mein jhokk diya. Kabhi kabhi raat ko neend nahi aati toh main ussi peepal ke pedh ke neeche chale jaata jaha mujhe Suga mila tha. Mere mann mein yeh khayal aata ki kahi main uski privacy toh bhang nahi kar raha hu? Par fir main apne aapko samjha deta ki agar aisa kuch hota toh Suga roz ussi jagah par aake nahi baithta aur agar aa bhi jaye toh shayad mujhe chale jaane ko kehta.

Kabhi kabhi hum kaafi baatein karte toh kabhi kabhi bilkul chup ho jaate. Desi daaru ka intezaam toh tha hi toh kabhi hum patte laakar rang jamate the. Aadhi raat ko talli hone ka kuch alag hi maza tha. Kabhi kabhi toh Suga ko itni chadh jaati ki woh billiyon jaise "meow meow" karne lagta. Aasmaan ke chamakte sitaare dekhke uske serious chehre pe split second ke liye smile aa jaati aur pata nahi kyu usko dekhkar main bhi smile kar baithta. Bhale hi woh meri problems ka upaay nahi de paata par uske saath waha kuch pal bitaane se meri problems kam zarur ho jaati thi.

Dekhte hi dekhte hum ek dusre ko jaanne lage. Mujhe uske baare mein boht kuch pata chala. Use piano bajana pasand tha jisse judi yaadein usne mere saamne bina hichkichaye rakh di. Maine use jab mere favorite animal cat ke baare mein bataya toh woh mujhe Google kar alag alag breeds ke cats dikhane laga. Hum saath baithkar "A. R. Rahman" ke performances bhi dekha karte the. Jab usne mujhe apne life goals batane shuru kiye, apne rapper banne ke sapne aur society ki uske baare mein galat raye ke baare mein bataya tab main sochne laga ki woh mujhme itna trust kabse karne laga ki apne mann ki har ek baat ko hi mere saamne nikaal rakhe?? Kya hum dost bhi the jo woh mujhe yeh sab bata raha tha.

Mujhe humare saath bitaye hue pal kuch zyada hi khushi diya karte the. Main roz raat usse baatein karne ka intezaar karne laga. Issi intezaar mein main usse ussi spot pe milne chala gaya par woh pehli baar nahi aaya. Mujhe laga uske gharwaalo ne use pakad liya hoga isliye woh nahi aa paya. Maine uska thoda aur intezaar kiya fir bhi woh nahi aaya toh main ghar chala gaya. Meri agli kuch raatein bhi uske bina hi bench pe uska intezaar karte hue kati. Mera mann ab vichlit ho raha tha. Mujhe pata nahi kyu par uski yaad bhi aa rahi thi.

Suga 1 hafte se nahi aaya tha. Maine umeed nahi haari aur main as usual raat ko uss bench pe jaake baitha. Dur se maine kisiko aate hue dekha, woh Suga hi tha. Woh chup chap aake mere baaju baith gaya. Mujhe boht ghussa aa raha tha,

"Bina bataye kaha chale gaye the?" Maine frustration mein pucha.

Usne koi jawab nahi diya, yaha tak ki meri taraf nazar uthakar tak nahi dekha.

"Itne din nahi aane waale the toh bataya toh hota" maine add kiya.

Woh kuch kehne ka naam nahi le raha tha.

"Tum sunn rahe.... "mere sentence khatm karne ke pehle hi usne mere nape pe haath rakha aur mere lips pe apne lips smash kar diye. Main shock mein tha par jabh shock se bahar nikla toh maine kiss return ki. Mere belly mein butterflies aa rahe the. Uske lips kaafi soft the. Mann toh kar raha tha ki yeh kiss kabhi khatam hi na ho par saas lena bhi zaruri tha. Kiss break karte hi mujhe sharm aa rahi thi. Main nazarein churane laga par kisi tarah meri nazrein kuch seconds ke liye uske chehre par ja baithi. Uska chehra laal ho gaya tha aur woh apne lips ko touch kar raha tha. Yeh dekhkar main achanak blush karne laga.

Usne mujhe bataya ki woh kuch dino ke liye Jungkook ke saath apni nani ke ghar Nagpur jaane waala hai. Meri smile ekdum se gayab ho gayi, jab maine uski taraf dekha toh woh sir jhukake 20 din yaha se dur rehne ki baat karne laga. Meri aankhon se aansu aane lage toh usne mujhe kaske side hug kiya aur mere forehead pe kiss di.

"Shhh, Jimin~aah, main jaldi waapis aunga mera waha jaana zaruri hai." Yoongi ne mujhe console kiya.

Usne jhattse apna mobile phone nikala aur mera number maangne laga. Maine ek dull smile di aur humne finally apne numbers exchange kiye.

Yeh toh hui uske Nagpur ke liye rawana hone ke pehle ki baat.  Suga aur mujhe aakhri baar mile 2 hafte ho gaye the aur main usko boht miss kar raha tha. Hum aksar ek dusre ko message kiya karte. Woh mujhe apne nani ke saath kheechi hui pics send karta tha aur main usko apne din ka account deta tha. Love confession hum dono mein se kisi ne nahi kiya tha par hum already cliche couple jaise behave kar rahe the. I missed him tho. Hopefully uske waapis aane ke baad main usse humare baare mein baat karne ka soch raha tha.

*******************

Aaj woh ghadi aa chuki thi jiska mere parivaar aur Jungkook ko intezaar tha i.e. mere 12 vi ki re-exam. Ma ne dahi mein extra shakkar daalke mujhe khilaya aur nazar ka teeka mere kaam pe peeche lagaya. Papa ne apne newspaper ko side mein rakha aur mujhe gale laga ke kehne lage "Naak mat katana, kyunki bina naak ke main Voldemort jaisa dikhunga." Iss baat pe mujhe hasi aa rahi thi par maine situation ki gambheerta ko samjhkar chup rehne mein hi apni bhalai samjhi. Kammo ne mere maathe pe tilak lagaya aur haath mein laal rang ka dhaaga aur gale mein kaale range ki taaviz pehna di. Aisa lagra tha ki main exam likhne nahi par koi jung pe jaa raha tha aur lage bhi kyu na yeh din mere liye jung se kam nahi tha.

Tae aur Jungkook dono hi mujhe center leke gaye. Main hallticket,  Ben10 waala lucky cardboard, compass box aur water bottle sab check karke hi gharse nikla tha. Maine padhai toh ki thi par thode boht chits ka bhi arrangement kar aaya tha. Kuch chits underwear mein the toh kuch jutton ke sole ke neeche.  Exam hall mein jaane ke liye sirf 10 minute bache hue the, tab aakhri baar phone bandh karne se pehle maine check kiya toh Suga ka subah se na ek call aur na hi ek message tha. Mujhe iss baat ka kaafi bura laga. Jungkook aur Taehyung dono ne hi mujhe all the best wish kiya jiske baad main exam hall ke paas apne kadam badhata gaya. Utne mein mere peeche se ek awaaz aayi

"Jimin~aah"
Waha Suga haafta hua khada tha.

Maine bina aur time waste kiye Suga ke paas daudkar usko gale lagaya.

"I missed you, Suga" maine softly uske kaano mein kaha.

Usne hug break kiya aur mere gaal pe ek kiss deke mujhe best of luck wish kiya.

"Acchese exam likhna, uske baad hum ghumne chalenge" Suga ne ek flirtatious wink ke saath waada kiya aur bell bajte hi main exam center ke andar chala gaya. 

Taehyung ke Jungkook ka JiminWhere stories live. Discover now