he is your son manik

2.5K 228 23
                                    

Dadu keenly Aarav ko ko dekh rahe hote hai aur.

Dadu pov aisa kyu lag raha hai mughe ye maire manik ka beta hai bilkul same face hai dono ka aankhe bhi aur smile bhi same hai dono ki bas ek aur chij dekh lo to pakka yakeen hojayega mughe ki ye maira khon hai.

Gadi ghar ke samne rokti hai aur teeno bahar aate hai aur.

Mukti _ bhai ye cute sa baby kiska hai.

Manik _ pata nahi mughe to mandir main mila to dadu aur main isko sath le aaye subha police station main iski report likh wa denge ise kaha lekar jao main dadu.

Dadu _ tumhare room main manik aur kaha.

Manik confuse hokar dadu ko dekhta hai jo aaram se couch par beth chuke the.

Manik Aarav ko apne room main le jakar lita deta hai aur khud apna kaam karne lagta hai aur phir.

Mamma mamma ki awaj sunkar jaldi se Aarav ke pass jata hai aur.

Manik _ are are kya hua champ kyu ro rahe ho aap.

Aarav _ mamma pas jana hai.

Manik _ pehle aap rona band karo phir aapse baat karenge hum mamma ke bare main.

Aarav _ no mughe mamma pass jana hai aur rone lagta hai aur sab iske rone ki awaj sunkar oske pass aate hai aur.

Dadu _ are maira raja bata kyu roya han hum challenge na mamma ke pass pehle khana khayenge hum phir.
Aarav _ mughe pehle nahana hai maire kapde bag main hai. Mon bana kar rote hue bolta hai aur dadu bas ose dekhe jate hai aur

Dadu _ ok chalo pehle nahao aajao oske hand hold karke bathroom main jate hai aur oske cloth remov karte hai aur oski back ko jaldi se dekhte hai ose dekh kar pata nahi kyu smile onke face par aajati hai aur phir woh Aarav ko bath dekar bahar laate hai ose cloth wear karwate hai aur.

Dadu _ lo ab chale khana khane ke liye Aarav.

Aarav _ mairi mamma.

Dadu _ jayenge beta onke pass bhi pehle khana khayenge hum ok.

Aarav _ ok.

Phir dadu apne hatho se ose khan's khilate hai aur sab family member shoked sa ye dekhte hai ki dadu bachche se itna attached kyu horahe hai phir Aarav ko behlate hue rat hoti hai aur Aarav manik ke room main hi sota hai aur dadu manik ke pass aate hai aur
Dadu _ manik.

Manik _ Ji dadu

Dadu_ I am 100 % sure ki Aarav tumhara beta hai.

Manik _ what kya bole jaa rahe ho aap dadu Aarav maira beta hai how is this pocibal dadu woh mandir main mila hum ghar lekar aagaye kal polic station chhod aayenge ose bas.

Dadu _ tumhe osse jara bhi attachment fill nahi horaha manik jaise mughe horaha hai oski aankhe bilkul tumhari tarha hai aur oski smile bhi tumhare jaisi hai oske back par wahi par black mark hai Jahan tumhari back par hai aur sabse bada profe ye raha.

Manik _ kya dadu.

Dadu_ tumhari bachpan ki picture dekho jara Aarav ko aur tumhe nahi lagte same to same.

Manik picture dekh kar Sach main shoked hota hai aur.

Manik _ dadu ye to Sach main maire jaisa lagta hai.

Picture ko hath main pakd kar kabhi picture ko kabhi Aarav ko dekhta hai aur suddenly father ka jo love hota hai woh Manik fill karta hai aur oske aankho main aanson aajate hai aur.

Manik _ dadu he is my son.

Dadu _ yes Aarav is your son manik bhgvan ne hamari sun li aur ise Hume dediya nahi ye kaha jata Hume pata nahi chalta ab nandani kaha hai iska pata karna hoga Hume.

Manik _ kaise pata kare dadu Aarav itna bada nahi hai kaise bata payega kaha rehta hai kiss city main.

Dadu _ bhgvan ne jab isko Hume diya hai to iski mom ko bhi hum tak lekar aayega sojao aaram se apne bete ke sath.

Manik _ main iska Dna test karwao nga dadu.

Dadu _ apne dil se pochho manik wahi sabse bada Dna test hai tumhare liye ye tumhara beta hai man lo iss Sach ko koi test nahi karwana mughe iska aur waha se chale jate hai

Scene change.

Boss oss bachche ke pass ye picture mili hai jo iske bag se gir gayi aur ye oss bachche ka father hai.

Boss _ ye school dress ki picture hai yar kaha se sarch karenge hum isko.

Kidneper _ hum oss ladke ki maa ke pass jakar baat karenge.

Boss _kya baat karenge.

Kidneper _ ke iss picture wale insan ne aapke bachche ko kidnap kiya hai

Boss osse kya hoga yar bachcha to gaya na Hamare hath se.

Kidneper _ are ek bar oski maa se mil le hum phir dekhna kya hota hai mughe lagta hai ye dono alg alg rehte hai aur bachcha maa ke pass rehta hai aur ab bachcha bap ke bare mainmain jaan gaya to ose sarch kar raha tha aur iska bap nahi janta ki oska koi beta hai nahi to ab tak kuchh na kuchh to karta woh.

Boss _ bada dimag laga ya re tune sale story likh le film ki beth karke.

Kidneper _ kya boss aap bhi mazak karte hai . sharma kar bolta hai just like a girl.

Boss _ Abe chup sale be par ki odha raha hai jo dil main aaya bole jaa raha hai chal jata wahi chalte hai dekhte hai oski maa kaha hai agar khoya hoga to aas pass wale bata denge Hume.

Kidneper _ thik hai boss phir chalo .

Dono jate hai.

Scene change.

Nandani rote rote be hosh hojati hai aur.

Amms _ nandani kanna kya hua tumhe a Aditya Dr ko bolao beta jaldi se.

A Aditya _ Ji amms.

Aadi Dr ko call karta hai aur kuchh hi der main Dr aata hai aur.

Dr _ onhone kuchh khaya nahi hai isliye BP low hone ki wajha se be hosh hogayi hai inhe kuchh khila ye nahi problem hojayegi.

Amms _ Ji Dr sahab.

Dr _ maine injection laga diya hai abhi hosh main aajayegi ye aur ye medisen khana khane ke baad inhe de dena subha tak thik hojayegi ye.

Dr jata hai aur amms a Aditya oska wait karne lagte hai hosh main aane ka.

Scene change.

Manik bed par lete Aarav ko bade pyar se dekh raha hota hai aur.

Manik pov ye maira beta hai maira khon maire aur nandani ke pyar ki nishani kya dadu Sach bol rahe hai kya bhgvan ne mairi wish pori kar di mughe maire bete se milwa diya par nandani ka kya woh kaise reh rahi hogi iske bina aur woh rehti kaha hai aur Aarav yahan tak aagaya achanak se kaise oske pass jakar let jata hai aur nind main Aarav ose hug karta hai aur manik ko first time oske hug karne se ajeeb sa sukon Milta hai aur woh ose apne aarms main lekar eyes close karleta hai .

Manik pov oh God kitna relife mila iske aise hug karne se mughe pehle kabhi nahi mila aage hokar oske forhead par kiss karke somuch of love ke sath dekhta hai jo bade aaram se so raha tha oske aarms main.

Ab aage kya hoga nandani kaise milegi manik se. Batao.

innocent Manan ka cute love. (Complite)Where stories live. Discover now