promo

2K 166 23
                                    


Nandani _ amms Aarav ghar main nahi hai.

Amms _ kya bol rahi ho nandani kaha jayega woh dekho yahin kahin hoga.

Nandani _ no amms maine har jagha dekh liya ose ghar par kahin nahi hai woh pareshan si aankho main aanson liye bolti hai aur amms khud bhi ose pareshan dekh kar pareshan ho jati hai aur.

Amms _ bahar dekho bahar chala gaya hoga bachcho ke sath khelne ke liye.

Nandani _ nahi hai koi bahar dekh liya maine ose bahar bhi.

Amms _ aise kaha chala gaya woh oth kar bahar aati hai aur samne rehne wale gupta Ji se Aarav ka pochhti hai.

Gupta Ji _ han dekha to tha half an hour pehle maine Aarav ko gate ke bahar khada hua tha woh ek chhota sa bag bhi tha oske pass phir main ander chala gaya tha.

Nandani _ bag tha oske pass kaha jaa raha tha woh amms kaha gaya maira Aarav rone lagti hai aur amms khud bhi ose rote dekh pareshan hoti hai tab hi.

Amms nandani kya hua han.

Nandani _ a Aditya maira Aarav kahin nahi hai pata nahi kaha chala gaya hai woh.

A Aditya _ kya bol rahi ho nandani woh itna sa bachcha kaha jayega tum ander jao main dekh kar aata hon ose yahin kahin hoga woh.

Nandani _ nahi tum dekh kar aao main yahin hon.

A Aditya _ nandani leg main pain hojayega tumhare pehle hi lagi hui hai.

Nandani _ hone do tum lekar aao maire Aarav ko jakar ke wahi gate par beth jati hai rote hue aur amms heran hokar nandani ko dekhti hai jo achanak itna pyar kab se karne lagi thi Aarav se.

innocent Manan ka cute love. (Complite)Donde viven las historias. Descúbrelo ahora